Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai (Ghazal) (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80127)

maikasH 7th January 2017 09:32 AM

yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai (Ghazal)
 
PindaaN waali mauj nai labhdi
Yaaran di oh fauj nai labhdi
Kalle manjaa dhaa baithe aaN
"Sandhua" kitthe aa baithe aaN!

.................................................. ...

bazm-e-sukhan sajaao tabiyat udaas hai
yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai

mai ho ke dawaa ho ye maraz la-ilaaj hai
saaqi zahar pilaao, tabiyat udaas hai

deen-o-haram ki baat kisi aur din sahi
vaiiz, galey lagaao, tabiyat udaas hai

voh aa rahe haiN phir se aaj yaad baar baar
kaaGhaz-qalam uThaao, tabiyat udaas hai

har ashq ne dam toDne se peshtar*, kahaa
“maikash” :unheN: bulaao, tabiyat udaas hai

*peshtar = before, pehle

rab raakha
maikash

sunita thakur 7th January 2017 05:28 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 495465)

wahhhhhh Maikash ji.....majja aa gya aapki gazal pad ke, hamesha ki tarah superb :)

khush rhiye
rabb raakha
:)

Madhu 14 7th January 2017 08:47 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 495465)
PindaaN waali mauj nai labhdi
Yaaran di oh fauj nai labhdi
Kalle manjaa dhaa baithe aaN
"Sandhua" kitthe aa baithe aaN!

.................................................. ...

bazm-e-sukhan sajaao tabiyat udaas hai
yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai

mai ho ke dawaa ho ye maraz la-ilaaj hai
saaqi zahar pilaao, tabiyat udaas hai

deen-o-haram ki baat kisi aur din sahi
vaiiz, galey lagaao, tabiyat udaas hai

voh aa rahe haiN phir se aaj yaad baar baar
kaaGhaz-qalam uThaao, tabiyat udaas hai

har ashq ne dam toDne se peshtar*, kahaa
“maikash” :unheN: bulaao, tabiyat udaas hai

*peshtar = before, pehle

rab raakha
maikash

Bas ek hee lafz...lajwaab.!!!!!

Salamat rahein....

Qasid 12th January 2017 07:19 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 495465)
PindaaN waali mauj nai labhdi
Yaaran di oh fauj nai labhdi
Kalle manjaa dhaa baithe aaN
"Sandhua" kitthe aa baithe aaN!

.................................................. ...

bazm-e-sukhan sajaao tabiyat udaas hai
yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai

mai ho ke dawaa ho ye maraz la-ilaaj hai
saaqi zahar pilaao, tabiyat udaas hai

deen-o-haram ki baat kisi aur din sahi
vaiiz, galey lagaao, tabiyat udaas hai

voh aa rahe haiN phir se aaj yaad baar baar
kaaGhaz-qalam uThaao, tabiyat udaas hai

har ashq ne dam toDne se peshtar*, kahaa
“maikash” :unheN: bulaao, tabiyat udaas hai

*peshtar = before, pehle

rab raakha
maikash

Umdaa ustaad...har sher mein vo kashish ki kya baat hai....bechain dil ko qaraar aa gaya....yunhi likhte rahiye janaab...

maikasH 13th January 2017 04:27 AM

Shukriya, aap sab ka

baraa-e-meherbaani, rasmii "waah-waah" se parhez kiya kijiye

rab raakha jee
maikash

Qasid 13th January 2017 09:48 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 495519)
Shukriya, aap sab ka

baraa-e-meherbaani, rasmii "waah-waah" se parhez kiya kijiye

rab raakha jee
maikash

:( aisa kyun laga aapko ki yeh rasmii waah-waah hai?

Madhu 14 13th January 2017 10:17 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 495519)
Shukriya, aap sab ka

baraa-e-meherbaani, rasmii "waah-waah" se parhez kiya kijiye

rab raakha jee
maikash

rasmi waah waah.............??

maikasH 21st January 2017 02:02 AM

just an observation.

stay safe and sound.

rab raakha
maikash

aru 26th January 2017 03:14 PM

BAhut dino baad aapko pada kailash sahab..it's really wonderful creation of yours....

maikasH 30th January 2017 04:06 AM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 495568)
BAhut dino baad aapko pada kailash sahab..it's really wonderful creation of yours....

yeh apne kailash saahab kaun hai Aru bhai? :confused:

sameer'shaad' 2nd February 2017 07:15 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 495465)
PindaaN waali mauj nai labhdi
Yaaran di oh fauj nai labhdi
Kalle manjaa dhaa baithe aaN
"Sandhua" kitthe aa baithe aaN!

.................................................. ...

bazm-e-sukhan sajaao tabiyat udaas hai
yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai

mai ho ke dawaa ho ye maraz la-ilaaj hai
saaqi zahar pilaao, tabiyat udaas hai

deen-o-haram ki baat kisi aur din sahi
vaiiz, galey lagaao, tabiyat udaas hai

voh aa rahe haiN phir se aaj yaad baar baar
kaaGhaz-qalam uThaao, tabiyat udaas hai

har ashq ne dam toDne se peshtar*, kahaa
“maikash” :unheN: bulaao, tabiyat udaas hai

*peshtar = before, pehle

rab raakha
maikash

maikash bhai tak shaad ka aadaab pahoNche.....
ummeed karta hoon khairiyat se honge, aaj aapki is taazaa tareen ghazal pe nazar gayee to main khud ko maikash mahsoos kar raha hoon...
dil ko itnaa sukoon mil raha hai aapke kalaam ke lafz lafz se ke bayaan nahi kiyaa ja sakta, bas use mahsoos karke sukoon paaya jaa sakta hai....

aapki kalam me waaqai jaadu sa hai koii..... ham khushnaseeb hain jo aap jaise aalaa shayaron ki sohbat me pal rahe hain seekh rahe hain....
mujh haqeer ki naaqis daad qubool kijiye.....

tashreef laate rahiye.... apna khayaal rakhiye.. likhte rahiye

Shaad....

sunita thakur 6th February 2017 02:40 PM

aaj aik baar phir se aapki gazal padne ka dil hua to yeh sher bas jubaaN par atak gya :( aaj apna bhi dil udhas hai :(

bazm-e-sukhan sajaao tabiyat udaas hai
yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai

Dard-e-sush 1st March 2017 09:07 PM

har ashq ne dam toDne se peshtar*, kahaa
“maikash” :unheN: bulaao, tabiyat udaas hai

Maikaash Bhai
Written straight on heart. Sort of Nostalgic.
You are king of such writing.

"na haste hein na khul kar roo rahe hein
ye kesi zindagi ham dho rahe hein"

God bless you.

akant 17th July 2017 01:45 PM

excellent
 
Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 495465)
PindaaN waali mauj nai labhdi
Yaaran di oh fauj nai labhdi
Kalle manjaa dhaa baithe aaN
"Sandhua" kitthe aa baithe aaN!

.................................................. ...

bazm-e-sukhan sajaao tabiyat udaas hai
yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai

mai ho ke dawaa ho ye maraz la-ilaaj hai
saaqi zahar pilaao, tabiyat udaas hai

deen-o-haram ki baat kisi aur din sahi
vaiiz, galey lagaao, tabiyat udaas hai

voh aa rahe haiN phir se aaj yaad baar baar
kaaGhaz-qalam uThaao, tabiyat udaas hai

har ashq ne dam toDne se peshtar*, kahaa
“maikash” :unheN: bulaao, tabiyat udaas hai

*peshtar = before, pehle

rab raakha
maikash

bahut dino baad punah aapko padha... bahut sunder rachana likhi hai aapne..

shubhkamnao sahit
Akant...

zainy 23rd January 2020 12:54 AM

voh aa rahe haiN phir se aaj yaad baar baar
kaaGhaz-qalam uThaao, tabiyat udaas hai

Waaah..lajawaab ghazal..
Har ek sher zabardast..

Likhte rahiye...khaas aapki ghazalein padhne ..kaafi log ab bhi Sdc per aate hain.

A very happy birthday to you

Dhaval 19th April 2021 11:41 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 495465)
PindaaN waali mauj nai labhdi
Yaaran di oh fauj nai labhdi
Kalle manjaa dhaa baithe aaN
"Sandhua" kitthe aa baithe aaN!

.................................................. ...

bazm-e-sukhan sajaao tabiyat udaas hai
yaaro, Ghazal sunaao, tabiyat udaas hai

mai ho ke dawaa ho ye maraz la-ilaaj hai
saaqi zahar pilaao, tabiyat udaas hai

deen-o-haram ki baat kisi aur din sahi
vaiiz, galey lagaao, tabiyat udaas hai

voh aa rahe haiN phir se aaj yaad baar baar
kaaGhaz-qalam uThaao, tabiyat udaas hai

har ashq ne dam toDne se peshtar*, kahaa
“maikash” :unheN: bulaao, tabiyat udaas hai

*peshtar = before, pehle

rab raakha
maikash

Maikash bhaiya

Pranaam.. Jsk

Kyaa khoob andaaz e Bayaan.. Maza aa gaya

Dil se daad

Khush rahen.. Apna khayal rakhen

Aapka
Dhaval

zarraa 25th April 2021 11:01 PM

waah kya kahne Maikash bhai !!! kis tabeeyat se kaha hai ye kalaam !!! wwwaaahhhhh

Qasid 30th April 2021 01:22 AM

yeh ghazal nahi ek tarah se vo tahriir hai jo misaal ban kar humhein sikhaati hai ki ghazal kaise kahi jaati hai...ek baar phir salaam jitni baar padhi jaaye kam hai

KunaaL 3rd September 2021 12:54 AM

Maikash bhaii

Arse baad yahaN se guzra par yaqiin janiye mera aana mukkamal ho gaya apki ye ghazal padh ke.. din ban gaya mera .. behad shukriya

All times are GMT +5.5. The time now is 05:56 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.