Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   wo gul hai gul khilana chaahta hai (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=75440)

masoodhassas 12th January 2013 02:30 AM

wo gul hai gul khilana chaahta hai
 
eyk haliki phulki ghazal sdc ke ahbaab ki nazr


wo mujh ko warghalaanaa chaahta hai
diye ki lao baRhaana chaahta hai

mujhe uNgli thamana chaahta hai
magar pahloo bachana chaahta hai

mujhey pal pal jalana chaahta hai
sazaa bhi shaaeraanah chaahta hai

jisey who toRtaa hai muskuraa kar
usee dil me Thekaanah chaahta hai

wo rakhta hai nazar tirchee hamesha
magar pakka nishaana chaahta hai

wo qaatil hai ye sab hi jaantey hain
usey phir bhi zamaanah chaahta hai

merey pahloo me baithaa hai khafa saa
wo har dhab se sataanaa chaahta hai

mujhe baahoN me apni qaid kar ke
paseene me nahana chaahta hai

bahaaroN ka pata detaa hai maosam
koyi ab muskuraana chaahta hai

mujhe paighaam detaa hai nazar sey
wo gul hai gul khilana chaahta hai

ye dil bas husn ka rasiya nahi jee
adaa bhi kaaferaanah chaahta hai

naya hai daor aor hassas teywar
naye charkey lagaana chaahta hai

masoodhassaas
kuwait

Neetu Bala 12th January 2013 06:55 AM

bahot sunder

laajwaab ghazal
.................................................. .........

zainy 12th January 2013 07:56 AM

Quote:

Originally Posted by masoodhassas (Post 446568)
eyk haliki phulki ghazal sdc ke ahbaab ki nazr


wo mujh ko warghalaanaa chaahta hai
diye ki lao baRhaana chaahta hai

mujhe uNgli thamana chaahta hai
magar pahloo bachana chaahta hai

mujhey pal pal jalana chaahta hai
sazaa bhi shaaeraanah chaahta hai

jisey who toRtaa hai muskuraa kar
usee dil me Thekaanah chaahta hai

wo rakhta hai nazar tirchee hamesha
magar pakka nishaana chaahta hai

wo qaatil hai ye sab hi jaantey hain
usey phir bhi zamaanah chaahta hai

merey pahloo me baithaa hai khafa saa
wo har dhab se sataanaa chaahta hai

mujhe baahoN me apni qaid kar ke
paseene me nahana chaahta hai

bahaaroN ka pata detaa hai maosam
koyi ab muskuraana chaahta hai

mujhe paighaam detaa hai nazar sey
wo gul hai gul khilana chaahta hai

ye dil bas husn ka rasiya nahi jee
adaa bhi kaaferaanah chaahta hai

naya hai daor aor hassas teywar
naye charkey lagaana chaahta hai

masoodhassaas
kuwait


MashaAllah!!...bohat khoob Masood sahab...har sher lajawaab hai...dil se daad qubool kijiye...:)

REPS ADDED ++++

Manshaa Thaakur 13th January 2013 01:18 PM

khoobsurat kalaam
shayerana andaz men .............................:)

Hamdam 13th January 2013 07:17 PM

Masood bhai,
Aapka natkhat aur albela sathi aapko akharta bhi hai
aur apki khair bhi chahta hai..ek nihayat khubsurat ehsaas
mujhe bahut pasand aye..
Sanjay sehgal

aru 13th January 2013 09:12 PM

bahut khoob andaazein bayan masood sahab....daad kubul karein...

sunita thakur 13th January 2013 10:30 PM

Masood bhai...behad khoobsurat likha hai aapne...kaash meri kalam bhi aapki kalam ki tarah chale...to majja aa jaaye :)

bhagwaan kare ki aapki kalam aise hi chalti rhe aur hame aapko padne ka mokka milta rhe.

god bless u

masoodhassas 14th January 2013 02:36 PM

aadaab
neetu bala ji aap ki mohabbao kholoos ka shukriya ada akarta hun

masoodhassas 14th January 2013 02:37 PM

aadaab
zainy saahbah badee khushi mili aap ki daad allaah aap ko bhi khushiyoN se nawaazey

masoodhassas 14th January 2013 02:38 PM

aadaab
manshaa thakkur ji aap ka aabhaari hun ki apa ne kalaam ko waqt diya aor daad bhi shukriya badey bhai

maikasH 14th January 2013 03:01 PM

taslee'maat Masood saheb,

bhai ek arsey baad aapki koi Ghazal padhi hai aur aapne is dafaa bhi mayous nahiiN kiya

ek mayaari Ghazal hui hai aur bazm meiN aapne chaar chaaNd lagaa diye haiN, daad-o-mubarakbaad tasleem farmaiiye

bohat shukriya

rab raakha
maikash

AHMAD SHAKIL 14th January 2013 04:02 PM

Quote:

Originally Posted by masoodhassas (Post 446568)
eyk haliki phulki ghazal sdc ke ahbaab ki nazr


wo mujh ko warghalaanaa chaahta hai
diye ki lao baRhaana chaahta hai

mujhe uNgli thamana chaahta hai
magar pahloo bachana chaahta hai

mujhey pal pal jalana chaahta hai
sazaa bhi shaaeraanah chaahta hai

jisey who toRtaa hai muskuraa kar
usee dil me Thekaanah chaahta hai

wo rakhta hai nazar tirchee hamesha
magar pakka nishaana chaahta hai

wo qaatil hai ye sab hi jaantey hain
usey phir bhi zamaanah chaahta hai

merey pahloo me baithaa hai khafa saa
wo har dhab se sataanaa chaahta hai

mujhe baahoN me apni qaid kar ke
paseene me nahana chaahta hai

bahaaroN ka pata detaa hai maosam
koyi ab muskuraana chaahta hai

mujhe paighaam detaa hai nazar sey
wo gul hai gul khilana chaahta hai

ye dil bas husn ka rasiya nahi jee
adaa bhi kaaferaanah chaahta hai

naya hai daor aor hassas teywar
naye charkey lagaana chaahta hai

masoodhassaas
kuwait

Massod Hassaas Sahab....!

Aaj SDC me Aaya Aur Nazar Aap Ki Is KHubsurat GHazal Par Parri....
Ghazal BAhot Rawaaan Aur Sada Magar Dilkash Andaaz Me Hai... Romaaniyyat Ka Rang Liye Huay....Aur Is Ke Sath Sath Shaukh-o-Chanchal Bhi....
Bahot Lutf Mila Aap Ki Ye Ghazal Parh KAr....

Dheron Daad Qabool Farmaaiye

KHush Rahiye

Aur Yunhi Likhtay Rahiye

masoodhassas 20th January 2013 11:36 AM

aadaab
HAMDAM saahab
aap ki daad ka niraala tareeqa badaa peyaara laga dil khush huwa :)
badee meharbaani aap ki
mukhlis
masoodhassaas

masoodhassas 20th January 2013 11:37 AM

ARU saahab aadaab
aap jaise badey log jab kisi ki taareef karen to us ko itraana chaahiye so janaab ji main aap ki daad paa ke itraa raha hun :)
badee meharbaani aap ki shukr adaa karta hun aap kaa
aap ka chhota bhai
masoodhassaas

masoodhassas 20th January 2013 11:41 AM

sunita di aadaab
aap ka aana mobaarak ho aap ke aane se ghazal ka rang nikhar gaya :)
aap ki daad ne jahaan ek jaanib khud ko khshi aata ki waheen is baat ka bhi pata chala ki aap dil ki bahot baDee hain jo achha likh lene ke baad bhi is tarah se doosroN ko saraaha karti hain badee nawaazish aap ki
aap ka chhota bhai
masoodhassaas

naresh_mehra110 20th January 2013 06:05 PM

Quote:

Originally Posted by masoodhassas (Post 446568)
eyk haliki phulki ghazal sdc ke ahbaab ki nazr


wo mujh ko warghalaanaa chaahta hai
diye ki lao baRhaana chaahta hai

mujhe uNgli thamana chaahta hai
magar pahloo bachana chaahta hai

mujhey pal pal jalana chaahta hai
sazaa bhi shaaeraanah chaahta hai

jisey who toRtaa hai muskuraa kar
usee dil me Thekaanah chaahta hai

wo rakhta hai nazar tirchee hamesha
magar pakka nishaana chaahta hai

wo qaatil hai ye sab hi jaantey hain
usey phir bhi zamaanah chaahta hai

merey pahloo me baithaa hai khafa saa
wo har dhab se sataanaa chaahta hai

mujhe baahoN me apni qaid kar ke
paseene me nahana chaahta hai

bahaaroN ka pata detaa hai maosam
koyi ab muskuraana chaahta hai

mujhe paighaam detaa hai nazar sey
wo gul hai gul khilana chaahta hai

ye dil bas husn ka rasiya nahi jee
adaa bhi kaaferaanah chaahta hai

naya hai daor aor hassas teywar
naye charkey lagaana chaahta hai

masoodhassaas
kuwait


WaaH ! Masood Bhai !!

Kyaa Nayaab Ashaar Nikaale HaiN ..... HaseeN

DilKash Ghazal Huii Janaab ... Dilee Mubaaraqbaad !!! :)

kshitiz 21st January 2013 12:36 AM

Masood saaheb ..
Aap wakeyii bahut achha likhte haiN ..

Kuch ashaar to halke fulke the aur jo nahi the unka to kya kahna ..

Maalik aapko aur qaifiyat tasleem kare
Daad qubool farmaaeiN

Abrarsworld 21st January 2013 01:32 PM

Aadab Masood sahab,

Pehli baar padha hai aapko, sach me bohot accha laga... Daad kubool kare...

Duaon ke saath ijazat...

Abrar.

Harash Mahajan 21st January 2013 04:32 PM

Quote:

Originally Posted by masoodhassas (Post 446568)
eyk haliki phulki ghazal sdc ke ahbaab ki nazr


wo mujh ko warghalaanaa chaahta hai
diye ki lao baRhaana chaahta hai

mujhe uNgli thamana chaahta hai
magar pahloo bachana chaahta hai

mujhey pal pal jalana chaahta hai
sazaa bhi shaaeraanah chaahta hai

jisey who toRtaa hai muskuraa kar
usee dil me Thekaanah chaahta hai

wo rakhta hai nazar tirchee hamesha
magar pakka nishaana chaahta hai

wo qaatil hai ye sab hi jaantey hain
usey phir bhi zamaanah chaahta hai

merey pahloo me baithaa hai khafa saa
wo har dhab se sataanaa chaahta hai

mujhe baahoN me apni qaid kar ke
paseene me nahana chaahta hai

bahaaroN ka pata detaa hai maosam
koyi ab muskuraana chaahta hai

mujhe paighaam detaa hai nazar sey
wo gul hai gul khilana chaahta hai

ye dil bas husn ka rasiya nahi jee
adaa bhi kaaferaanah chaahta hai

naya hai daor aor hassas teywar
naye charkey lagaana chaahta hai

masoodhassaas
kuwait

Masood sahab ek behtareen tahreer ke liye mubarabaad qabool farmaaiyega.


All times are GMT +5.5. The time now is 02:31 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.