Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Sharaab (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=3)
-   -   Joru Aur Daru (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77786)

Hamdam 31st August 2014 09:19 PM

Joru Aur Daru
 
Joru aur Daru pe lo ji tazi nazm pesh hai......(sharabi ki nazr mein)
-------------------------
Ek jab rulati hai dooji chain ki neend sulati hai ,
Ek jab deti zakhm dooji marham lagaati hai.

Ek ki daant sun sun ke tot.ta dil bar bar,
Dooji ke sang milta toote dilon ko karar.

Ek ki kaid mein tarapta hun umr bhar ,
Dooji us kaid se baar 2 nizaat dilaati hai.

Ek jo badal jaati chalte hue waqt ke saath ,
Dooji her waqt evergreen nazar aati hai.

Ek hai jisko dekh ker her waqt char jata bukhar ,
Dooji ke pass aane se chegre pe aa jata khumar.

zarraa 31st August 2014 11:20 PM

Hahahahahaha !!!!! bahaut khoob Hamdam ji !!!! Very entertaining ... and very insightful too :):):):):):):):)

maikasH 31st August 2014 11:52 PM

khoob kahaa miyaaN, jeete rahiye

Hassan 31st August 2014 11:57 PM

hahahaha....

Sanjay jii,,

Bohat khoob.... :D
issey aap humorous shayri meiN bhi post kar sakte the! :)

Likhte rahiye,,

DuaooN ke saath,

zainy 1st September 2014 01:22 AM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 466998)
Joru aur Daru pe lo ji tazi nazm pesh hai......(sharabi ki nazr mein)
-------------------------
Ek jab rulati hai dooji chain ki neend sulati hai ,
Ek jab deti zakhm dooji marham lagaati hai.

Ek ki daant sun sun ke tot.ta dil bar bar,
Dooji ke sang milta toote dilon ko karar.

Ek ki kaid mein tarapta hun umr bhar ,
Dooji us kaid se baar 2 nizaat dilaati hai.

Ek jo badal jaati chalte hue waqt ke saath ,
Dooji her waqt evergreen nazar aati hai.

Ek hai jisko dekh ker her waqt char jata bukhar ,
Dooji ke pass aane se chegre pe aa jata khumar.


Hahaha.........hilarious...lolz...:)

Hamdam 1st September 2014 10:00 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 467006)
Hahahahahaha !!!!! bahaut khoob Hamdam ji !!!! Very entertaining ... and very insightful too :):):):):):):):)

Zarra sahib ..aap ko insightful laga humara andaaz ..bhai
delightful hi rehne dein kyon ki sharab kabhi mere inside
nahi gayee...:D

Hamdam 1st September 2014 10:18 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 467009)
:D Sanjayji i hope aapki joru ki nazar is nazm par na pade :D

Bahot maze ki nazm hui hai dheron daad qubool kijiye :)

Shukriya Naaz...meri begum per bhi le tau usko ghum
nahi hoga ....kyonkee main tau abhi tak maikhane ka pata
dhoond raha hun...I dont drink:)

Hamdam 2nd September 2014 09:05 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 467010)
khoob kahaa miyaaN, jeete rahiye

Shukriya Maikash sahib aapko humara khayal pasand aya

Hamdam 2nd September 2014 09:09 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 467011)
hahahaha....

Sanjay jii,,

Bohat khoob.... :D
issey aap humorous shayri meiN bhi post kar sakte the! :)

Likhte rahiye,,

DuaooN ke saath,

Shukriya Hasan bhai ...Yaar Sharab pe kum posts aati hain ,
isliye yahan daal di.ye post.
Humorous shayri mein Ek shayar ko shrandhli.arpit ki.hai , zara
gaur farmayein.. Aur apni raye batayein

Hamdam 2nd September 2014 09:14 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 467025)
Hahaha.........hilarious...lolz...:)

Zainy ji bahut bahut shukriya..Acha laga jaan kar ki aapko pasand aya Joru
aur Daru ka synchronisation

masti 2nd September 2014 11:30 PM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 466998)
Joru aur Daru pe lo ji tazi nazm pesh hai......(sharabi ki nazr mein)
-------------------------
Ek jab rulati hai dooji chain ki neend sulati hai ,
Ek jab deti zakhm dooji marham lagaati hai.

Ek ki daant sun sun ke tot.ta dil bar bar,
Dooji ke sang milta toote dilon ko karar.

Ek ki kaid mein tarapta hun umr bhar ,
Dooji us kaid se baar 2 nizaat dilaati hai.

Ek jo badal jaati chalte hue waqt ke saath ,
Dooji her waqt evergreen nazar aati hai.

Ek hai jisko dekh ker her waqt char jata bukhar ,
Dooji ke pass aane se chegre pe aa jata khumar.

Mazaa aa gaya..................:D:D:D

Bohut khoob. Anu ko mat sunaiyega, bigad jayenge.:D

Madhu 14 6th September 2014 10:00 PM

Bahut khoob sanjay ji........:) :)

Hamdam 7th September 2014 12:50 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 467280)
Mazaa aa gaya..................:D:D:D

Bohut khoob. Anu ko mat sunaiyega, bigad jayenge.:D

Sarika ji
...shukriya jo aapko.humara khayal.pasand aya..

Rahi.Anubhav ke bigarne ki baat ...dont worry he is in your safe hands:)

Hamdam 7th September 2014 12:51 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 467804)
Bahut khoob sanjay ji........:) :)

Many Many thanx Madhu ji....:)o

Hamdam 27th December 2014 06:59 AM

Ek Purani peshkash jo ki technicalities se kafi door hai , phir se sanjha karne ka man kiya .
Zara gaur farmayein Joru aur daru ka fatal combination

Sanjay Sehgal

sameer'shaad' 30th December 2014 12:33 PM

hhahahahahaha kyaa kahne waahhh bhai waaaahhhhh

kaafi experience waale aap nazar aate hain sanjay ji............ :p

Hamdam 5th January 2015 09:14 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 473343)
hhahahahahaha kyaa kahne waahhh bhai waaaahhhhh

kaafi experience waale aap nazar aate hain sanjay ji............ :p

Shoaib bhai humein apna koi experience nahiN , kyonki hum tau jaam se kosoN door haiN .. Yeh tau aap jaise bhai logon ki mohabbat hai , ki unke tajurbe apni kalam meiN band kar diye janab ..ha ha

Hum tau ankoN se peene pilane wale haiN ,
yeh jaam humeiN kahan raas aane wale haiN.

Regds
Sanjay Sehgal

Sagar Aashna 16th January 2015 09:26 PM

Sehgal saahab, Namaskar.

Wohi sada bahaar andaaz, wohi natkhat aur chutkeela, khatta meetha lehza, wohi asar aapki mazahiya shayari ka.. Be had chulbula.

Chalte jaayein isi tarha, khush karte jaayein isi tarha.

Regards

Hamdam 8th February 2015 08:12 PM

Quote:

Originally Posted by Sagar Aashna (Post 473889)
Sehgal saahab, Namaskar.

Wohi sada bahaar andaaz, wohi natkhat aur chutkeela, khatta meetha lehza, wohi asar aapki mazahiya shayari ka.. Be had chulbula.

Chalte jaayein isi tarha, khush karte jaayein isi tarha.

Regards


Jagdish bhai ....aap ka shukriya jo aap ne meri koshish ko pasand kiya.

Sanjay Sehgal

aru 14th April 2015 08:32 PM

Waah sanjay jee....kya likha hai...joru aur daru ka comparison accha laga...


All times are GMT +5.5. The time now is 04:12 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.