Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=47442)

masoomshayer 22nd March 2006 07:54 AM

Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
 
bahut dard main raha hoon aur kayee din tak kuch post nahee kiya. is site pe ane ke baad pahale baar huya tha ki itne din main alag raha bas parhta raha par kewal parhte rahane bhee achha laga

aaj apne pinzre ko khud hee tor ke ek nazm laya hoon jo parhnege ise batayenge bhee mujhe kaisee kahee hai aisee ummed hai mujhe agar bata diya to eeenam mera hoga na bataya to shikayate nahee par aise main udas rahoonga ummeed karata hoon udas hone ka haq nahee cheena jayega pichle 15 dino main pahlee nazm
Anil

Na tujhe hee raha yad maine bhee bhula diya
Too hee kah de kaise ban sakta tha phir yadgar
Mere pyar ka woh pur sukoon junoon
Tera shabnam ke katre sa woh masoom pyar

Mere kadmon ke naksh sahil kee ret par bakaya to hain
In ko sizda na kar ibadat se inka rishta naheen hai
Inke peeche gayee too to milegee bas ek bhatkan
too jan le meree rahguzar kisee manzil se wabasta naheen hai

Too bahut udas hai mujh ko kho kar maine mana
Meree hokar bhee soch to yahan kya badal jata
Meree bastee main zindgee kuch yoon jeete hain log
Tera pyar khudkashi karta tera husn dhal jata

Aj teree palkon pe mera kajal to nazar ata hai
Tab shayad tere khayalon main mera aks bhee na rahata
To mujhse is andaz main miltee ki kho jatee mujhse
Tere wazood pe kaheen mera naksh bhee na rahata

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante

Udas kyon hai tujhe koyee taj mahal na somp saka
Pyar kewal yadgar ho jaye kafee naheen
Khusboo kee tarah har taraf faile to pyar kahiye
Tere gesoo orh ke agar so jaye kafee naheen

Taj mahal kaya hai ek shanshah ka junoon
Tera aur mera is junoon main koyee hissa naheen hai
Kal zinadgee kaya thee ek kahanee thee
Aj hayat hayat hai koyee kissa naheen hai

Too kisee aur kee anjuman main hai hai to sahee
Too kisee aur kee nazar main hai hai to sahee
Tajmahal main naheen to na sahee itna hee bahut hai
Too kisee ghar main hai hai to sahee

Tujhe ek imarat naseeb ho gayee warna
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe ghar naheen milta
Too game zindgee se ghabra ke chahe to mar bhee saktee hai
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe zahar naheen milta

Tajmahal ek kafas(pinzara) hai tera ghar tera nigehban
Phir kis khayal main kho gayee too kis liye mayoos hai
Too yahan kaid naheen mumtaz kee rooh ki manind
too yaha rahtee hai too yahan mahfoos(safe) hai

Muhabbat yadgar hai ki naheen sochne ka waqt kahan
Aj mahfoos hona hee masala e hayat hai
Mian naheen tere hamrah to kya itna hee bahut hai
Koyee tere sath hai too kisee ke sath hai

shrdh 22nd March 2006 08:21 AM

Re: Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
 
anil ji
ek galti anjaane mai ki aur galtion ka karavan ban gaya ,
jane kaise choti si ek baat ka fasana ban gaya
gunah ka ban gayi tab ye choti si galti meri ,
tjb ek mandir pyar ka galti se dhah gaya .

Aaj aapne mujhe maaf kiya aur fir se kuch likha hai uske liye dil se aabhari hoon
ab aapki is kalam par kuch kahna chahti hoon

Quote:

Originally posted by masoomshayer
bahut dard main raha hoon aur kayee din tak kuch post nahee kiya. is site pe ane ke baad pahale baar huya tha ki itne din main alag raha bas parhta raha par kewal parhte rahane bhee achha laga

aaj apne pinzre ko khud hee tor ke ek nazm laya hoon jo parhnege ise batayenge bhee mujhe kaisee kahee hai aisee ummed hai mujhe agar bata diya to eeenam mera hoga na bataya to shikayate nahee par aise main udas rahoonga ummeed karata hoon udas hone ka haq nahee cheena jayega pichle 15 dino main pahlee nazm
Anil

Na tujhe hee raha yad maine bhee bhula diya
Too hee kah de kaise ban sakta tha phir yadgar
Mere pyar ka woh pur sukoon junoon
Tera shabnam ke katre sa woh masoom pyarRahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

sach ka ek aur roop yaha par ,pyar yyaadgar ---------

Mere kadmon ke naksh sahil kee ret par bakaya to hain
In ko sizda na kar ibadat se inka rishta naheen hai
Inke peeche gayee too to milegee bas ek bhatkan
too jan le meree rahguzar kisee manzil se wabasta naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

peeche jane se kaha rok paya hai pyar kabhi khud ko ----------

Too bahut udas hai mujh ko kho kar maine mana
Meree hokar bhee soch to yahan kya badal jata
Meree bastee main zindgee kuch yoon jeete hain log
Tera pyar khudkashi karta tera husn dhal jata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

pyar se husan sanvarta hai par aaj aapne husan ko sanvarne ke liye pyar ka tyaag dekhkar --------------------------

Aj teree palkon pe mera kajal to nazar ata hai
Tab shayad tere khayalon main mera aks bhee na rahata
To mujhse is andaz main miltee ki kho jatee mujhse
Tere wazood pe kaheen mera naksh bhee na rahata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

sire aisa koi bhaut chahne wala hi kahe sakta hai --------------

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

sach kahe rahe hain ghronde yaado ke taajmahal kaha saahil ki ret par --------------- ek ek sabad jaise lakho baaten kahata hua

Udas kyon hai tujhe koyee taj mahal na somp saka
Pyar kewal yadgar ho jaye kafee naheen
Khusboo kee tarah har taraf faile to pyar kahiye
Tere gesoo orh ke agar so jaye kafee naheen
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Taj mahal kaya hai ek shanshah ka junoon
Tera aur mera is junoon main koyee hissa naheen hai
Kal zinadgee kaya thee ek kahanee thee
Aj hayat hayat hai koyee kissa naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

pyar junun hi hai wo shanshah ka ho yaa kisi aur ka --------------------------------haan tajmahal banan itna aasan jo nahi

Too kisee aur kee anjuman main hai hai to sahee
Too kisee aur kee nazar main hai hai to sahee
Tajmahal main naheen to na sahee itna hee bahut hai
Too kisee ghar main hai hai to sahee
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tujhe ek imarat naseeb ho gayee warna
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe ghar naheen milta
Too game zindgee se ghabra ke chahe to mar bhee saktee hai
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe zahar naheen milta
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tajmahal ek kafas(pinzara) hai tera ghar tera nigehban
Phir kis khayal main kho gayee too kis liye mayoos hai
Too yahan kaid naheen mumtaz kee rooh ki manind
too yaha rahtee hai too yahan mahfoos(safe) hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Muhabbat yadgar hai ki naheen sochne ka waqt kahan
Aj mahfoos hona hee masala e hayat hai
Mian naheen tere hamrah to kya itna hee bahut hai
Koyee tere sath hai too kisee ke sath hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
Anil

har ek sher apne mai bhaut kuch sikha gaya ,
pyar ki nayi manjilen bana gaya
kisne kaha har aashiq taajmahal nahi bana sakta
aaj aapne likhkar ek ankho tarika sikha diya
pyar mai junun ho ye to jariri tha
par aaj is junnun ne pyar ko naya aakash dikha diya

shrdh

meena chheda 22nd March 2006 09:15 AM

anil
achha likha hai

mehul jain 22nd March 2006 10:13 AM

bahut hi khooooooooooob bahut hi accha likha hai bhai............

masoomshayer 22nd March 2006 10:45 AM

na khata na mafi
 
kuch chubhata raha kuch din par woh meree apnee chubahn thee. tum ne kya galtee kaee koyee nahee to mafi kee baat kahan atee hai tum ne bahut man laga ke parha meree is nazm ko achha laga aur bahut detail main kaha is ke liye woh bhee achha laga . ye anzm bahut dil se dalee thee dil ke dard wale section main dobara shukriya ki tum ne parha is ko
Anil

ranju bhatia 22nd March 2006 10:46 AM

namsakar anil ji..........

iske bare mein kya kahu.......itni khubsurat hai ki sab kuch is ke samane fika sa nazar aata hai..ek , ek line pad ke us mein dub jane ko dil hota hai.......bahut dino se aapki har nazm
ko pada hai aur sabko ek dusre se behtar paya hai.........

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

ranju

masoomshayer 22nd March 2006 10:51 AM

shukriya meena g
 
tabiyat kaisee hai aap kee? meree is nazm ko parhne ka shukriya achha laga aap ka ana is kalam par
Anil

masoomshayer 22nd March 2006 10:53 AM

shukriya mehul
 
mehul bahut bahut shukriya mujhe ek baar phir bahut dil se parhne ke liye
Anil

masoomshayer 22nd March 2006 10:56 AM

shukriya ranju
 
ye meree nazm bhee mere dil ke kisee bahut nam hisse se ayee hai aur sab se achee baat ye hai ki is main bhee jo asahar mujhe sab se zyada ache lage tum ne dobara likhe sar jhuka ke shukriya karata hoon meree shayree ko bahut apana pan dene ke liye

sar jhuka ke shukriya karata huya
anil

chandsi 22nd March 2006 01:56 PM

Re: Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
 
Quote:

Originally posted by masoomshayer
bahut dard main raha hoon aur kayee din tak kuch post nahee kiya. is site pe ane ke baad pahale baar huya tha ki itne din main alag raha bas parhta raha par kewal parhte rahane bhee achha laga

aaj apne pinzre ko khud hee tor ke ek nazm laya hoon jo parhnege ise batayenge bhee mujhe kaisee kahee hai aisee ummed hai mujhe agar bata diya to eeenam mera hoga na bataya to shikayate nahee par aise main udas rahoonga ummeed karata hoon udas hone ka haq nahee cheena jayega pichle 15 dino main pahlee nazm
Anil

Na tujhe hee raha yad maine bhee bhula diya
Too hee kah de kaise ban sakta tha phir yadgar
Mere pyar ka woh pur sukoon junoon
Tera shabnam ke katre sa woh masoom pyar
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Mere kadmon ke naksh sahil kee ret par bakaya to hain
In ko sizda na kar ibadat se inka rishta naheen hai
Inke peeche gayee too to milegee bas ek bhatkan
too jan le meree rahguzar kisee manzil se wabasta naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too bahut udas hai mujh ko kho kar maine mana
Meree hokar bhee soch to yahan kya badal jata
Meree bastee main zindgee kuch yoon jeete hain log
Tera pyar khudkashi karta tera husn dhal jata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Aj teree palkon pe mera kajal to nazar ata hai
Tab shayad tere khayalon main mera aks bhee na rahata
To mujhse is andaz main miltee ki kho jatee mujhse
Tere wazood pe kaheen mera naksh bhee na rahata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Udas kyon hai tujhe koyee taj mahal na somp saka
Pyar kewal yadgar ho jaye kafee naheen
Khusboo kee tarah har taraf faile to pyar kahiye
Tere gesoo orh ke agar so jaye kafee naheen
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Taj mahal kaya hai ek shanshah ka junoon
Tera aur mera is junoon main koyee hissa naheen hai
Kal zinadgee kaya thee ek kahanee thee
Aj hayat hayat hai koyee kissa naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too kisee aur kee anjuman main hai hai to sahee
Too kisee aur kee nazar main hai hai to sahee
Tajmahal main naheen to na sahee itna hee bahut hai
Too kisee ghar main hai hai to sahee
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tujhe ek imarat naseeb ho gayee warna
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe ghar naheen milta
Too game zindgee se ghabra ke chahe to mar bhee saktee hai
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe zahar naheen milta
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tajmahal ek kafas(pinzara) hai tera ghar tera nigehban
Phir kis khayal main kho gayee too kis liye mayoos hai
Too yahan kaid naheen mumtaz kee rooh ki manind
too yaha rahtee hai too yahan mahfoos(safe) hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Muhabbat yadgar hai ki naheen sochne ka waqt kahan
Aj mahfoos hona hee masala e hayat hai
Mian naheen tere hamrah to kya itna hee bahut hai
Koyee tere sath hai too kisee ke sath hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Anil

masoomshayer 22nd March 2006 02:55 PM

shukriya
 
tum meree nazm tak aueen shukriya bahut achha laga tumhe yahan dekh ke
Anil

Sonali S.C 22nd March 2006 05:43 PM

Bahut khoob.masoomshayer sahab
 
nazro ke raaste dil se guzarte rooh ko cchoo gayi aapki nazm...bahut khoob likha hai aapne...

masoomshayer 22nd March 2006 07:31 PM

shukriya
 
mer shayree aap ke dil ko choo gayee mujeh bahut achha laga kabhee kabhee parhte rahiyega mujhe
Anil

Diggaj_Dave 22nd March 2006 09:25 PM

Re: Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
 
Dear bhai

subah se ishse padh raha hu bar-2 samjh nahi aa raha ki padhta hi raahunga to reply kab dunga...sach mein

itne dino baad aapne ye nazm post ki lekin shayad ishme bhi koi raaz hai...tabhi har sabad itna pyara hai ki jaise aapne itne dino tak uski pooja ki ho

Batane k liye koi aesi line nahi jo sabse pyaari lagi ho....poori hi bohat hi khoobsurat hai

shukriya :)

APka

Diggaj:)

Hum to apne hai
apno se rutha nahi karte
Dil se samjhte hai apko apna
kabhi yu apno gila nahi karte

Quote:

Originally posted by masoomshayer
bahut dard main raha hoon aur kayee din tak kuch post nahee kiya. is site pe ane ke baad pahale baar huya tha ki itne din main alag raha bas parhta raha par kewal parhte rahane bhee achha laga

aaj apne pinzre ko khud hee tor ke ek nazm laya hoon jo parhnege ise batayenge bhee mujhe kaisee kahee hai aisee ummed hai mujhe agar bata diya to eeenam mera hoga na bataya to shikayate nahee par aise main udas rahoonga ummeed karata hoon udas hone ka haq nahee cheena jayega pichle 15 dino main pahlee nazm
Anil

Na tujhe hee raha yad maine bhee bhula diya
Too hee kah de kaise ban sakta tha phir yadgar
Mere pyar ka woh pur sukoon junoon
Tera shabnam ke katre sa woh masoom pyar
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Mere kadmon ke naksh sahil kee ret par bakaya to hain
In ko sizda na kar ibadat se inka rishta naheen hai
Inke peeche gayee too to milegee bas ek bhatkan
too jan le meree rahguzar kisee manzil se wabasta naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too bahut udas hai mujh ko kho kar maine mana
Meree hokar bhee soch to yahan kya badal jata
Meree bastee main zindgee kuch yoon jeete hain log
Tera pyar khudkashi karta tera husn dhal jata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Aj teree palkon pe mera kajal to nazar ata hai
Tab shayad tere khayalon main mera aks bhee na rahata
To mujhse is andaz main miltee ki kho jatee mujhse
Tere wazood pe kaheen mera naksh bhee na rahata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Udas kyon hai tujhe koyee taj mahal na somp saka
Pyar kewal yadgar ho jaye kafee naheen
Khusboo kee tarah har taraf faile to pyar kahiye
Tere gesoo orh ke agar so jaye kafee naheen
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Taj mahal kaya hai ek shanshah ka junoon
Tera aur mera is junoon main koyee hissa naheen hai
Kal zinadgee kaya thee ek kahanee thee
Aj hayat hayat hai koyee kissa naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too kisee aur kee anjuman main hai hai to sahee
Too kisee aur kee nazar main hai hai to sahee
Tajmahal main naheen to na sahee itna hee bahut hai
Too kisee ghar main hai hai to sahee
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tujhe ek imarat naseeb ho gayee warna
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe ghar naheen milta
Too game zindgee se ghabra ke chahe to mar bhee saktee hai
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe zahar naheen milta
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tajmahal ek kafas(pinzara) hai tera ghar tera nigehban
Phir kis khayal main kho gayee too kis liye mayoos hai
Too yahan kaid naheen mumtaz kee rooh ki manind
too yaha rahtee hai too yahan mahfoos(safe) hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Muhabbat yadgar hai ki naheen sochne ka waqt kahan
Aj mahfoos hona hee masala e hayat hai
Mian naheen tere hamrah to kya itna hee bahut hai
Koyee tere sath hai too kisee ke sath hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
Anil

sakhi1909 22nd March 2006 09:40 PM

bahut khub dil ko ek baar bhi choo gaye apke alfaz anil ji.
yuhi apna dard hamesha bantna.mein nahi janti apke dukh ka karan lekin bas yhi kahugi aap jaldi se khush ho jao apko deroin khushiya mile.
sakhi

masoomshayer 23rd March 2006 06:19 AM

kaise ho diggaj
 
bahut bahut bahut achha laga ki tum ne bar bar parha warna varee nazm hai kayee log aisee anzom ko itna bharee man lete hain ki kulee lene chale jate hai uthwane ke liye apane zehan pe nahee uthate

shuriya diggaj bahut dil se pasand karne ke liye is nazm ko aur sada khush bhee rahana aur pyra pyar likhte bhee rahna
ANil

masoomshayer 23rd March 2006 06:24 AM

bahut achha laga
 
sakhi tumhara ana meree shayree ke liye khas bat hotee hai kyon ke tum bahut dino baad site pe atee ho jab bhee atee ho meree kisee na kisee nazm se baat kartee ho bahut achha lagata hai tumhara meree shayree ke liye kcuh kahana apana aur meree shayree ka yoon he ekhayal rakhana
ANil

Rohin 23rd March 2006 06:55 AM

Anil ji,

Padha aur acha laga.. aapne title hi kuch aisa diya tha ki padhna hi tha,.... yeh ek rachna ki khoobi hoti hai... aur yeh rachna kaafi achi thi... isne woh baatein kahin ,... jo shayad shabdon mein kehna aasan na hota.. magar aapne kahi..... acha laga padh kar..

Apna khayal rakhein
Rohin

masoomshayer 23rd March 2006 10:04 AM

shukriya rohin
 
tum ko nazm achee lagee bahut achha laga aur us ke title achha laga aur achha laga kyon ke wahee is nazm kee rooh hai. bahut dino baad tumahree aur meree nazm kee baatcheet huyee hai achha laga kabhee kabhee aa ke mil liya karo hosla barhta hai
shukriya
Anil

manoj kureel 23rd March 2006 12:33 PM

Re: Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
 
mohtaram anil saheb
agar yeh kahun ki aapne "tajmehal" kaagaz par taamir kar liya hai to shayad galat na hoga...aapki is imarat (nazm) mein bhi wohi pyar hai jo Shahjahan ki imarat mein hai,,,mohabbat ki wohi khushboo aur kasak basi hai jo sangemarmar ke taj mein hai,,farq bas itna hai wo pathar ka tajmehal hai aur aapne kagaz par ise banaya hai,,, magar rooh dono ki ek hgi hai...!!
bahoot purasar kalaam pesh kiya hai aapne...aapke jazbaat bahoot baakhubi se jaahir ho rahe hai aapke kalaam mein aur haqeeqat ko ek aam insaan ki nazron se dekh kar pesh kiya hai aapne...
meri dil se nikli daad kuboool kijiye...likhte rhaiye..apna khayl rakhiye
-MANOJ

musharrafhusain 23rd March 2006 01:23 PM

anil mere bhai

aap ne ek bohat pecheeda nazm ek aazmooda shayer yah philospher ki tarjumaani kerte hue likhi hai.
aap ki kaawish qaabil e satayesh hai.
meri daad qabool karein.

musharrafhusain

anjaani awaaz 23rd March 2006 04:13 PM

Re: Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
 
Too bahut udas hai mujh ko kho kar maine mana
Meree hokar bhee soch to yahan kya badal jata
Meree bastee main zindgee kuch yoon jeete hain log
Tera pyar khudkashi karta tera husn dhal jata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Aj teree palkon pe mera kajal to nazar ata hai
Tab shayad tere khayalon main mera aks bhee na rahata
To mujhse is andaz main miltee ki kho jatee mujhse
Tere wazood pe kaheen mera naksh bhee na rahata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too kisee aur kee anjuman main hai hai to sahee
Too kisee aur kee nazar main hai hai to sahee
Tajmahal main naheen to na sahee itna hee bahut hai
Too kisee ghar main hai hai to sahee
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Anil Ji,
Wakayee dil se likhi hui rachna ko salaam!
...Kya kahun, bezubaan hokar padna accha laga, kaash meri bezubaani iski tareef ke bol bhi bol jaye...
Khyal jo dil ki gehrayee se sidha kagaz par utar aaye hain...aisi expressiveness GOD gifted hai, is gift ko humare saath share karte rahiye:)

masoomshayer 23rd March 2006 04:15 PM

manoj bhai
 
mera chota bhai manoj jab parhta hai mujhe bahut pyar se parhata hai aur mujhe us ke remarks main bahut details miltee hain meree apnee hee shayree kee . par maoj par kya guarztee hogee jab romatic shayree se alag rahne wale insan ko romance parhna parata hai bahut bahut skukriya meree shayree ko pyar dene ke liye
Anil

masoomshayer 23rd March 2006 04:17 PM

musharraf bhai
 
bahut bahut shukriya mujeh bahut apane pan se parhne ke liye aur bahut kcuh samjhane ke liye aap ke alfaz bahut keemtee hain mere liye
Anil

masoomshayer 23rd March 2006 04:20 PM

shalini
 
shalini tum jantee ho? nahee jantee kasam se tum apnee kalam ka jadoo nahee janteen tum meree shayree par jo bhee lafz bikhertee ho tayar ho ajne ke bad parfume chirakne ajise hote hain meree shayree aur sanwar jatee hai. par sach main tum nahe ejanteen tumhre alfaz kee taqat tabhee to kam likhtee ho bahut bahut shukriya meree is nazm ko bahut sara pyar dene ke liye
Anil

ek_wafa 2nd May 2006 06:29 PM

Too kisee aur kee anjuman main hai hai to sahee
Too kisee aur kee nazar main hai hai to sahee
Tajmahal main naheen to na sahee itna hee bahut hai
Too kisee ghar main hai hai to sahee
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tujhe ek imarat naseeb ho gayee warna
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe ghar naheen milta
Too game zindgee se ghabra ke chahe to mar bhee saktee hai
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe zahar naheen milta
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Anil ji……

Behad sadgi se aap apne khayal pesh karte hain…bahut hi pyari lagti hai aapki har kavita…aur ye kavita toh jaise majboori ki kashti pe savar hokar dard ke dariya mein beh rahi hai……issi umeed par ki kinara bhi milega….bahut pasand aayi aapki ye kavita…..kayi baar padha maine isse…daad kabool kijiyega

Apna khayal rakhyiega

masoomshayer 2nd May 2006 08:06 PM

shukriya wafa
 
tum ne bahut dil se parhe eye rachana mujeh meree shgayree ko nayee taqat milee main bahut man deta hoon tumhre likhe ko bahut pyar se parhta hoon jo mere liye likhtee ho bas meree shayree ke sath rahana aur sath dena meree shayree ka
Anil

masoomshayer 29th October 2006 08:05 PM

hindi main koshish
 
ना तुझे ही रहा याद मैने भी भुला दिया
तू ही बता कैसे बन सकता था फिर यादगार
मेरे प्यार का वो पुरसुकून जुनूँ
तेरा शबनम के कतरे सा वो मासूम प्यार
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

मेरे क़दमों के नक्श साहिल की रेत पैर बाकाया तो हैं
इन को सज़दा ना कर इबादत से इनका रिश्ता नहीं है
इनके पीछे गयी तू तो मिलेगी बस एक भट्कन
मेरी रहगुज़ार किसी मंज़िल से वाबस्ता नहीं है
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

तू बहुत उदास है मुझ को खो कर मैने माना
मेरी होकर भी सोच तो यहाँ क्या बदल जाता
मेरी बस्ती में ज़िंदगी कुछ यूँ जीते हैं लोग
तेरा प्यार ख़ुदकुशी करता तेरा हुस्न ढल जाता
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

आज तेरी पलकों पे मेरा काजल तो नज़र आता है
तब शायद तेरे ख़यालों मैं मेरा अक्स भी ना रहता
तो मुझसे इस अंदाज़ मैं मिलती की खो जाती मुझसे
तेरे वाज़ूद पे कहीं मेरा नक्श भी ना रहता
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

एक उदासी से पलकों पे आसूं कब ढहरते हैं
एक ग़म के सावन से आँखों मैं बादल नहीं बनते
साहिल की रेत पैर कुछ घरोंडे बनाए हमने काफ़ी है
साहिल की रेत से कभी ताज महल नहीं बनते
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

उदास क्यों है तुझे कोई ताज महल ना सॉंप सका
प्यार केवल यादगार हो जाए काफ़ी नहीं
खुसबू की तरह हैर तरफ़ फैले तो प्यार कहिये
तेरे गेसू ओढ़ के अगर सो जाए काफ़ी नहीं
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

ताज महल क्या है एक शांशाह का जुनूँ
तेरा और मेरा इस जुनूँ मैं कोई हिस्सा नहीं है
कल ज़िंदगी क्या थी एक कहानी थी फक़त
आज हयात हयात है कोई क़िस्सा नहीं है
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

तू किसी और की अंजुमन में है है तो सही
तू किसी और की नज़र में है है तो सही
ताजमहल मैं नहीं तो ना सही इतना ही बहुत है
तू किसी के घर मैं है है तो सही
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

तुझे एक इमारत नसीब हो गयी वरना
यहाँ वो भी जी रहे हैं जिन्हे घर नहीं मिलता
तू ग़मे ज़िंदगी से घबरा के चाहे तो मर भी सकती है
यहाँ वोह भी जी रहे हैं जिन्हे ज़हर नहीं मिलता
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

ताजमहल शहन्शाह का कफस(पिंज़ारा)
तेरा घर तेरा निगेहबान है
फिर किस ख़यल मैं खो गयी तू किस लिये मायूस है
तू यहाँ क़ैद नहीं मुमताज़ की रूह की मनींद
तू यहा रहती है तू यहाँ महफूज़ है
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश कर

मुहबत यादगार है की नहीं सोचने का वक़्त कहाँ
आज महफूज़ होना ही मसला-ए-हयात है
में नहीं तेरे हमराह तो क्या इतना ही बहुत है
कोई तेरे साथ है तू किसी के साथ है
रहने दे ज़िद मुझे मैं कोई शाहजहाँ ना तलाश
कर

mausam 7th July 2007 01:17 PM

Shayad is nazm ki tarif karna mere bas ki baat nahin..............har shabd apne aap mein ek chubhan liye huve........maine isse kai baar padha....kya reply karu samajh nahin haar baar kuch naye ehsaas lage isme........aaj subah se man kuch bhari sa tha...aapki is nazm se jyada ho gaya....bura na maana meri baat ka ..par shayad yehi is nazm ki tarif hain..............behtereen nazm:)

masoomshayer 8th July 2007 11:17 PM

shukria
 
achanak aaj ke tajmahal ke liye wishesh din is kavita ko dobara aage lne ke lie bahut bahut shukria mousam apna khayal rakhana
ANil

sunita thakur 13th October 2014 01:08 AM

Quote:

Originally Posted by masoomshayer (Post 193231)
bahut dard main raha hoon aur kayee din tak kuch post nahee kiya. is site pe ane ke baad pahale baar huya tha ki itne din main alag raha bas parhta raha par kewal parhte rahane bhee achha laga

aaj apne pinzre ko khud hee tor ke ek nazm laya hoon jo parhnege ise batayenge bhee mujhe kaisee kahee hai aisee ummed hai mujhe agar bata diya to eeenam mera hoga na bataya to shikayate nahee par aise main udas rahoonga ummeed karata hoon udas hone ka haq nahee cheena jayega pichle 15 dino main pahlee nazm
Anil

Na tujhe hee raha yad maine bhee bhula diya
Too hee kah de kaise ban sakta tha phir yadgar
Mere pyar ka woh pur sukoon junoon
Tera shabnam ke katre sa woh masoom pyar
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Mere kadmon ke naksh sahil kee ret par bakaya to hain
In ko sizda na kar ibadat se inka rishta naheen hai
Inke peeche gayee too to milegee bas ek bhatkan
too jan le meree rahguzar kisee manzil se wabasta naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too bahut udas hai mujh ko kho kar maine mana
Meree hokar bhee soch to yahan kya badal jata
Meree bastee main zindgee kuch yoon jeete hain log
Tera pyar khudkashi karta tera husn dhal jata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Aj teree palkon pe mera kajal to nazar ata hai
Tab shayad tere khayalon main mera aks bhee na rahata
To mujhse is andaz main miltee ki kho jatee mujhse
Tere wazood pe kaheen mera naksh bhee na rahata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Udas kyon hai tujhe koyee taj mahal na somp saka
Pyar kewal yadgar ho jaye kafee naheen
Khusboo kee tarah har taraf faile to pyar kahiye
Tere gesoo orh ke agar so jaye kafee naheen
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Taj mahal kaya hai ek shanshah ka junoon
Tera aur mera is junoon main koyee hissa naheen hai
Kal zinadgee kaya thee ek kahanee thee
Aj hayat hayat hai koyee kissa naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too kisee aur kee anjuman main hai hai to sahee
Too kisee aur kee nazar main hai hai to sahee
Tajmahal main naheen to na sahee itna hee bahut hai
Too kisee ghar main hai hai to sahee
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tujhe ek imarat naseeb ho gayee warna
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe ghar naheen milta
Too game zindgee se ghabra ke chahe to mar bhee saktee hai
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe zahar naheen milta
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tajmahal ek kafas(pinzara) hai tera ghar tera nigehban
Phir kis khayal main kho gayee too kis liye mayoos hai
Too yahan kaid naheen mumtaz kee rooh ki manind
too yaha rahtee hai too yahan mahfoos(safe) hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Muhabbat yadgar hai ki naheen sochne ka waqt kahan
Aj mahfoos hona hee masala e hayat hai
Mian naheen tere hamrah to kya itna hee bahut hai
Koyee tere sath hai too kisee ke sath hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
Anil

Anil ji...........aapki kalam jab chalti hai to har baat saaf saaf likhti jaati hai...aapka likhne ka yeh alag andaaz hame behadd pasand hai...bazm meiN phir se lout kar aayeiye, es bazm ko aapka intezaar hai.

regards

masoomshayer 15th October 2014 12:09 PM

Sunitaa jee meree is purane enazm ko dobara sansen dene ke liye bahut bahut shukriyaa aap kaa

KunaaL 15th October 2014 12:37 PM

YahaN to wo bhi zinda hai jinhe zahar nahi milta..

Ye ek baat aapki poori nazam ko kehti hai.. aur poori nazam is ek baat ka intzaar karti hai.. bohay bhadiya..

Khyaal rakhiye apna

Kunaal

masoomshayer 15th October 2014 10:47 PM

kaise ho kunal arsaa ho gayaa tum sab se mile huye pulkit se kabhee kabhee milanaa huyaa bakee log to bas yadon kaa hissa hain jaise kaise ho? likhate to kya khoob ho

All times are GMT +5.5. The time now is 09:55 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.