Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   Dukh dard k maron se mera zikr na karna (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76488)

Aafan22 12th November 2013 12:50 AM

Dukh dard k maron se mera zikr na karna
 
Dukh dard k maron se mera zikr na karna
Ghar jao to yaron se mera zikr na karna
Wo zabt na kar payngi ankhon k samandar
Tum raah guzaron se mera zikr na karna
Phulon k nasheman me raha hu me sada se
Dekho kabhi kharon se mera zikr na karna
Shaid ye andhere hi mujhe raah dikhaen
Abb chand sitaron se mera zikr na karna
Wo meri kahani ko galat rang na de dein
Afsana nigaron se mera zikr na karna
Shayad wo mere haal pe be- sakhata roo dein
Iss bar baharon se mera zikr na karna
Le jaynge gehrai me tum ko bhi baha kar
Dariya k kinaron se mera zikr na karna
Wo shakhs mile to use har bat batana
Tum sirf isharon se mera zikr na karna...

aadeil 12th November 2013 09:50 AM

Waaahhhh! Bahot aalaa gazal likhii hai Aafanji!
Gungunane ko jii karta hai.

Aate rahiye aur likhte rahiye

Aafan22 12th November 2013 11:49 AM

Thnx aadil bhai,jarur mai koshish karunga acchi ghazalein likhne ki

Zinda Laash 12th November 2013 12:13 PM

Wasi Shah ki behad khubsurat ghazal
 
Yeh bahut hi Khubsurat ghazal hain Wasi Shah saab ki
2009 mein suni thi humne

Aafanji, shukriya ise share karne k liye
Aadeil saab, waakey khubsurat ghazal hain !! :)

Aafan ji, par kam se kam kisi aur ki rachna ka credit khud mat lo
mention karo k yeh aapne nahi likhi
"not mine" likha kare.. mod saab aapko batayenge

agar Dil dukhaya ho to maafi ka talabgaar
Zinda Laash


Quote:

Originally Posted by Aafan22 (Post 455224)
Dukh dard k maron se mera zikr na karna
Ghar jao to yaron se mera zikr na karna
Wo zabt na kar payngi ankhon k samandar
Tum raah guzaron se mera zikr na karna
Phulon k nasheman me raha hu me sada se
Dekho kabhi kharon se mera zikr na karna
Shaid ye andhere hi mujhe raah dikhaen
Abb chand sitaron se mera zikr na karna
Wo meri kahani ko galat rang na de dein
Afsana nigaron se mera zikr na karna
Shayad wo mere haal pe be- sakhata roo dein
Iss bar baharon se mera zikr na karna
Le jaynge gehrai me tum ko bhi baha kar
Dariya k kinaron se mera zikr na karna
Wo shakhs mile to use har bat batana
Tum sirf isharon se mera zikr na karna...


Aafan22 12th November 2013 01:28 PM

Thank you bhai,online me ye meri pehli ghazal thi to mujhe pata nai tha k naam b likhna hoga,jarur se aapki baton ka mai dhyan rakhunga,par mai b ahmed faraz aur rahat indori sahab ka shagird hu to apni ghazalein b mai jarur post rahunga,khuda aapko salamat rakhe....

shakir ali 01 12th November 2013 01:39 PM

bahut khub daaaaaaaaad pesh hai

Aafan22 12th November 2013 01:48 PM

Shakir sahab boht shukriya,aapki daad kabul...

sameer'shaad' 12th November 2013 03:10 PM

bahot acchi peshkash hai Aafan aapki..... aur jaisaa ke ZL saab ne bataaya hameshayar ko uska credit zaroor denaa chahiye.... isliye ummeed hai ke aage se aap in sab baaton ka kahyaal rakkhenge.. aur hamaare saath jude rahenge...

likhte rahiye, share karte rahiye, khush rahiye..................

Shaad....

aru 15th November 2013 06:30 AM

afaan jee very nice sharing.....aapka shayri ka intrest bahut accha laga, par upar samjhayi gayi baaton ka hamesha khyaal rakhein....thanx for sharing..

Aafan22 15th November 2013 09:47 AM

Thank you very much sameer and aru bhai for ur suggestions and appreciation,i will surely adhere to things which u have said....


All times are GMT +5.5. The time now is 11:13 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.