Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Aapki Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=32)
-   -   dard (tadap) (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=51437)

aru 20th August 2006 11:54 AM

dard (tadap)
 
GHAJAL ISE SAMAJNHNE KEE GALTI MAT KARNA
SHER ISE SAMAJNHNE KEE GUSTAKHI MAT KARNA
NAA YE SHER NAA YE GHAJAL HAI
BAS MERA BEETA HUA EK PAL HAI

PADNA ISE DOSTON KUCH IS TARAH SE
JAISE MERE PYAAR KO SHRADDHANJALI DE RAHE HO


Tumhee meri mohabbat,
tumhee meri bandigi,
tumhjee se meri sari jindagi hai.

aye the kabhie vo mujhse karne pyaar
sab kuch apna lutaane ko yaar
dost mere ab vo din dhal gaye
dekhte dekhte vo kitna badal gaye

badlein hain vo kuch is tarah se
jaise mera sab kuch lootne jaa rahe hain

bade pyaar se usne badla the mera naam
subhah shaam use lena bas yehi tha kaam
aaj ye nujhe thodi taqleef pahunchata hai
jab koi aur mujhe "aru' pukarta hai

bhoolen hain vo mera naam kuch is tarah se
jaise koi apni bhoolta yaadshasht hai

usne to katl mera kar hee diya tha
jaanta hoon bas mein kaise jiya tha
dil ab bhi kahin mera nahin lagta hai
naa jeete banta hai naa marte banta hai

jeete hai ab hum kuch is tarah se
jaise kisi gunaah kee saja kaat rahe hain

choodti maa baap ke liye to gum nahin hota
choodti paise ke liya vo bhi kam nahin hota
chooda kisi aur ke liya bas ye gila hai
meri mohabbat ka kya ye sila hai

sehte hai sab hum kuch is tarah se
jaise tadpane mein maja aa raha hai

jaane vo kya tha jo usne kiya tha
jaane vo kya tha jo usne diya tha
itna to ab hum bhi jaante hain
naa use pyaar naa dil kehte hain

karte hain sanam pyaar kuch is tarah se
jaise apna sab kuch lutaane jaa rahe hain

dost mere kehte hain use too bool jaa
vo gayee choodkar,too ye kubool jaa
kehte hain hum doston bhoola use jaata hai
jise kabhie yaad kiya jaata hai

karte hain yaad hum kuch is tarah se
jaise ek saans ke baad aati doosri saans hai

kabhie hum bhi hanste the mere doston
kabhie hum bhi hansaate the mere doston
aaj ye aalam hai kee jidhar se gujarte hain
log dekhkar hansna band kar dete hain

hansenge ek din hum kuch is tarah se
jaise koi jaane waala karta aakhiri salaam hai

aaj bhi yaad hai apnee aakhiri mulaqat
pata hota mujhko to jee bhar kar mil leta
e mere sanam ehsaan ek kar do
aakhiri mulaqat kehkar aakhiri baar mil lo

milenge us din hum kuch is tarah se
jaise kal hee duniya choodne jaa rahe hain

uskee tasveeron ko dekh nahin paata hoon
uske tohfon ko fenq nahin pata hon
kya karoon main kuch samajh nahin pata hoon
uske likhe khat jala nahin pata hoon

jaloonga sab ek din kuch is tarah se
jaise koi khud hee apnee jalata chita hai

usko hee dekhkar likha karte the
ek ek rachna use padaya karte the
doston hum aaj bhi badlein nahin hain
kal ho ya aaj ho likhte usee pe hain

likhte hain par kuch is tarah se
jaise koi beemar apne dard ko karta bayan hai

kabhie mana karte the vo peene se
aaj mana karte hain vo jeene se
magar yaaron hum aaj bhi pee lete hain
shayad isiliye hum jee lete hain

peete hain par kuch is tarah se
jaise jeene kee dava pee rahe hain

vo din jab hame pata chalee baat thi
naa poochoo doston qyamat kee raat thi
aankhon se mere aasoon bahe jaa rahe the
mere dard kee daastan kahe jaa rahe the

roya the us din hum kuch is tarah se
jaise samandar mein aa gaya sailaab hai

jasbaaton se kisi ke khela nahin karte
pyaar se diye tohfe fenkaa nahin karte
isse to accha mujhe lota dete
seene se laga kar hum rakh lete

chalte hain sadak parhum kuch is tarah se
jaise apne tohfe dhoondte jaa rahe hain

jaata hoon ab bhi un jagahon par
milte the kabhie hum jin jagahon par
aag se ek tan man mein lag jaati hai
har taraf vo hee mujhe nazar aati hai

lagta hai vahan par kuch is tarah se
jaise mujhe jagah jagah dafan kar diya hai

khuda mere ye din kisi ko naa dikhaye
jab uska pyaar use chood kar chala jaaye
mere doston vo waqt bahut hee gujarta bura hai
jab apnaa hee yaar ghopnta chura hai

jeete hain yaaron hum kuch is tarah se
jasie apnee saason kaa lihaaz kar rahe hain

vo kehte hain hume maaf kar do
hum kehte hain jara insaaf kar do
sab kuch kisi kaa leke jaaya nahin karte
yaa phir uskee jindagi mein aaya nahin karte

hoga insaaf ek din kuch is tarah se
jaise khuda ko sab kuch dikhaye de raha hai

mere doston mera ek kaam kar dena
mere marne kee kahabr un tak pahuncha dena
ho sakta hai aankhen ashkon se bhar jaaye
aur shayd labon par mere naam bhi aa jaaye

sawar jayegi meri kismat kuch is tarah se
jaise kisi shaheed ko marne ke baad milta inaam hai

jyotiff 28th October 2006 12:09 AM

sach maniye aru sahab.aaj aapka ye nagma padhkar aisa lag raha hai ki shayad meri beeti hui zindagi b inhi mein kahin hai.
inhi mein hai mere zindagi ki wo sachai jo yaad aane par deti hai toh sirf aansu aur takleef.
par aaj aisa lagta hai ki shayad meri zindagi ka sabse bada sach b ye hi chund nagme hain.
sochti hun toh aisa lagta hai ki kya sach mein wo beete hue pal sirf in lafzon mein simat kar reh jayenge.kya wo pal kabhi dobara wapas nahi aayenge.
ho sake toh aru sahab mere in chund sawalon ka jawab zaroor dijeyga.

dard_a 28th October 2006 04:28 PM

hi,Aru
aapki dil ki dastan mahsus ki to dil ne kaha kash yun hi koi chahe kisi ko koi dil se jese apane chu le kisi ke ahsko ko ...aur de jaaye ek aur lamha apni jindagi ko ..
aur kya kahun...
apke liye anjani aur ajnabi
dard_a{nisha}

aru 28th October 2006 07:33 PM

Quote:

Originally Posted by jyotiff (Post 217093)
sach maniye aru sahab.aaj aapka ye nagma padhkar aisa lag raha hai ki shayad meri beeti hui zindagi b inhi mein kahin hai.
inhi mein hai mere zindagi ki wo sachai jo yaad aane par deti hai toh sirf aansu aur takleef.
par aaj aisa lagta hai ki shayad meri zindagi ka sabse bada sach b ye hi chund nagme hain.
sochti hun toh aisa lagta hai ki kya sach mein wo beete hue pal sirf in lafzon mein simat kar reh jayenge.kya wo pal kabhi dobara wapas nahi aayenge.
ho sake toh aru sahab mere in chund sawalon ka jawab zaroor dijeyga.

hi jyoti,thx aapko mera ye nagma accha laga,padkar aapko kuch beete hue pal yaad aa gaye,jyoti jee beete hue pal kabhie laut kar nahin aate, haan uskee yaadein hamesha banee rehti hain,hum chah kar bhi unhe nahin bhool sakte,isliye bhulane kee koshish bhi nahin kaenee chahiyue,yaad aaye to yaad zaroor karoye unse bhaagiye mat. ok but dont spoil ur life , use this emotion in a positive way as like me,
jab bhi yaad aati hai likh leta hoon
dard ko shabd ,ashkon ko syahi bana leta hoon

aru 28th October 2006 07:36 PM

Quote:

Originally Posted by dard_a (Post 217129)
hi,Aru
aapki dil ki dastan mahsus ki to dil ne kaha kash yun hi koi chahe kisi ko koi dil se jese apane chu le kisi ke ahsko ko ...aur de jaaye ek aur lamha apni jindagi ko ..
aur kya kahun...
apke liye anjani aur ajnabi
dard_a{nisha}

hi nisha jee,
thx aapko mere ye nagma accha laga,kaafe aachi baat kahee hai aapne,par jab dil ko chot panuchtee hai to........... leave it
thx again

mujib66 14th November 2006 12:29 PM

bohut hi achhi nazm hai ey.
is ne dil ko touch kia.
isi tarah likhte rahiye
mere kalaam bhi padhiyega.
yeh "sheyeri-e-ishq" aur "Ghazal Section" men available hain.

aap ka dost
Mujeeb Parwaaz

aru 18th November 2006 04:16 PM

Quote:

Originally Posted by mujib66 (Post 218871)
bohut hi achhi nazm hai ey.
is ne dil ko touch kia.
isi tarah likhte rahiye
mere kalaam bhi padhiyega.
yeh "sheyeri-e-ishq" aur "Ghazal Section" men available hain.

aap ka dost
Mujeeb Parwaaz

thanx mujeeb jee ,thx aapne pada aur aapko accha laga

dard_a 19th January 2007 07:36 PM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 217147)
hi nisha jee,
thx aapko mere ye nagma accha laga,kaafe aachi baat kahee hai aapne,par jab dil ko chot panuchtee hai to........... leave it
thx again

hi,arvind
mujhe kuch aur nahi srif itna kahna hai ki is dil par lagate hain jo wo jakham dikhate nahi apnou se milate hain jo wo dard mitate nahi so take care n bst of luck

aru 21st September 2012 09:25 AM

apne sahi kaha hai nisha jee, dil ka dard dikhayee nahin deta, yun hee reply karte rahiye.

geetu87 16th April 2013 04:33 PM

aru sir ye aap biti un sab ke liye hai jinhone pyar me dhokha khaya hai, mae aap jaisa likh to nahi sakti but realy in lines me meri story najar aayi h

thanks
aise hi likhte raho

aru 18th April 2013 06:14 PM

Quote:

Originally Posted by geetu87 (Post 451437)
aru sir ye aap biti un sab ke liye hai jinhone pyar me dhokha khaya hai, mae aap jaisa likh to nahi sakti but realy in lines me meri story najar aayi h

thanks
aise hi likhte raho

Thanx geetu jee....aapko mera ye kalaam pasand aaya..main to dekh ke chaunk gaya kee itne purane kalaam pe kisne reply kiya...kaise dhundha aapne..is kalaam pe vo hee log reply kar paate jo ise vaastav mein feel karte hain. Kai log to poora pad hee nahin paate, par jo poora pad leta hai..vo bina reply kiye nahin reh pata, ye kalaan sirf kalaam nahin meri kahani hai....jo kisi aur kee bhi ho sakti hai....
Aur aap aisa mat kahiye kee mere jaisa nahin likh sakti...koshish kariye..i will help u..


All times are GMT +5.5. The time now is 10:20 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.