Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   ishq-e-dil (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77174)

Gyan Saxena 12th April 2014 10:44 AM

ishq-e-dil
 
Dil dhadakta Raha , Hum tadapte rahe
Teri Yadon ke patthar , Baraste rahe
Ek gumnam sa , Dard uthta raha
Jane kya pyaas thi ,Hum taraste rahe…….


Humne chaha bahut , tumko bhulein magar
Saari yadon khayalon mein tum hi tum rahe
Humne bola bahut , per dil na mana ise
Tum yaad aate rahe , dil mein baste rahe……


Humein socha kissi ko khabar na lagegi
Sari mahfil ko phir bhi pata chal gaya
Hum tumehin yaad kar muskurate rahe
Our humein dekhkar log hanste rahe………


Jab talak tu saath tha zindagi saath thi
Kaarwan-e-mohabbat mere saath tha
Aaj jab tu nahin to kuch bhi nai
Na hi manzil rahi, na hi raste rahe……


Anjam-e-mohabbat ko tanhaai mein
Jab bhi socha to humne paya yahi
Bazar-e-mohabbat mein humko sanam
Pyaar mahnga raha, dil saste rahe………

aru 12th April 2014 11:09 AM

gyaan jee................ek hee kalaam ko do do alag alag section mein post na karein.

sameer'shaad' 14th April 2014 05:14 PM

gyaan ji aapki shaayri ka mureed ho gayaa.... waahh kyaa ter jaise alfaaz likhte hain ... subhan allaah....

aur jo is baar gaur kiyaa to lahzaa behad rawaan dawaan thaa... kuch misre me behr toot gayee magar its acceptable at this phase.... mei guzaarish hai ke aap aage se aur bhi dhyaan dijiye rawaani mein.... sone pe suhaaga ho jaaega

likhte raheN... apna kahyaal rakkhen

shaad

Gyan Saxena 13th July 2014 09:02 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 458260)
gyaan ji aapki shaayri ka mureed ho gayaa.... waahh kyaa ter jaise alfaaz likhte hain ... subhan allaah....

aur jo is baar gaur kiyaa to lahzaa behad rawaan dawaan thaa... kuch misre me behr toot gayee magar its acceptable at this phase.... mei guzaarish hai ke aap aage se aur bhi dhyaan dijiye rawaani mein.... sone pe suhaaga ho jaaega

likhte raheN... apna kahyaal rakkhen

shaad

Shukriya Shaad Sahab......................Gyan Saxena

aadeil 14th July 2014 12:27 PM

waaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhhhhh!!!!!!

behad khubsurat tehreer.....................

dilse daad qubul kare.n :)

aslam noor 15th July 2014 04:09 PM

Bhut khoob.........daad qubool farmaaiye


aslam

zarraa 15th July 2014 10:19 PM

Waah!!! Behad umdah qalaam !! Ehsaas jazbaat bayaan ... sabhi umdah aur behtareen!! Pardh kembahaut achchha laga !! Dheron daad Gyan ji !!

Gyan Saxena 14th August 2014 08:59 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 462168)
Waah!!! Behad umdah qalaam !! Ehsaas jazbaat bayaan ... sabhi umdah aur behtareen!! Pardh kembahaut achchha laga !! Dheron daad Gyan ji !!

Shukriya.......................................... ........................


All times are GMT +5.5. The time now is 12:18 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.