Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Ghazal Section (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=14)
-   -   Mohabbat ki karoon baatein, ye mujhse ho nahin sakta (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76241)

Bhrung 29th August 2013 10:01 PM

Mohabbat ki karoon baatein, ye mujhse ho nahin sakta
 
मुहब्बत की करूँ बातें, ये मुझसे हो नहीं सकता
किसी कीमत पे आज़ादी मैं अपनी खो नहीं सकता
Mohabbat ki karoon baatein, ye mujhse ho nahin sakta
Kisi keemat pe aazaadi main apni kho nahin sakta

निगाहें क्या झुकायेंगे गुरूर-ए-हुस्न है जिनको
झुकाये बिन मगर इकरार भी तो हो नहीं सकता
Nigaahein kya jhukaayenge, guroor-e-husn hai jinko
Jhukaaye bin magar ikraar bhi to ho nahin sakta

शरीक-ए-ग़म मिला कोई, चलो, ये बात अच्छी है
मगर इस वास्ते तो उम्रभर मैं रो नहीं सकता
Shareek-e-gham mila koi, chalo, ye baat achhi hai
Magar is vaaste to umrbhar main ro nahin sakta

अजी, अब क्या बताऊँ क्यों चुराता हूँ नज़र उनसे
छुरी है खूबसूरत इस लिये मर तो नहीं सकता
Aji, ab kya bataaoon kyon churaata hoon nazar unse
Chhuri hai khoobsoorat is liye mar to nahin sakta

'भँवर' अब हसरत-ए-नाकाम पे रोने से बाज़ आ जा
लिखा तकदीरका तू आँसुओंसे धो नहीं सकता
'Bhanwar' ab hasrat-e-naakaam pe roney se baaz aa jaa
Likha taqdeer ka tu aansuon se dho nahin sakta

sameer'shaad' 30th August 2013 11:12 AM

Wallaaah.... subhaan Allaah... kya nayaab peshkash hai aaapki bhrung saahab...... mazaa aa gayaa saahab aapki ye rachnaa padhkar ... sach kaahun to ek arse ke baad.... likhte raheN... kalam ka zor chalaate raheN... hum jaise kadrdaano ki aapko kami na pdegii.....

Shaad....

shab_seher 13th November 2013 12:01 AM

Shareek-e-gham mila koi, chalo, ye baat achhi hai
Magar is vaaste to umrbhar main ro nahin sakta

Bhai daad main isse zyada kuch nhi khunga :
Ye kaho ki Jaun hai,
ye na kho ki mar gaya...

jaisa shaad sahab ne kaha ek arse baad


All times are GMT +5.5. The time now is 12:20 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.