Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Aapki Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=32)
-   -   Jitna mumkin ho tere paas jiyun (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74551)

Dr. Rakesh_Srivastava 7th April 2012 12:48 PM

Jitna mumkin ho tere paas jiyun
 
Main samandar jiyun ya pyaas jiyun ;
jitna mumkin ho tere paas jiyun .

jikr mera jubaan pe rakhna tum ;
taaki duniya me ban ke khaas jiyun .

hamsafar aaj mere ban jaao ;
chaahe fir umr bhar banvaas jiyun .

ho sake , mera bharam mat todo ;
kuchh nateeja nahin to aas jiyun .

kam se kam khvaab pe karam karna ;
neend tak me tera ahsaas jiyun .

itne jakhmon se navaajo mujhko ;
gazalgo ban ke teri baas jiyun .

gar karo tarke mohabbat , fir bhi ;
tere zehan ke aas paas jiyun .

Author ~~~ Dr. Rakesh Srivastava
Vinay Khand - 2 , Gomti nagar , Lucknow .
( Meaning -- Baas = Smell , Tarke Mohabbat = Prem Ki Samaapti )
___________________________________

जितना मुमकिन हो तेरे पास जियूँ
-----------------------------

मैं समन्दर जियूँ या प्यास जियूँ ;
जितना मुमकिन हो तेरे पास जियूँ .

ज़िक्र मेरा जुबाँ पे रखना तुम ;
ताकि दुनिया में बन के ख़ास जियूँ .

हमसफ़र आज मेरे बन जाओ ;
चाहे फिर उम्र भर बनवास जियूँ .

हो सके , मेरा भरम मत तोड़ो ;
कुछ नतीजा नहीं तो आस जियूँ .

कम से कम ख़्वाब पे करम करना ;
नींद तक में तेरा एहसास जियूँ .

इतने ज़ख्मों से नवाजो मुझको ;
ग़ज़लगो बन के तेरी बास जियूँ .

ग़र करो तर्के मोहब्बत , फिर भी ;
तेरे ज़ेहन के आस पास जियूँ .

रचयिता ~~~ डॉ . राकेश श्रीवास्तव
विनय खण्ड - 2 , गोमती नगर , लखनऊ .
( शब्दार्थ -- बास = smell , तर्के मोहब्बत = प्रेम की समाप्ति )

ufaq 8th April 2012 10:58 PM

most welcome to sdc rakesh sahab. maine aapkee teno ghazal padee.bahut -2 acchhaa likhte hai aap. mera ye suggestion hai aapko ki aap apne qalaam shaayri e dard wale section men post kiya kare. isse aapko sdc men exposure milega .............likhte rahiye,khush rahiye......................tc

Ayan_khan 9th April 2012 10:50 PM

Dr.rakesh sahab , bahut hi khoobsurti ke saath lika hai aapne ....aise hi likhte rahiye !

RakhiGifts 17th May 2012 06:37 PM

Great lines so thanks for share these lines.

AHMAD SHAKIL 18th May 2012 11:16 AM

Quote:

Originally Posted by Dr. Rakesh_Srivastava (Post 438137)
Main samandar jiyun ya pyaas jiyun ;
jitna mumkin ho tere paas jiyun .

jikr mera jubaan pe rakhna tum ;
taaki duniya me ban ke khaas jiyun .

hamsafar aaj mere ban jaao ;
chaahe fir umr bhar banvaas jiyun .

ho sake , mera bharam mat todo ;
kuchh nateeja nahin to aas jiyun .

kam se kam khvaab pe karam karna ;
neend tak me tera ahsaas jiyun .

itne jakhmon se navaajo mujhko ;
gazalgo ban ke teri baas jiyun .

gar karo tarke mohabbat , fir bhi ;
tere zehan ke aas paas jiyun .

Author ~~~ Dr. Rakesh Srivastava
Vinay Khand - 2 , Gomti nagar , Lucknow .
( Meaning -- Baas = Smell , Tarke Mohabbat = Prem Ki Samaapti )
___________________________________

जितना मुमकिन हो तेरे पास जियूँ
-----------------------------

मैं समन्दर जियूँ या प्यास जियूँ ;
जितना मुमकिन हो तेरे पास जियूँ .

ज़िक्र मेरा जुबाँ पे रखना तुम ;
ताकि दुनिया में बन के ख़ास जियूँ .

हमसफ़र आज मेरे बन जाओ ;
चाहे फिर उम्र भर बनवास जियूँ .

हो सके , मेरा भरम मत तोड़ो ;
कुछ नतीजा नहीं तो आस जियूँ .

कम से कम ख़्वाब पे करम करना ;
नींद तक में तेरा एहसास जियूँ .

इतने ज़ख्मों से नवाजो मुझको ;
ग़ज़लगो बन के तेरी बास जियूँ .

ग़र करो तर्के मोहब्बत , फिर भी ;
तेरे ज़ेहन के आस पास जियूँ .

रचयिता ~~~ डॉ . राकेश श्रीवास्तव
विनय खण्ड - 2 , गोमती नगर , लखनऊ .
( शब्दार्थ -- बास = smell , तर्के मोहब्बत = प्रेम की समाप्ति )

Dr. Rakesh_Srivastava Sahab...........!

Go Ke Aap SDC Me Naye Hain Magar Aapki Ghazal Padh Kar Yuun Mehsoos Ho Raha Hai Ke Jaisay Aap Bohot Dair Se Shaayri Se Munsalik Hain, Aap Ki Ye Ghazal Parh Kar Andaaza Hua Ke Aa[ Ke Qalam Me Kaafi Pukhtagi Hai, Bas Kuch Thodi Bohot Kaant Chhaant Ho Jaaye To Ye Pathar Aik Khubsurat Heera Ban Jaaye........ Khushi Hui Aap Ko Parh Kar........
Yunhi SDC Par Apnay Kalaam Laatay Rahen, Or Bazm Ki Raunaq Barhatay Rahen...............
Khush Rahiye

aru 26th May 2012 09:41 PM

rakesh jee, first of all welcome to sdc parivar. Apki ghazal padi, acchi lagi aur laga kee aap kafi dino se likh rahe hain, so enjoy ur shayri and keep it up.

shab_seher 28th June 2012 11:13 PM

Dr sahab pehle to dili daad is kalaam k liye.. doosra accha laga jaan k ki aap bhi lucknow se hai..... ek sher yaad aa rha hai Jaun Eliya Sahab ka..

" Meer Dilli se chale gaye lucknow...
Ab tum kahan jaoge ab hum kahan jayenge.."

RakhiGifts 3rd July 2012 04:32 PM

So touching so thanks & keep it on.

kshitiz 6th July 2012 01:20 AM

bahut achhe rakesh jee

likhte rahiye

naresh_mehra110 6th August 2012 02:27 PM

Quote:

Originally Posted by Dr. Rakesh_Srivastava (Post 438137)

जितना मुमकिन हो तेरे पास जियूँ
-----------------------------

मैं समन्दर जियूँ या प्यास जियूँ ;
जितना मुमकिन हो तेरे पास जियूँ .

ज़िक्र मेरा जुबाँ पे रखना तुम ;
ताकि दुनिया में बन के ख़ास जियूँ .

हमसफ़र आज मेरे बन जाओ ;
चाहे फिर उम्र भर बनवास जियूँ .

हो सके , मेरा भरम मत तोड़ो ;
कुछ नतीजा नहीं तो आस जियूँ .

कम से कम ख़्वाब पे करम करना ;
नींद तक में तेरा एहसास जियूँ .

इतने ज़ख्मों से नवाजो मुझको ;
ग़ज़लगो बन के तेरी बास जियूँ .

ग़र करो तर्के मोहब्बत , फिर भी ;
तेरे ज़ेहन के आस पास जियूँ .

रचयिता ~~~ डॉ . राकेश श्रीवास्तव
विनय खण्ड - 2 , गोमती नगर , लखनऊ .
( शब्दार्थ -- बास = smell , तर्के मोहब्बत = प्रेम की समाप्ति )

WaaH ! Rakesh JI !! Nihayat Khoob Ashaar Kahe HaiN ... AchChhi Ghazal Huii Janaab ! Dilee Mubaaraqbaad !!! :)

Rashmi sharma 6th August 2012 10:22 PM

Quote:

Originally Posted by Dr. Rakesh_Srivastava (Post 438137)
Main samandar jiyun ya pyaas jiyun ;
jitna mumkin ho tere paas jiyun .

jikr mera jubaan pe rakhna tum ;
taaki duniya me ban ke khaas jiyun .

hamsafar aaj mere ban jaao ;
chaahe fir umr bhar banvaas jiyun .

ho sake , mera bharam mat todo ;
kuchh nateeja nahin to aas jiyun .

kam se kam khvaab pe karam karna ;
neend tak me tera ahsaas jiyun .

itne jakhmon se navaajo mujhko ;
gazalgo ban ke teri baas jiyun .

gar karo tarke mohabbat , fir bhi ;
tere zehan ke aas paas jiyun .

Author ~~~ Dr. Rakesh Srivastava
Vinay Khand - 2 , Gomti nagar , Lucknow .
( Meaning -- Baas = Smell , Tarke Mohabbat = Prem Ki Samaapti )
___________________________________

जितना मुमकिन हो तेरे पास जियूँ
-----------------------------

मैं समन्दर जियूँ या प्यास जियूँ ;
जितना मुमकिन हो तेरे पास जियूँ .

ज़िक्र मेरा जुबाँ पे रखना तुम ;
ताकि दुनिया में बन के ख़ास जियूँ .

हमसफ़र आज मेरे बन जाओ ;
चाहे फिर उम्र भर बनवास जियूँ .

हो सके , मेरा भरम मत तोड़ो ;
कुछ नतीजा नहीं तो आस जियूँ .

कम से कम ख़्वाब पे करम करना ;
नींद तक में तेरा एहसास जियूँ .

इतने ज़ख्मों से नवाजो मुझको ;
ग़ज़लगो बन के तेरी बास जियूँ .

ग़र करो तर्के मोहब्बत , फिर भी ;
तेरे ज़ेहन के आस पास जियूँ .

रचयिता ~~~ डॉ . राकेश श्रीवास्तव
विनय खण्ड - 2 , गोमती नगर , लखनऊ .
( शब्दार्थ -- बास = smell , तर्के मोहब्बत = प्रेम की समाप्ति )

welcome dr sahib swagat hai aapka sdc parivaar main bahut hi achcha likhte hain aap


All times are GMT +5.5. The time now is 12:41 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.