Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   waheeN pe daaman ulajh rahaa hai, jahaaN se daaman chhuRaa rahe haiN! (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=60895)

dheer 20th May 2008 11:20 AM

waheeN pe daaman ulajh rahaa hai, jahaaN se daaman chhuRaa rahe haiN!
 
aadaab ar^z dostoN!!
haal hee meiN Alama Iqbal saHeb kee zameen pe aik ghazal kahne kee koshish kee thee! misra kuchh yuN thaa,

"naye zamaane meiN aap ham ko puraanee baateiN sunaa rahe haiN"

ghazal peshe khidmat hai!!


waheeN pe daaman ulajh rahaa hai, jahaaN se daaman chhuRaa rahe haiN!
chale the jis dar se bekhudee meiN, usee ko phir khaT-khaTaa rahe haiN,

simaT ke chaadar meiN sone waale yuN paaoN phailaate jaa rahe haiN!
zaraa si aamad baRhee to apnee zarooratoN ko baRhaa rahe haiN!

tiree hi baa.ntee, diyaa bhi teraa, tire hi dam se ye raushanii hai!
tiree hifaazat meiN zindagee ke chiraagh sab jhilmilaa rahe haiN!

ye kiski zulfoN se chupke chupke nikal ke shab muskuraa rahee hai,
ye haar, ye baaliyaaN haiN kiski,jo aasamaaN ko sajaa rahe haiN!

baRhaa ke raftaar zindagee kee, na jaane kyaa kar liyaa hai HaaSil,
junoon e manzil meiN kisliye ham, sukoon e hastee gavaa rahe haiN!

woh lamhe jo kal talak miree zindagee ko bad'tar banaa rahe the,
khyaaloN meiN aaj aa gaye to,laboN pe muskaan laa rahe haiN!

na mehfileN haiN, na sun'ne waale, na ab rahee woh sukhan-nawaazee!
wo sher o naghme,ghazal taraane, kitaab meiN chhaT-paTaa rahe haiN!


apnee beshqimat raa'i se aagaah karvaaye aisee ilteja hai!

shukriyaa!

dard_a 20th May 2008 11:41 AM

grt
 
hi,
aap bahut accha likhate hain ...mujhe bahut accha lga aapka likha padh kar


tak care bye
dard_a

mausam 20th May 2008 03:42 PM

baRhaa ke raftaar zindagee kee, na jaane kyaa kar liyaa hai HaaSil,
junoon e manzil meiN kisliye ham, sukoon e hastee gavaa rahe haiN!


namaste dheer ji......chaliyee app fir se is mehfil main ronak le aaye..:)aajkal prashantji ki wajeh se waise bhi ronak hain........aaap bhi........yaha ka rukh jyada kiya kijeye.........puri ghazal khub rahin..quote kiya sher dil ki chu gaya...........dil se daad qubool kare................

mausam:)

dheer 22nd May 2008 10:21 AM

Quote:

Originally Posted by dard_a (Post 288758)
hi,
aap bahut accha likhate hain ...mujhe bahut accha lga aapka likha padh kar


tak care bye
dard_a

yeh meree khushneseebee hai saHeb!! agar aapkaa naam bhee naachiz ko maaloom ho jaaye to aglee baar guftagoo meiN aasaanee hogee!!
shukriyaa!!

dheer 22nd May 2008 10:23 AM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 288789)
baRhaa ke raftaar zindagee kee, na jaane kyaa kar liyaa hai HaaSil,
junoon e manzil meiN kisliye ham, sukoon e hastee gavaa rahe haiN!


namaste dheer ji......chaliyee app fir se is mehfil main ronak le aaye..:)aajkal prashantji ki wajeh se waise bhi ronak hain........aaap bhi........yaha ka rukh jyada kiya kijeye.........puri ghazal khub rahin..quote kiya sher dil ki chu gaya...........dil se daad qubool kare................

mausam:)

namaste!!
likhne waalaa aap jaise sukhan nawaazo ko chhoR ke kahaaN jaayegaa!! mehfil ke rounaq zaroor pheekee hai, magar mujhe apnaa kaam karte jaanaa hai!
ghazal kee pazeraayi ke liye shukriyaa :)
apnaa khayaal rakhiyegaa!!

Dheer

rajveeer 22nd May 2008 05:47 PM

bhut khub
 
mere azeez dost dheer sahib aapko is nacheez ka adaab.....janaab aaj ek arse ke baad is site par kush acha parhne ko mila to raha na gyaa, khud ko rook na paya main tareef karne se....soach raha hoon kis lafaz. kis misre kis share ya kis khyaal ki taref karu, poora hi kalaam dilkash or bemisaal hai....bhut hii khub meri daad kabool kare bhai or apna khyaal rakhiyega....raj.....

baagi 23rd May 2008 06:00 PM

waaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaah
kya baat hai ,bahut hi khoobsurat sher hai sabhi,

simaT ke chaadar meiN sone waale yuN paaoN phailaate jaa rahe haiN!
zaraa si aamad baRhee to apnee zarooratoN ko baRhaa rahe haiN!


baRhaa ke raftaar zindagee kee, na jaane kyaa kar liyaa hai HaaSil,
junoon e manzil meiN kisliye ham, sukoon e hastee gavaa rahe haiN!


na mehfileN haiN, na sun'ne waale, na ab rahee woh sukhan-nawaazee!
wo sher o naghme,ghazal taraane, kitaab meiN chhaT-paTaa rahe ha


ye sher to gajab hai...share karte rahen.dhanyabaad

Dhaval 24th May 2008 10:03 AM

Dheer BHaiya:

namaste!!:)

aapne ees zameen par qaabil-e-taareef Ghazal peSh kii haii.. aik beHteriN Ghazal par DheroN saarii baDhaa'iiYaaN.. jaise aapne mujHe yeh zameen dee thee.. maiN bhee koShiSh karuNgaa kii ees zameen ko lekar Ghazal liKhuN aur pooraa iNsaaf karuN .! ShuKriyaaH

apnaa Khayaal raKheN.. KhuSh raheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval.

talib 24th May 2008 03:16 PM

Dheer Sahaab Namashkaar,

Bohot haseen aur ba-shaoor ghazal pesh ki hain aapne.. ek muddat ke baad koi kalaam paDh karr dil ko sukoon haasil hua hai.. khaas taur se ghazal ka aakhri sher bohot pasand aayaa.. bilkool iss bazm ki halat bayaan karta hai..

Dua hain aap yunn hi likhte rahe.. Allah kare zor-e-kalam aur ziyaada.

Salaam.

dheer 26th May 2008 10:09 AM

Quote:

Originally Posted by rajveeer (Post 289090)
mere azeez dost dheer sahib aapko is nacheez ka adaab.....janaab aaj ek arse ke baad is site par kush acha parhne ko mila to raha na gyaa, khud ko rook na paya main tareef karne se....soach raha hoon kis lafaz. kis misre kis share ya kis khyaal ki taref karu, poora hi kalaam dilkash or bemisaal hai....bhut hii khub meri daad kabool kare bhai or apna khyaal rakhiyega....raj.....

apne khas dostoN ko jab bhee ghazloN pe dekhtaa huN to dil khush ho jaataa hai. aur phir aap jo ab id kaa chand bane hue hai, to khush bhee huN aur naaraaz bhee. bazm ke chaahne waalo kee bazm se dorree daikh kar dukh hotaa hai. khair aapkee bhee apnee majburiyaaN rahee hogee.
naaraazgee baa-taraf , ye kahiye ke kaise mizaaz hai aapke. sab khairiyat hai naa.
ghazal par aapkee daad jin alfaazoN meiN HaaSil huee hai , uske badle meiN shukriyaa adaa karne thoRaa kam lagtaa hai!! so rahne detaa huN. bas aapkee yahaaN baraabar aamad hotee rahe , yahee duaa hai!!!

aapkaa choTaa!!
Dheer

dheer 26th May 2008 10:14 AM

Quote:

Originally Posted by baagi (Post 289178)
waaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaah
kya baat hai ,bahut hi khoobsurat sher hai sabhi,

simaT ke chaadar meiN sone waale yuN paaoN phailaate jaa rahe haiN!
zaraa si aamad baRhee to apnee zarooratoN ko baRhaa rahe haiN!


baRhaa ke raftaar zindagee kee, na jaane kyaa kar liyaa hai HaaSil,
junoon e manzil meiN kisliye ham, sukoon e hastee gavaa rahe haiN!


na mehfileN haiN, na sun'ne waale, na ab rahee woh sukhan-nawaazee!
wo sher o naghme,ghazal taraane, kitaab meiN chhaT-paTaa rahe ha


ye sher to gajab hai...share karte rahen.dhanyabaad

shukriyaa saHeb!!
ghazal aapko pasand aayee, so meree mehnat kaamyaab huee!!
apnaa khayal rakhiyegaa!!

Dheer

dheer 26th May 2008 10:18 AM

Quote:

Originally Posted by dhavalrami4you (Post 289231)
Dheer BHaiya:

namaste!!:)

aapne ees zameen par qaabil-e-taareef Ghazal peSh kii haii.. aik beHteriN Ghazal par DheroN saarii baDhaa'iiYaaN.. jaise aapne mujHe yeh zameen dee thee.. maiN bhee koShiSh karuNgaa kii ees zameen ko lekar Ghazal liKhuN aur pooraa iNsaaf karuN .! ShuKriyaaH

apnaa Khayaal raKheN.. KhuSh raheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval.

ghazal kee pazeraayee ke liye bahu tbahut shukriyaa Dhaval!! tumhaaree ghazal ka intzaar rahegaa!!
khush rahoN :)

dheer 26th May 2008 10:21 AM

Quote:

Originally Posted by talib (Post 289261)
Dheer Sahaab Namashkaar,

Bohot haseen aur ba-shaoor ghazal pesh ki hain aapne.. ek muddat ke baad koi kalaam paDh karr dil ko sukoon haasil hua hai.. khaas taur se ghazal ka aakhri sher bohot pasand aayaa.. bilkool iss bazm ki halat bayaan karta hai..

Dua hain aap yunn hi likhte rahe.. Allah kare zor-e-kalam aur ziyaada.

Salaam.

mohatram talib saHeb!!
aadaab ar^z!! ghazal ko pasand karne ke liye shukriyaaH. maqte pe khaas daad ke liye mamnoon huN. ab kyaa kiyaa jaa saktaa hai, shaa'irii dheere dheere kam hotee jaa rahee haiN. aam aadmee ko ab in chozoN meiN koee dilchaspee naheeN. soch kar dukh hotaa hai.
khir ham apnaa kaam kiye jaa rahe hai!
apnaa khayaal rakhiyegaa !!

khudaa haafiz!!


All times are GMT +5.5. The time now is 12:01 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.