mujhe kuchh kehna tha...............aashiq
mujhe kuchh kehna tha.....................!! haan shayad kuchh kehna tha shayad kuchh aisa jo tumne kabhi suna na ho shayad kuchh aisa jo kisi ne kabhi kaha na ho shayad kuchh aisa jo koi kisi se na kahe................... magar kahun kya................? ke kitne khas ho tum . dhadkan ko chhuta ehsas ho tum phool se zyada nazuk ho or kohinur se zyada nayab ho tum husn-e-lajawab hai or takabbur nahi sharm se jhuki nigahon par dunia ka asar nahi tum kya ho humnashin tumhe hi khabar nahi barsat ke baad ki ho pehli wo subha hawa se chhidi kali ki nazuk si ada nigahen tumhe dekhen or kahen ..(marhaba ) is jism-e-larawan ki jaan ho tum shayad is baat sde anjan ho tum hawa ki rawani me patte jo sarsarate hain malum hai sargoshion me tumhe hi bulate hain kabhi kehte hain tumhe naghma kabhi sabz bagh kehte hain kabhi chowdhvi ka chamakta hua mehtab kehte hain kabhi kehte hain dil kashi kabhi rooh-e-saaz kehte hain nateeja ye ke sab tumhe lajawab kehte hain tasawwur me tumhe la kar yahi sochta hun me tumhe kyon kar me apnaun tumhe kyon kar me apnaun mere chhote se daaman me chand khushiyaan mayassar hain tumhari rahon me hazaron sitaren munawwar hain tumhe kaise phoolon se me katon ki sej par laun tumhe kyon kar me apnaun magar tumhe be-tahasha chahta hun ye bhi haqiqat hai tumhe tumhi se mangta hun meri mohabbat hai har gham mera hoga ye wada karta hun har khushi tumhari ho ye irada karta hun yakeen jano mohabbat tumse kuchh zyada karta hun mere wade par pura aitbaar karna meri ilteja hai mujhse bhi itna hi pyar karna......!!! |

very nice good
|
All times are GMT +5.5. The time now is 11:01 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.