Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   TuJsE jUdA tO hO gAyE..pAr TuJkO jUdA nA kAr SaKe (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=30409)

dil_e_sikast 21st January 2005 06:07 PM

TuJsE jUdA tO hO gAyE..pAr TuJkO jUdA nA kAr SaKe
 

tujse kabhi liya tha jo wada,khudse wo wada kar na sake
hum apne haq me kabhi bhi.. faeede ka sauda kar na sake

tarz-e-jindagi* apni..kuchh is tarah se gujari hai
tark-e-taluq* ka bhi poori tarah irada kar na sake

jab dekha tuje mehfil me,in ankho me sailab aa hi gaya
hum to 'sanam' tuj ko,bhulane ki bhi aDaa* kar na sake

Har toofan se nikala tuje,har andhi ke liye aagah kiya
bus khud ko jindagi ke tufano ke liye aamada* kar na sake

har kadam pe na jane kyo..teri jarurat si mehsus ki hai
Tujse juda to hum ho gaye.. par tujko juda kar na sake



tarz-e-jindagi=way of life
tark-e-taluq= end of relationship
aDaa=Act, posture
aamada= prepared, ready

Pulkit_gupta 21st January 2005 07:55 PM

tujse kabhi liya tha jo wada,khudse wo wada kar na sake
hum apne haq me kabhi bhi.. faeede ka sauda kar na sake

tarz-e-jindagi* apni..kuchh is tarah se gujari hai
tark-e-taluq* ka bhi poori tarah irada kar na sake

Wah Wah!!


jab dekha tuje mehfil me,in ankho me sailab aa hi gaya
hum to 'sanam' tuj ko,bhulane ki bhi aDaa* kar na sake

Har toofan se nikala tuje,har andhi ke liye aagah kiya
bus khud ko jindagi ke tufano ke liye aamada* kar na sake

Lovely...


har kadam pe na jane kyo..teri jarurat si mehsus ki hai
Tujse juda to hum ho gaye.. par tujko juda kar na sake

Wahh!

Hey Sanam!

Lovely Nazm dear... Bahut accha laga padhkar.... Very nice words.....


jab dekha tuje mehfil me,in ankho me sailab aa hi gaya
hum to 'sanam' tuj ko,bhulane ki bhi aDaa* kar na sake

Har toofan se nikala tuje,har andhi ke liye aagah kiya
bus khud ko jindagi ke tufano ke liye aamada* kar na sake


This sher was just 2 good.. seedha dil ko chho gaya hai....I loved it.... aage bhi aise hi likhti rehna... & Do TC:)

Zeba 21st January 2005 08:42 PM

wah wah
 
bohot khoob likha hai aapne , mera itne dinoon ke baad yahaan loutna aur yeh padha baar baar yahaan aane ki daawat deta hai.
zeba.

meena chheda 21st January 2005 11:15 PM

Re: TuJsE jUdA tO hO gAyE..pAr TuJkO jUdA nA kAr SaKe
 
Quote:

Originally posted by dil_e_sikast

tujse kabhi liya tha jo wada,khudse wo wada kar na sake
hum apne haq me kabhi bhi.. faeede ka sauda kar na sake

tarz-e-jindagi* apni..kuchh is tarah se gujari hai
tark-e-taluq* ka bhi poori tarah irada kar na sake

jab dekha tuje mehfil me,in ankho me sailab aa hi gaya
hum to 'sanam' tuj ko,bhulane ki bhi aDaa* kar na sake

Har toofan se nikala tuje,har andhi ke liye aagah kiya
bus khud ko jindagi ke tufano ke liye aamada* kar na sake

har kadam pe na jane kyo..teri jarurat si mehsus ki hai
Tujse juda to hum ho gaye.. par tujko juda kar na sake



tarz-e-jindagi=way of life
tark-e-taluq= end of relationship
aDaa=Act, posture
aamada= prepared, ready


meri sanam,

humesha ki tarah ........

dard ka sringaar.... tumhe padhna humesha achha laga hai.

tumhari DDD

pyaasa 21st January 2005 11:25 PM

excellent
 
SANAM JI,

Kai dino baad aaye hai hum yahan par aur aapke sher padhe aur hamesha ki tarah hi bahot achha likha hai aapne. Hum kai baar sochte hai ke itna achha likhte ho aap fir kyun is mehfil se dur chale jaate ho. Aya kijiye yahan kuch achha padhne mil jata hai . Kyunki aap bhi hamari tarah dard par jyaada likhte ho jo hamara favourite topic hai. Khair hum to likhte nahi aaj kal lekin aap to likhte rahiye aur aate rahiye yahan par. Dard bhare sheron ko padhne ka mazaa hi kuch aur hai.

tujse kabhi liya tha jo wada,khudse wo wada kar na sake
hum apne haq me kabhi bhi.. faeede ka sauda kar na sake

Mohabbat karte hain woh faayda kya dekhenge yeh to bus ek deewangee ki tarah hai sab kuch lutakar bhi dil jeet jaata hai


tarz-e-jindagi* apni..kuchh is tarah se gujari hai
tark-e-taluq* ka bhi poori tarah irada kar na sake

Iraada kahan se hoga bcz true love does not have any end

jab dekha tuje mehfil me,in ankho me sailab aa hi gaya
hum to 'sanam' tuj ko,bhulane ki bhi aDaa* kar na sake

Tujhe bhulna to chaha lekin bhula na paaye jitna bhulana chaha tum utna yaad aaye

Har toofan se nikala tuje,har andhi ke liye aagah kiya
bus khud ko jindagi ke tufano ke liye aamada* kar na sake

Pyaar karne vaale kabhi darte nahi jo darte hai woh pyaar karte nahi aur har toofan ka saamna karte rehte hai

har kadam pe na jane kyo..teri jarurat si mehsus ki hai
Tujse juda to hum ho gaye.. par tujko juda kar na sake

Dil ka rishta hi kuch aisa hota hai ke chah kar bhi dil se koi kisiko juda nahi kar sakta


Aise hi likhte rahiyega ab ijaazat dijiye

ZINDAGI RAHI TO FIR MILENGE

BYE FOR NOW & TAKE CARE

iminlovein@yahoo.com

mira 21st January 2005 11:48 PM

sanamji...

waah kya likha hai apne ....its too good....dil ko chhu gai ....

mira.....

KunaaL 22nd January 2005 08:17 PM

Re: TuJsE jUdA tO hO gAyE..pAr TuJkO jUdA nA kAr SaKe
 
Quote:

Originally posted by dil_e_sikast

tujse kabhi liya tha jo wada,khudse wo wada kar na sake
hum apne haq me kabhi bhi.. faeede ka sauda kar na sake

tarz-e-jindagi* apni..kuchh is tarah se gujari hai
tark-e-taluq* ka bhi poori tarah irada kar na sake

jab dekha tuje mehfil me,in ankho me sailab aa hi gaya
hum to 'sanam' tuj ko,bhulane ki bhi aDaa* kar na sake

Har toofan se nikala tuje,har andhi ke liye aagah kiya
bus khud ko jindagi ke tufano ke liye aamada* kar na sake

har kadam pe na jane kyo..teri jarurat si mehsus ki hai
Tujse juda to hum ho gaye.. par tujko juda kar na sake




sanam ....

bohat khoob ... ek aise kalam par aake tehra huN jahaN ... har kona dard se karah raha hai .... har ek lafz wakai dard se sarabor hai .. par ek gana yaad aa hi gaya ... hum bewafa har giz na the par hum wafa kar na sake ...

well kuch line apne se jaroor kahUnga ,.. apni aadat se majboor huN ... tumhare hi kalam ki bulandi maiN...

fisalta raha waqt hath se is tarah..
jindgi gujar jaye ek pal main jis tarah...
gham ko haNsi se dhakta raha "saccha_pyar"...
mar ke jinda nazar aate rahe jis tarah...

yahi likh paya bas kuch aur khak alfaz ...

apna khayal rakhna

kunal

dil_e_sikast 25th January 2005 10:00 PM

Thans Pulkit,
Tumhare dil ko chhu gaya? tab to bhai sach me achha hoga..:)
Thanks

Zeba ji,
Bahot Bahot Shukriya..
yaha aane ke liye aur hausla afjayee ke liye

DDD
Muje Bhi padhna achha lagta hai
aapka reply:)
Thanks to mai kahungi nahi
take care

Shukriya Meera ji
take care

dil_e_sikast 25th January 2005 10:02 PM

Re: excellent
 
Quote:

Originally posted by pyaasa
SANAM JI,

Kai dino baad aaye hai hum yahan par aur aapke sher padhe aur hamesha ki tarah hi bahot achha likha hai aapne. Hum kai baar sochte hai ke itna achha likhte ho aap fir kyun is mehfil se dur chale jaate ho. Aya kijiye yahan kuch achha padhne mil jata hai . Kyunki aap bhi hamari tarah dard par jyaada likhte ho jo hamara favourite topic hai. Khair hum to likhte nahi aaj kal lekin aap to likhte rahiye aur aate rahiye yahan par. Dard bhare sheron ko padhne ka mazaa hi kuch aur hai.

Bahot Bahot achha laga aapko mere post pe dekh ke..
Waise maine notice to kiya hai ki aap yaha se gayab hai
aur muje laga ki sayad likhne ke sath yaha pe aana bhi chhod hi diya hia.
But im lucky that u r here on my post
Janab, Likhte to aap bhi achha hai ....fir aap bhi likha kariye na. Hume bhi mauka mil jayega aapko padhne ka..
Aur jaha tak bat 'same topic' that is 'dard' ki hai..to kya kare.. bus wahi ek topic hai jo dil se nikalta hai. :) Aur kehte hai na ki Sharing same interest makes a company.. isi liye sayad aapko bi padhna achha lagta hoga
Ek bar aur..Dil se bahot achha laga aapko dekh kar
Take care
n keep coming

dil_e_sikast 25th January 2005 10:03 PM

Re: Re: TuJsE jUdA tO hO gAyE..pAr TuJkO jUdA nA kAr SaKe
 
Quote:

Originally posted by sacccha_pyar

fisalta raha waqt hath se is tarah..
jindgi gujar jaye ek pal main jis tarah...
gham ko haNsi se dhakta raha "saccha_pyar"...
mar ke jinda nazar aate rahe jis tarah...

Kunal..
Hamesha ki tarah..tumhara Share bahot achha hai
And very rightly u said abt the song..hum bewafa hargij na the.. Thats one of my very favrt song
Thanks for coming here.. and thanks for replying..and thanks for ur she'r and thanks for reminding that song n .... Bus filhal itna kafi hai :P
see u
take care

musharrafhusain 26th January 2005 11:59 AM

sanam

kaafi arse baad aap ne is forum per likha hai,
khayal ki yeh khoobsurti, dil ko chooti mehsoos hui hai

"Tujse juda to hum ho gaye.. par tujko juda kar na sake"

isi tarah aati raha karein , forum ko sajaati raha karein.

musharrafhusain

shadow 26th January 2005 12:15 PM

Sanam ji very good post feel so close bonding of meaning very nice....

dil_e_sikast 30th January 2005 04:06 PM

Thank you very much Musharraf ji
n shadow too..

Take care

banjara'''' 31st January 2005 01:16 AM

hi
 
sana
how r u?
are is kaam main faida kahan naseeb main hota hay sana g
gar kuch milta hay tu bas nuksaan yah kismat walon ko
dard byan karne ka hunar....jaise aap k hathon ko mila
khub likha hay

dil_e_sikast 31st January 2005 10:52 PM

Re: hi
 
Quote:

Originally posted by banjara''''
sana
how r u?
are is kaam main faida kahan naseeb main hota hay sana g
gar kuch milta hay tu bas nuksaan yah kismat walon ko
dard byan karne ka hunar....jaise aap k hathon ko mila
khub likha hay

sahi kaha...
koi fayeda nahi hota...
muje to yahi samaj me nahi aata ki log jan kar kulhari par pair kyo marte hai....
well...thanks for ur compliment

take care


All times are GMT +5.5. The time now is 02:06 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.