Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Teri yaadoN ka kaarwaN mere saath chal raha hai (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78666)

Sagar Aashna 5th February 2015 05:01 PM

Teri yaadoN ka kaarwaN mere saath chal raha hai
 
MohabbatoN ki kahaniyaN, wo baankpan wo jawaniyaN
SaheliyoN ki toliyaaN, wo koyaloN ki boliyaaN

Bin baat ke yuN rooThna, aur sabab mujh se poochhna
Wo shokhiyaN wo talkhiyaN, wo khoobsurat ghalatiyaN

Sab jaankar bhi na samajhna, baarikiyoN meiN ulajhna
Haya se laboN ka kaanpna, khiDki se aksar jhaankna

Wo gaisuoN ko sanwaarna, mujhe baar-ha pukaarna
Bulaane pe phir sochna, kabhi haath pakad ke rokna

Titli ke peechhe dauDna, mujhe dekh naqaab oDhna
Wo dabi zubaaN meiN bolna, ghabra ke kuchh tatolna

Wo bandisheiN-o-riwayateiN, DushwaariyaN, rukaawateiN,
Wo shikwe aur shikayateiN, sab heelay aur hikayateiN

sameer'shaad' 6th February 2015 10:57 AM

waahhh Sagar saahab........... kya likh diyaa uffffff

madhoshiyaan raanaaiyaan, deewaangee aawaargee.... kyaa kyaa na nazar aa gayaa aapki is nazm me...... dil baag baag ho uthaa hai janaab... aur dil se hazaaron daad aur duaaen nikal rahii hain aapki is haseen peshkash par..... nacheez ki daad qubool kijiyegaa..... likhte rahiyegaa......

Shaad....

Hassan 6th February 2015 11:09 AM

waaaaah .. kia kehny .. Sagar Aashna saahab..

bohat khoob..

daad hii daad .. :)

Sagar Aashna 6th February 2015 04:02 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 474216)
waahhh Sagar saahab........... kya likh diyaa uffffff

madhoshiyaan raanaaiyaan, deewaangee aawaargee.... kyaa kyaa na nazar aa gayaa aapki is nazm me...... dil baag baag ho uthaa hai janaab... aur dil se hazaaron daad aur duaaen nikal rahii hain aapki is haseen peshkash par..... nacheez ki daad qubool kijiyegaa..... likhte rahiyegaa......

Shaad....

Shaad bhai, adaab !
Nawazish keliye tah-e-dil se shukriya jenab.
Aapki suhbat ka asar hai jo bhi Thoda bahot likh rahe haiN. Aur aap tehseen se nawazte haiN toh yaqeenan hausla baDhta hai.

saath banaye rakhiyegaa.

Sagar Aashna 6th February 2015 04:08 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 474218)
waaaaah .. kia kehny .. Sagar Aashna saahab..

bohat khoob..

daad hii daad .. :)

Hassan Saahab, Adaab-o-tasleemat !
Aapne apne qeemti waqt se kuchh lamhaat mere liye sarf kiye uskeliye maiN mashkoor-o-mamnoon rahuNgaa.

Aap jaise sho'ra se jab aise ilfaaz milte haiN to sach maaniye bohot masarrat hoti hai.

Aainda keliye bhi saaTh ka talabgaar rahuNgaa.

DuaoN ke saaTh,
aapka khair andesh

Taish 6th February 2015 04:36 PM

ahchi nazm hui hai saagar saahib, bas dua rahegi ki aage bhi aapke kalam se aur umda kalaam padhne ko milte raheN....

Sagar Aashna 6th February 2015 07:49 PM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 474224)
ahchi nazm hui hai saagar saahib, bas dua rahegi ki aage bhi aapke kalam se aur umda kalaam padhne ko milte raheN....

Shukriya Taish saahab.
Aapki duayeiN saath rahein to koshish jaari rahegii kuchh aur achha likhne ki.
Saath dete rahiyega, hausla baDhate rahiyega.

Regards

Madhu 14 9th February 2015 08:31 PM

Waah...kya kahne sagar ji...bahut hi khoobsurat ehsaason se saji.nazm.....
kai baar padne ko dil kiya...bahut mubarak...

tabaah 12th February 2015 09:15 AM

bahut khoob bahut khoob..
ehsaaso ka itna sajiv chitran..!!
apki is peshkash ko padhkar bs itna hi kehna chahunga ki..
SHAYRI.COM ko ek or UMDAAH Shayar mil gaya hai..

daad hi daad..
likte rahe..

Sagar Aashna 13th February 2015 08:12 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 474285)
Waah...kya kahne sagar ji...bahut hi khoobsurat ehsaason se saji.nazm.....
kai baar padne ko dil kiya...bahut mubarak...

Bahot bahot shukriya Madhu ji aapki iss daryadili keliye.

Hausla baDhate rahiyega.

Regards

rajveeer 15th February 2015 02:16 PM

Lajawaab sagar bhai....khush rahain...Raj

Sagar Aashna 18th February 2015 05:26 PM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 474312)
bahut khoob bahut khoob..
ehsaaso ka itna sajiv chitran..!!
apki is peshkash ko padhkar bs itna hi kehna chahunga ki..
SHAYRI.COM ko ek or UMDAAH Shayar mil gaya hai..

daad hi daad..
likte rahe..

Bahot bahot shukriya tabaah saaHb itni hausla afzaayi keliye.
Yunhi saath dete raheiN.

Sagar Aashna 18th February 2015 05:30 PM

Quote:

Originally Posted by rajveeer (Post 474362)
Lajawaab sagar bhai....khush rahain...Raj

Nawazish Rajveer ji.
Tah-e-dil se shukriya.

Qasid 18th February 2015 11:43 PM

Quote:

Originally Posted by Sagar Aashna (Post 474203)
MohabbatoN ki kahaniyaN, wo baankpan wo jawaniyaN
SaheliyoN ki toliyaaN, wo koyaloN ki boliyaaN
Teri yaadoN ka kaarwaN mere saath chal raha hai

Bin baat ke yuN rooThna, aur sabab mujh se poochhna
Wo shokhiyaN wo talkhiyaN, wo khoobsurat ghalatiyaN
Teri yaadoN ka kaarwaN mere saath chal raha hai

Sab jaankar bhi na samajhna, baarikiyoN meiN ulajhna
Haya se laboN ka kaanpna, khiDki se aksar jhaankna
Teri yaadoN ka kaarwaN mere saath chal raha hai

Wo gaisuoN ko sanwaarna, mujhe baar-ha pukaarna
Bulaane pe phir sochna, kabhi haath pakad ke rokna
Teri yaadoN ka kaarwaN mere saath chal raha hai

Titli ke peechhe dauDna, mujhe dekh naqaab oDhna
Wo dabi zubaaN meiN bolna, ghabra ke kuchh tatolna
Teri yaadoN ka kaarwaN mere saath chal raha hai

Wo bandisheiN-o-riwayateiN, DushwaariyaN, rukaawateiN,
Wo shikwe aur shikayateiN, sab heelay aur hikayateiN
Teri yaadoN ka kaarwaN mere saath chal raha hai

Bahut khoob janaab behad lutf aaya bhai aapki yeh nazm ek haseen khwaab ki tarah band aankhon se halki muskurhatein deti chali gayi...yunhi mehfil lootiYeGaa hamesha

Hamdam 20th February 2015 09:21 PM

Jagdish bhai ,

Apke karvan ke saath chalte chalte humne aap ke sare ehsaason ko dheere dheere
mehsoos kiya , aur dil se bus yehi NIkla ...

Yeh dil ye pagal dil mera kyun bujh gaya Awaargee.

Sanjay Sehgal

koi to ho 27th February 2015 05:01 PM

bohat khoob bht ache ahsasaat hain

Sagar Aashna 27th February 2015 11:24 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 474400)
Bahut khoob janaab behad lutf aaya bhai aapki yeh nazm ek haseen khwaab ki tarah band aankhon se halki muskurhatein deti chali gayi...yunhi mehfil lootiYeGaa hamesha

Bahot bahot shukriya janaab.
Aapki nigaah-e-karam bani rahe to hum koshaaN rahengae issi raah par.

Sagar Aashna 27th February 2015 11:28 PM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 474442)
Jagdish bhai ,

Apke karvan ke saath chalte chalte humne aap ke sare ehsaason ko dheere dheere
mehsoos kiya , aur dil se bus yehi NIkla ...

Yeh dil ye pagal dil mera kyun bujh gaya Awaargee.

Sanjay Sehgal

Sehgal Saahb, abhi aapke dil ka surya uday hua hai.. Shayar ka dil kabhi nahi bujh sakta.
Aur yeh to mere guzre kal ke khayalaat haiN, jo shayad aapke kal meiN thay :)
Aate rahiye, Haath pakad chalate rahiye.
Regards

Sagar Aashna 27th February 2015 11:31 PM

Shukriya
 
Quote:

Originally Posted by koi to ho (Post 474643)
bohat khoob bht ache ahsasaat hain

Bohot bohot Shukriyaa :)
Yunhi hausla afzaayii karte rahiyega.
Khair andesh

All times are GMT +5.5. The time now is 06:12 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.