Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Ghazal Section (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=14)
-   -   Tasveer per Tahreer ..Sept 2014 (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77900)

zainy 11th September 2014 03:11 PM

Tasveer per Tahreer ..Sept 2014
 
Aadaab arz hai DostoN

Aaj phir meiN aap sab ki Khidmat meiN haazir ho rahi hooN.. Tasveer per Tahreer SEPT'2014 ke liye...

DostoN, is baar hame TPT ke liye kul 7 GhazaleN/NazmeiN mili haiN... maiN sab se pahle un dostoN ki shukr-guzaar huuN jinhone is silsile meN hissa liya, merii taraf se un sab ko mubaarakbaad.

Doston kuch problems ki wajah se is baar critics choice per ghazal ya nazm nahi chuni jayegi...only polling based rahenge results..




1)Voting will close on 20TH sept 2014
2) This is a public poll: other users can see the choice(s) you selected.
3)You can give your vote to more than one ghazal/nazm.





RULES FOR VOTING!
1)TPT ke rules ke mutabiq, jin members ki post count less than 50 hai, woh vote nahi de sakte haiN, agar unhone vote kiya bhi, tou unka vote neutralize ho jayega..(Exception :agar kisi member ne TPT me hissa liya hai lekin unke post count 50 se kam hain to wo vote kar sakte hain)

2)Duplicate ids ko bhi neutralize kiya jayega, aur result in sab votes ko delete karke hi sunaya jayega...

Meri guzarish hai,plzz yeh saari bateiN dhyan me rakhiye..

Participants se request hai ke kisi se apni ghazal/Nazm ka zikr na kareiN,kis member ne kaunsi ghazal likhi hai yeh baat result tak raaz hi rehni chahiye.





GOOD LUCK!


http://bestshayaricollectionoflove.f...x195.jpg?w=300

zainy 11th September 2014 03:16 PM

sun mere dil kii sadaa wo jo hua badnaam hai
bewafaaii meN kisii kii kya hua anjaam hai

wo zaraa kehte mujhe unko meri hasrat nahi
yuN raqeeb ke saath dekh hote to be-izzat nahi
par mujhe lagtaa hai unkii ye rahii siirat nahi
aur ulfat kii merii ab koii bhii kimmat nahi

gar jigar tute to kehte kyuN use naa kaam hai
wo bichaaraa to wafaa ke naam pe neelaam hai

gul badan samjhaa kiye aisii khataa kaise huii
jo mile kaaNte mujhe aisii jafaa kaise huii
do diloN ke paas meN ulfat khafaa kaise huii
naam juDe the jahaaN kismat judaa kaise huii

gulsitaaN meN hai havaa detii nayaa paigaam hai
aaj bechaaraa ka mujhko mil gayaa ek naam hai

zainy 11th September 2014 03:16 PM

GumaaN humko tha hum bhi haiN khushnaseeb,
Mileygaa hamein bhee hamaaraa habeeb!

SaNjooyay the Khwaab qurbat ki jinke
Kisee aur ko paaya unke qareeb!

Idhar haath mein hain hamaare gulaab
Udhar unke dilpe lagaa hai saleeb!


Shikwe gile ham kareN bhi to kis se
NaseebaaN hamaara hamaaraa raqeeb!

Ho tumko mubaarak milan ki ghadee
Ye TanhaaiyaaN haiN hamaara Naseeb

zainy 11th September 2014 03:17 PM

Kai baar laga tujhse kah doon
Kai baar maine kadam badaya...
Kai baar door se dekh tujhe
Laga tu apna,nahi koi paraya....

Din guzre tere khyalon me ..
tujhe hi raat khwabon me paaya...
Bade jatan se samjhaya dil ko
Tab ye aaj yanha tak aa paya....

Himmat ki phir thodi aur
Kuch phool sath lekar aaya....
Dil aur dimaag ki kasmakash me
Jyada hi vaqt maine lagaya..

Tujhko shayad thi jaldi jaana
Nadaan dil ye samajh nahi paya..
Mujhko thoda vaqt laga aur
Koi aur bana tera hsmsaaya......

Shayad Lagi nazar in phoolon ki
Berahmi se toda jinhe..
Tere khatir inhe bhi aaj
Jane maine kitna tadpaya......

zainy 11th September 2014 03:17 PM

Toota toota dil toota,
Choota choota sab choota,
Tujhko hee samjha saccha,
Too bhi nikla jhootha,

Dekha jo tujhko to
Man ne jode dhaage
Aaj chhuda ke haath
Nikle tum aage aage

Loota loota sb loota
Patti patti boota boota
Ek bs dil hai bacha
Vo bhi toota foota

Dekha tujhe jab se
Maanga tujhe tab se
De ke fir cheena hai
Kya kahun rab se

Rooth rootha rab rootha
Aankhon se samandar foota
Jiyunga kaise main ab
Sab hai choota choota

Toota toota dil toota,
Choota choota sab choota,
Tujhko hee samjha saccha,
Too bhi nikla jhootha,

zainy 11th September 2014 03:18 PM

Title: Mehboob, Raqeeb Ko Baghal Mein Bithaaye Huay


taaza hawa meiN tafreeh ke liye aaye huay!
mehboob, raqeeb ko baghal meiN bithaaye huay

woh jin ki khaatir hum ne barbaad kar di zindagi
bethe haiN shoq se kisi aur ka dil behlaaye huay

tohfa-e-aqeedat laaye thay un ke liye door se!
yahaN to woh ghairoN ka ghar basaaye huay

hamara harra bharra dil dasht ka manzar hua
aas ke sabhi phool bhi aaj murjhaaye huay

kal ke aashna pal bhar meiN huay na-aashna
jaane kese sulagtay dil ko hum samjhaaye huay

un ki khushi meiN kyuN na shareek hoN hum!
apni zaat ko sar-e-aam un per lutaaye huay

kal tak mere shaanoN pe sir tha jis dil-ruba ka!!
ruteN badli to woh auroN ke naaz uthaaye huay

dil-lagi ik din jaaN ka rog bun ke nigal jaaye gi
kab socha tha hum bhi hoN ge jaaN se haaray huay

us shaks ko dikhaaya tha in haathoN meiN jis ne!
aaj woh najoomi bhi hum se sir chupaaye huay

zainy 11th September 2014 03:18 PM

tum hi to meri nigaahoN meiN the
aaj kyoN tum gairoN ki baahoN meiN the ?
maine tumse pyaar kiyaa
kyoN tumne inkaar kiyaa ?
maine jaaN se zydaa chahyaa tujhe
apne har khwaab meiN paayaa tujhe
mere jeene ka saharaa hai tu
meri zindagi ka kinaraa hai tu
tere binaa kon mujhe saMbaaleN ?
aajaa ek baar gale se lagaa leN
aakhir kyoN tum mujhse khafaa huye
kyaa wajah thi jo tum bewafaa huye ?

zainy 11th September 2014 03:19 PM

Iss tarha aankh churayenge ye maalum na tha
Wo hume tod hi jayenge ye maalum na tha

Tod kar rasmon ko thama tha jo daaman humne
Aaj daaman wo chhudayenge ye maalum na tha

Humne jis shakhs ko sartaaj banaya apna
Humko nazron se girayenge ye maalum na tha

Aaina banke nibhati thi main jinse subah o sham
Aaj wo ungli uthayenge ye maalum na tha

Humne har rishte ko thukraya tha jinke aage
Wo kabhi chhod bhi jayenge ye maalum na tha…!!!

sunita thakur 11th September 2014 03:37 PM

Best wishes to all participants
 
dear members...bahut accha likha hai sabhi ne...sabhi ko hamari taraf se shub-kaamnaye... :)

masti 12th September 2014 05:11 PM

Bohut khoob.......ek se badhkar ek.

Sabhi ehsaas beshkimti aur sab ko dil se daad.

Jisse main sabse jaada relate kar paayi ya jiska dard mere dil ne mehsoos kiya woh hai no.3

Maine isey tasveer par 100% utarta paaya.

Magar iska katai yeh arth nahi ki koi rachna kisi se kum hai. Sab bohut sundar.

sameer'shaad' 13th September 2014 09:43 AM

i have also given my vote...... all of them are too good.

my heartily wishes to all of the participant.... All the best.

zainy 15th September 2014 11:50 AM

Please vote..................................

Ahmad Hyderabadi 15th September 2014 07:44 PM

Aadaab O Tasleemat Bhaeeo wa Bahno!!

Absolute gems... that's what all of the above works of poetry are!! Har kaavish dard-o-gham say labrayz, jazbaataon wa ehsaasaat ka paimaana haye! Har kaavish apnay drishtikone/perspective say sahee haye... my job of choosing a single one was made diffcult by the effort being put in by each participant poet. I believe this comp is much more about learning and sharing than winning or losing, so I chose the ones I (in my own flawed view), found more close to the subject in the "Tasveer".


Wishing everyone Good Luck and All the Best!!

Duago
Ahmad

Fathomless 15th September 2014 09:03 PM

voted............................... .... :)

lekhraj 16th September 2014 12:37 PM

Bahut khoob likha hai sabhi ne...All the best to all participants...

Voted.....:)

zainy 17th September 2014 12:30 PM

Looks like very tough competition this time...:)

Chaliye dostoN jaldi se apna vote dijiye aur best one ko jitaiye

Only 3 days left....

Dhaval 18th September 2014 11:40 PM

Sabhi doston ko dil se mubaaraqbaad. . . . . .

aru 19th September 2014 06:38 AM

only 1 day left......hurry up friends..........


All times are GMT +5.5. The time now is 02:42 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.