Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   nazm : ghar tera baba aaya ... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76308)

zarraa 22nd September 2013 03:53 PM

nazm : ghar tera baba aaya ...
 
kaat kar roz-e-qabeeh* ghar tera baba aaya
kis’se pariyon ke meri gudiya sunaaye kaise

sub'he-dum dekh ke khursheed** sa tera chehra
tere baba ne kaha din ye bhala guzrega
tune aaNkhoN meiN liye aas jab us se poochha
aaj kya shaam ko wo tere liye laayega

us ne baahoN meiN tujhe le ke kaha gudiya meri
aaj aaooNga to dikhlaaooNga khir'hkee se tujhe*
ke sabhi chaaNd sitaare haiN khareede maiN ne*
aur thaalee meiN falak ki haiN parose wo sabhi
in ko mat dekh tu lalchaayee huwee nazroN se*
chheeN le noch le chakh le haiN sabhi tere liye

bas yahi soch ke baba tera nikla ghar se
aur badshakl zamaane meiN qadam daal diye
peeth pe parhte hukumraanoN ke chaabuk the jidhar
aur kaanoN mein jahaaN-waaloN ke tanz-o-taane
dil men ik baar to aaya ke utha de wo bhi sar
jaane kya soch ke khaamosh raha tha wo magar

din dhalaa haare hue paaoN utha kar baba*
dil meiN ik bojh liye ghar ki taraf laut chala*
us ko tha achchhee tarah yaad subeh ka waada*
par use poora kare to bhi kare kaise bhala

ab wo kis muNh se kahega tujhe gudiya meri
chaaNd taare teri mut’thee meiN hooN bharne aaya
dil meiN tere jo kisi shay ki bhi hasrat ho uthee
is se pehle tu kahe pooree wo karne aaya

tujh ko jo koh-e-garaaN*** sa tha laga baba tera
aaj darwaaze pe wo kitna thaka sa hai kharha
khel haule se tera baba pareshaaN hai bahaut
kuchh n ab maaNg ke yooN bhi wo pashemaaN**** hai bahaut

tu jo maaNgegee tera baba wo laaye kaise
chaaNd taare teri thaalee meiN bichhaaye kaise
dil ke armaan sabhi tujh pe lutaaye kaise
apni aaNkhoN meiN tere khwaab sajaaye kaise
tujh se ab nazreiN tera baba milaaye kaise
gar bahaane bhi banaaye to banaaye kaise

- ZARRAA

*roz-e-qabeeh = ugly day
**khursheed = sun
***koh-e-garaaN = heavy (big) mountain
****pashemaaN = ashamed

swaraa 22nd September 2013 06:23 PM

ZARRAA JI,

I am speechless..........just crying..........

sameer'shaad' 23rd September 2013 08:12 PM

Aadaab Zarraa bhai...

Lafz nahi hain mere paas iski bayaani ke liye..... Ise padhne ke baad kya kyaa khayaalaat dil me umad ghumad se rahehain use bayaankarne ke liye shaayad mere paas alfaaz khatam ho jaaeN..... kya khoob adaakaari hai, kya fankaari hai.... kyaa khoob manzarkashi ki hai janaab... waaaahhh Subhaan Allaah.

Ye Nazm SDC me ek misaaal ki tarah hai..... ek meyaari nazm hai jise mera salaam pesh hai........ aur aapko laakhon daad aur mubaarakbaad.....

Shaad......

zarraa 25th September 2013 09:03 AM

Quote:

Originally Posted by swaraa (Post 454459)
ZARRAA JI,

I am speechless..........just crying..........

Swaraa ji ... I'm touched by your reaction ... Thank you .... Bless you

ISHK EK IBADAT 25th September 2013 11:14 AM

bahut sundar rachna hai aapko padhna waqee achha lagta hai.....radhe radhe

zarraa 25th September 2013 10:49 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454496)
Aadaab Zarraa bhai...

Lafz nahi hain mere paas iski bayaani ke liye..... Ise padhne ke baad kya kyaa khayaalaat dil me umad ghumad se rahehain use bayaankarne ke liye shaayad mere paas alfaaz khatam ho jaaeN..... kya khoob adaakaari hai, kya fankaari hai.... kyaa khoob manzarkashi ki hai janaab... waaaahhh Subhaan Allaah.

Ye Nazm SDC me ek misaaal ki tarah hai..... ek meyaari nazm hai jise mera salaam pesh hai........ aur aapko laakhon daad aur mubaarakbaad.....

Shaad......

Mere pyaare dost Shaad ... Jis dariyadilee mohabbat inaayat aur nawazish ke saath aapne apni keemtee daad ka tohfa khaaksaar ko ataa kiya hai ... alfaaz dhoondhe naheen milte us ka shukriya adaa karne .. to bas qarzdaar hone ka hi lutf aur sukoon saath liye ja raha hoon aur apko dheron dheron duaein pesh karta hoon ... apna khayal rakhna ... khush raho ... apka dost ... Zarraa

zarraa 26th September 2013 10:16 PM

Quote:

Originally Posted by ISHK EK IBADAT (Post 454517)
bahut sundar rachna hai aapko padhna waqee achha lagta hai.....radhe radhe

Ishk ji .... ye aapki inaayat hai ki aapki hauslafzaayee milti rehti hai aur meri khushnaseebee ki aapka saath barkaraar rehta hai ... Dheron shukriya aur duaein ... Zarraa

imran-e-dil 2nd October 2013 03:52 AM

Kisi k hisse Mr makan aaya kisi k hisse me dukan aayi, mein Ghar me sab se chota tha mere hisse me maa aayi..

zarraa 5th October 2013 06:55 PM

Quote:

Originally Posted by imran-e-dil (Post 454635)
Kisi k hisse Mr makan aaya kisi k hisse me dukan aayi, mein Ghar me sab se chota tha mere hisse me maa aayi..

Waah .................................................. .................................................

AHMAD SHAKIL 7th October 2013 11:41 AM

Zarrah Ji............!

Kia Kehnay....... Wah Wah Wahhhhhhhhhhhh ....Bahot KHubsurat Se Aap Ne Apnay Khubsurat Takhayyul Ko Nazm Me Dhaala Hai... I M Impresss....... Aur Meri Jaanib Se Bahot Si DAAAAAAAAAAAD Qaboooool Kjiye....
Yunhi Ache Se Acha Likhtay Rahiye
Khush Rahiye

Mujeeb 7th October 2013 12:17 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454453)
[SIZE="3"]

tu jo maaNgegee tera baba wo laaye kaise
chaaNd taare teri thaalee meiN bichhaaye kaise
dil ke armaan sabhi tujh pe lutaaye kaise
apni aaNkhoN meiN tere khwaab sajaaye kaise
tujh se ab nazreiN tera baba milaaye kaise
gar bahaane bhi banaaye to banaaye kaise
kaat kar roz-e-qabeeh* ghar tera baba aaya
kis’se pariyon ke meri gudiya sunaaye kaise

Aadaab !

umeed hai app khairiyat se hoNgy , appka ism e garaamee se na waqif hoN . lakin appki is kavish ne app se aashnaa zaroor ker diya.
poori nazm ka nichoR appne is band mai nikaal diya , bahut umdaa. daad qabool fermaaieN

BR
Mujeeb

aru 8th October 2013 01:16 PM

zarra jee...its heartblowing creation....i m just speechless....too good to define....may GOD bless u.

zarraa 11th October 2013 08:28 PM

Quote:

Originally Posted by AHMAD SHAKIL (Post 454675)
Zarrah Ji............!

Kia Kehnay....... Wah Wah Wahhhhhhhhhhhh ....Bahot KHubsurat Se Aap Ne Apnay Khubsurat Takhayyul Ko Nazm Me Dhaala Hai... I M Impresss....... Aur Meri Jaanib Se Bahot Si DAAAAAAAAAAAD Qaboooool Kjiye....
Yunhi Ache Se Acha Likhtay Rahiye
Khush Rahiye

Ahmad ji ... Tah e dil se shukrguzaar hoon ke aapne is koshiish ko kisi laayak samjha aur dil mein jagah di .... thank you indeed for your kind words ... duaon ke saath .... Zarraa

zarraa 12th October 2013 12:05 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 454678)
Aadaab !

umeed hai app khairiyat se hoNgy , appka ism e garaamee se na waqif hoN . lakin appki is kavish ne app se aashnaa zaroor ker diya.
poori nazm ka nichoR appne is band mai nikaal diya , bahut umdaa. daad qabool fermaaieN

BR
Mujeeb

Mujeeb ji .... Aadaab .... Ji ye meree khushkismati hai ki meri nazm aur main aap ke dil mein jagah pa sake ..... Aapki daad sar aankhon par .... Hauslafzaayee ka bahaut bahaut shukriya ....duaon ke saath .... Zarraa

zarraa 12th October 2013 02:16 PM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 454690)
zarra jee...its heartblowing creation....i m just speechless....too good to define....may GOD bless u.

Dear Aru ji ..... Thank you very much for your kind words and including me in your prayers .... my best wishes and prayers are with you too .... Take care ...

sunita thakur 14th October 2013 10:53 AM

no words........................dil bhar aaya padkar........!

zarraa 15th October 2013 08:34 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 454771)
no words........................dil bhar aaya padkar........!

Nazm ke ehsaas mehsoos karne ka shukriya Sunita ji

masti 10th September 2014 12:43 AM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454453)
kaat kar roz-e-qabeeh* ghar tera baba aaya
kis’se pariyon ke meri gudiya sunaaye kaise

sub'he-dum dekh ke khursheed** sa tera chehra
tere baba ne kaha din ye bhala guzrega
tune aaNkhoN meiN liye aas jab us se poochha
aaj kya shaam ko wo tere liye laayega

us ne baahoN meiN tujhe le ke kaha gudiya meri
aaj aaooNga to dikhlaaooNga khir'hkee se tujhe*
ke sabhi chaaNd sitaare haiN khareede maiN ne*
aur thaalee meiN falak ki haiN parose wo sabhi
in ko mat dekh tu lalchaayee huwee nazroN se*
chheeN le noch le chakh le haiN sabhi tere liye

bas yahi soch ke baba tera nikla ghar se
aur badshakl zamaane meiN qadam daal diye
peeth pe parhte hukumraanoN ke chaabuk the jidhar
aur kaanoN mein jahaaN-waaloN ke tanz-o-taane
dil men ik baar to aaya ke utha de wo bhi sar
jaane kya soch ke khaamosh raha tha wo magar

din dhalaa haare hue paaoN utha kar baba*
dil meiN ik bojh liye ghar ki taraf laut chala*
us ko tha achchhee tarah yaad subeh ka waada*
par use poora kare to bhi kare kaise bhala

ab wo kis muNh se kahega tujhe gudiya meri
chaaNd taare teri mut’thee meiN hooN bharne aaya
dil meiN tere jo kisi shay ki bhi hasrat ho uthee
is se pehle tu kahe pooree wo karne aaya

tujh ko jo koh-e-garaaN*** sa tha laga baba tera
aaj darwaaze pe wo kitna thaka sa hai kharha
khel haule se tera baba pareshaaN hai bahaut
kuchh n ab maaNg ke yooN bhi wo pashemaaN**** hai bahaut

tu jo maaNgegee tera baba wo laaye kaise
chaaNd taare teri thaalee meiN bichhaaye kaise
dil ke armaan sabhi tujh pe lutaaye kaise
apni aaNkhoN meiN tere khwaab sajaaye kaise
tujh se ab nazreiN tera baba milaaye kaise
gar bahaane bhi banaaye to banaaye kaise
kaat kar roz-e-qabeeh* ghar tera baba aaya
kis’se pariyon ke meri gudiya sunaaye kaise

- ZARRAA

*roz-e-qabeeh = ugly day
**khursheed = sun
***koh-e-garaaN = heavy (big) mountain
****pashemaaN = ashamed

Zarra ji

Aapne toh papa ki yaad dila di. Bohut mushkilon se pala hai unhone mujhe. Unka har raat sardi garmi barsaat se thakaa chehra yaad aa gaya. Delhi ki sardiyon mein raat ko jab woh aakar apne barf se thande haath mere sar par rakhte the woh haath yaad aa gaye.

Aajkal he is suffering from facial paralysis and I cant go n meet him because beti ke exams hain. Aise mein aapke ek-ek shabd ne unki yaad taaza kar di.

masti 10th September 2014 09:32 AM

main raat bhar soo nahi sakii isey padne ke baad isliye subah phir aa gayi ek baar aur kehne, shukriya.aur dheron daad!

zarraa 14th September 2014 01:18 AM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 468231)
Zarra ji

Aapne toh papa ki yaad dila di. Bohut mushkilon se pala hai unhone mujhe. Unka har raat sardi garmi barsaat se thakaa chehra yaad aa gaya. Delhi ki sardiyon mein raat ko jab woh aakar apne barf se thande haath mere sar par rakhte the woh haath yaad aa gaye.

Aajkal he is suffering from facial paralysis and I cant go n meet him because beti ke exams hain. Aise mein aapke ek-ek shabd ne unki yaad taaza kar di.

Sarika ji .. aap ki baat sun kar mera dil bhar aaya hai. Aap ke papa ko salaam ki unhone aap ki aur apne parivaar ki parvarish kis jatan kis jahd se ki. Aur aap ka un ke liye is qadar pyaar is qadar aabhaar mehsoos karne par aap ke liye bhi bahaut izzat mehsoos kar raha hoon. aaj wahi pyaar wahi jatan wahi qurbaaniyaan aap apni beti ke liye bhi kar raheen hain. meri dilee dua hai ki aap ke papa jaldi hi achchhe ho jaayein aur jaldi hi aap ko apne papa se milne ka aur un ki sewa karne ka mauka mile. Dheron dheron duaien !!

zarraa 14th September 2014 01:23 AM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 468241)
main raat bhar soo nahi sakii isey padne ke baad isliye subah phir aa gayi ek baar aur kehne, shukriya.aur dheron daad!

bahuat bahaut shukriya aap ka .... aur aap ne "on behalf of every daughter" jo rau diya hai, wo ek anmol saughaat hai, kyunki meri bhi ek beti hai jo mujhe duniya mein sab se azeez hai.

zarraa 14th September 2014 11:16 AM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 467836)
RooH tak ko chuu gai ye hassas dil ki aawaaz aur aankheiN nam kar gayiN.....dil ko cheerney wala dard hai is nazm meiN zarraji is nazm ko koi pat'thar dil bhi padh le to pighal jae....ehsaas ko itne khoobsurat aur dil meiN ghar kar jaane waale alfaazoN sey sanwara hai aapne....bemisaal nazm ek baap ki bepanaah muhabbat aur nachaari ko jis andaaz meiN bayaaN kiya hai aapne just priceless no words to praise this epitome of fathers love :applaud: & :respect:

N@zneen ji ... aap ne jis tarah is nazm ke ehsaas ko mehsoos kiya, is ke jazbaat ko dil mein jagah di aur is ki tarhap ko man mein rakkha ... main aap ka tah e dil se hazaron laakhon baar shukriya adaa karta hoon aur aap ko dheron duaein deta hoon !!!

All times are GMT +5.5. The time now is 01:53 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.