Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Sharaab (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=3)
-   -   ek Sher Jaam-e-Sharaab ke naam (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=69935)

Dhaval 15th June 2010 10:35 PM

ek Sher Jaam-e-Sharaab ke naam
 
mehfil-e-yaaraaN:

Namskaar aur Aadaab!


Shayri-e-Sharaab section meiN ik nayaa Silsilaa Shuru karne jaa rahe haiN..

"ek Sher Jaam-e-Sharaab ke naam"

aap yahaaN apnaa ko'ii Sher yaa kisii maShhoor Shaayar ka Sher yahaa.n baaNT sakte hai.N ( jo Sharaab se related ho.n)

Gar aap kisii maShhoor Shaayar kaa liKhaa Sher baaNT rahe hoN to "Not Mine" yaa uss Shaayar kaa naam Zaruur se liKhe.n

duaao.n ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

zidd 15th June 2010 10:45 PM

jeena na aa saka to peena kaha se aaye
peena na aa saka to jeena kaha se aaye

Dhaval 15th June 2010 10:59 PM

zaahid sharaab piine se kaafir huaa mai.n kyuu.N
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n imaan bah gayaa

<not mine>

Taish 15th June 2010 11:03 PM

sharab hi to ek sharaabi ki jaan hoti hai,
sharabi se sharab ki pehchaan hoti hai...

Dhaval 15th June 2010 11:07 PM

Un nigaahoN se koi keh deta
Hum jo raaz-e-sharaab samjhe the

<not mine>

Taish 15th June 2010 11:08 PM

Dhaval bhai ye ahcha topic chalu kiya hai maza aayega isme bahut...!!


Sharabi Tujhe Sharab Ki Kasam,
Kehde Kiske Nashe Mein He Jyada Dum,


NT MINE

zidd 15th June 2010 11:09 PM

paimaane me aate ho nazar mere sare shaam
lo hum to miya ho gaye qayal sharaab ke:D

Taish 15th June 2010 11:10 PM

JaaM Pe JaaM Pinese Kya Fayda,

ShaMko Pee Subah Tak Utar Jayegi,

Arey Do Boond Mere Pyarki Pi Le,

Zindagi Saari Nashe Me Guzar Jayegi…


NT MINE

Dhaval 15th June 2010 11:12 PM

ShuKriyaa'h Ghaayal bhaa'i

yaaroN Khataa maaf meri, main nashe mei.n hooN
Saagar mein mai, mai mein naSha, main nashe mein hooN

- 'Meer'

Taish 15th June 2010 11:13 PM

Ye Chalakta Hua Kya Jam-E-Sharab Aata Hai
Haaye Main Kurbaan Mera Ahd-E-Shabaab Aata Hai

NT MINE

Taish 15th June 2010 11:15 PM

Aaj Sirf Sharaab Mat Pila Saaki
Sharaab Mein Thoda Zehar Mila Saaki

Hoothon Ko Chum Lene De Yeh Jaam
Isse Tu Abb Aur Mat Chalka Saaki

Band Karde Maikhane K Darwaje Saaki
Aaj Ki Raat Mere Naam Karde Saaki

Mere Naseeb Mein Iss Raat Ki Subah Nahi
Zehar Mila Aur Phir Se Jaam Barde Saaki

Juban Se Hum Bolna Nahi Chahte Saaki
Uska Naam Abb Labon Par Nahi Late Saaki

Mat Le Tu Mera Jaam Mere Haathon Se
Sharaab Kissi K Saamne Se Nahi Hathate Saaki

NT MINE

Taish 15th June 2010 11:16 PM

Tujhe Qasam Hai Saaqiyaa Sharaab Laa Sharaab De
Uthaa Subuu Nazar Milaa Sharaab Laa Sharaab De

[Subuu = Glass/cup]

Har Ek Aisa Jaam Ho Ke Jis Pe Teraa Naam Ho
Tuu Apane Naam Kii Pilaa Sharaab Laa Sharaab De

Na Dil Mein Koii Gam Rahe Na Merii Aankh Nam Rahe
Har Ek Dard Ko Mitaa Sharaab Laa Sharaab De

Bahut Hasiin Raat Hai Teraa Hasiin Saath Hai
Nashe Men Kuchh Nashaa Milaa Sharaab Laa Sharaab De

Suruur Hai Khumaar Hai Bahaar Hii Bahaar Hai
Magar Zara Ai Dilruba Sharaab Laa Sharaab De


NT MINE

Dhaval 15th June 2010 11:18 PM

shukriyaa ai gardish-e-jaam-e-sharaab
mai.n bharii mahafil me.n tanhaa ho gayaa

<not mine>

Taish 15th June 2010 11:20 PM

Nashaa Sharaab Main Hota To Nachatii Botal
Maikade Jhuumate Paimaanon Main Hoti Halachal....

NT MINE

Dhaval 15th June 2010 11:22 PM

sab kii nazaro.n me.n ho saaqii ye zaruurii hai magar
sab pe saaqii kii nazar ho ye zaruurii to nahii.n

<not mine>

zainy 15th June 2010 11:24 PM

Nice thread Dhaval bhai...................:)..



sabko maloom hai maiN sharabi nahi

phir bhi koi pilaaye tou maiN kya karuN....:D

-NM

zidd 15th June 2010 11:31 PM

pee lene de nazuk hontho se
kuch aur nahi bus jaam hai ye

nm

Taish 15th June 2010 11:40 PM

Thuktrao ab k pyaar karo main nashe me hoon
jo chaho mere yaar karo main nashe mein hoon

girne do tum mujhe mera sagher sambhal do
itna tou mere yaar karo main nashe mein hoon

mujh ko qadam qadam pe bhatakne do waizon
tum apna kaar-o-baar karo main nashe mein hoon

ab bhi dila rahan hoon yaqeen-e-wafa mager
mera na ayetbaar karo main nashe mein hoon

phir bekhudi mein hadd se guzarne laga hoon main
itna na mujh ko pyar karo main nashe mein hoon

nt mine

zidd 15th June 2010 11:42 PM

ab itna lamba mat sunaoo yaar
sab utaar doge lagta hai...
bus ek sher sunaoo

ik taraf yaad teri ik taraf paimana hoga
kis tarah maine bata khud ko sambhala hoga
:D

mine

Taish 16th June 2010 12:08 AM

hehehehehehe no issues bhai, agli baari se dhyaan rakhenge...!!

Dhaval 16th June 2010 10:19 AM

pii bhii le do ghuu.NT zaahid pii bhii le
maikade se kaun pyaasaa jaayegaa

~Bekhud dehlvi

sunita thakur 16th June 2010 10:47 AM

"pee lene de zahid masjid mein baith kar,
ya woh jagah bata de yahan khuda na ho"

-nm


Baqtiar 16th June 2010 12:29 PM

Sharaab cheez hi aisi hai na chhodi jaye
Ye mere yaar ke jaisi hai na chhodi jaye

(NM)

zainy 16th June 2010 08:53 PM

La phir Ek bar wohii Bada-o-Jam aye saqii
Haath aa jaye Mujhey mera muqam aay saqi


--ALLAMA IQBAL

O Cup—bearer! Give me again that wine of love for Thee;
Let me gain the place my soul desire
s.

ISHK EK IBADAT 16th June 2010 10:03 PM

la pila de sakiyaa paimaana paimaane ke baad
baat matlab ki karoonga hosh me aane ke baad
NM

kwahish 17th June 2010 02:14 AM

Kis paimane ki baat karte ho yahaaN maikhane humare haiN
Humari bhi koyi zindagi hai jaaN mana ke hum tumhare haiN

ISHK EK IBADAT 17th June 2010 10:56 AM

tere jaam me vo aab hai saaqi jo sab gam bhula de
main kaise piyun kahin mere pritam ki yaad na bhula de

Dhaval 17th June 2010 11:12 PM

"Meer" un neem-baaz aaNkhoN meN
saaree mastee sharaab kee see hai

~Meer taqi Meer

kwahish 18th June 2010 01:12 AM

Mushkil nahi hai saqi sharaab hum chhod deN
Tujhse hai rishta apna kaise hum muh mod deN

zainy 19th June 2010 02:40 PM

Utar jaata ye nasha, gar peete hue socha hota..
woh kya kiska tha jo mera hota....nm

Dhaval 19th June 2010 09:00 PM

tu ne qasam maikashi ki khaai hai 'Ghalib'
teri qasam ka kuchh aitabaar nahin hai

~Ghalib

kwahish 19th June 2010 11:33 PM

Tuu mere dard per ghum na kar
La sharaab de nasha kam na kar

ISHK EK IBADAT 20th June 2010 08:51 AM

Ek ham hi hain jo may ko aankhon se pilaate hain
Varna kahne ko to duniya me maykhaane hazaron hain

NM

kwahish 11th July 2010 01:09 AM

Bus ek mohobbat ka jaam mere liye saqi rakh le
Bhara hua na sahiN koi paimana tu khali rakh le

janumanu 12th July 2010 12:54 PM

Raam chandr keh gaye siyaa se, aisa kalyug ayega
log piyenge daru on the rocks, pani vyarth hi jayega



by gurjeet singh

kwahish 12th July 2010 10:51 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 401569)
Raam chandr keh gaye siyaa se, aisa kalyug ayega
log piyenge daru on the rocks, pani vyarth hi jayega



by gurjeet singh


Ha ha ha Bhai don't worry pani wyarth nahi jayenga haath dhone ke kaam aayenga.........:D

Sirf ek shaam saqi too ab mere naam kar de
Kya hoga gar tu sare rah mujhe salaam kar de

prem_anjana 15th July 2010 02:27 PM

Ik baar lub-e- jaam mere naam kar de
phir chahe jahan tu mujhe badnam kar de

Aashique 26th July 2010 05:18 PM

Zindagi Ke Savalo Ka Javab Dhundhata Hu...
Dard Ko Kam Kar Shake Vo Sharab Dhundhata Hu...
Waqt Ke Haathi Majaboor ek Shaks Hu Me...
Jo Jeene Ka De Bahana Vo Kitaab Dhundhata Hu ...

parveen komal 26th July 2010 05:49 PM

Angoor ki beti ne akal pe patthar daal dia,
Boodha baap bete ne Ghar se nikal dia.

Shayar-e-Na Cheez: Parveen Komal

zidd 26th July 2010 06:32 PM

Quote:

Originally Posted by parveen komal (Post 403817)
Angoor ki beti ne akal pe patthar daal dia,
Boodha baap bete ne Ghar se nikal dia.

Shayar-e-Na Cheez: Parveen Komal


dekhiye imaan sahab- hum jaise peene walo ka
tumhaare sher ko bhi hamne barf hila ke Taal diya


All times are GMT +5.5. The time now is 10:30 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.