Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Gauhar-e-shayri.com (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=53)
-   -   nashaa sharaab meN hotaa to... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78218)

B.G.M. 11th November 2014 08:54 AM

nashaa sharaab meN hotaa to...
 
Dosto!

aaj ik raqs-ravaaN Ghazal aap ko sunaataa huuN,
mire marGhuub shaa'ir Janaab Raj Kumar "Qais" saahab ne yeh 2007 meN likhii thii,
ummeed hai aap ko pasand aayegi.
aur haaN, aap ki daad-o-teHsin maiN shaa'ir tak pahuNchaa duuNgaa gar qubuul uftaad!

-------------------------------------------------------------------------


Ghazal

"nashaa sharaab meN hotaa to….

1. maiN tashna-lab thaa magar band band thii botal!
uThii jo aaNkh kisii ki to khul gayee botal!!!

2. mire Khumaar ko darkaar thaa to bas itnaa
kabhii kabhii woh nigaaheN, kabhii kabhii botal!

3. hare bhare mire armaaN, hare bhare sapne
magar nah haath meN aa'ii 'harii bharii' botal

4. tumhaarii "neem-nigaahii" ne maar maar diyaa!
khaTak rahii hai nazar meN woh "adh-khulii" botal!!!

5. ghuTii ghuTii si suraahii, dabii dabii si sharaab
hameN to chaahiye ik "jeeti jaagtii" botal!

6. jhijak jhijak si rahii thii magar, Khudaa rakkhe,
juNhii khulii to chhalaktii chalii gayee botal!

7. lagaaya haath to sharmaa ke kuchh simaT si gayee!
bharaa jo ghuuNT to yak-dam machal gayee botal!!!

8. Khumaar ruuH ko hotaa to jism lehraataa!
"nashaa sharaab meiN hotaa to naachatii botal"!

9. nah puuChhiye kih dil-e-Gham-zadah pe kyaa guzrii?
udoo ke haath meN dekhii jo Qais ki botal!


~Raj Kumar ‘Qais’ 11/2007


================================================



maikasH 12th November 2014 09:16 PM

B.G.M saaheb, aadaab


maiN aapka "iNtehaayi" mashkoor wa mamnoon hooN jo aapne is Ghazal ko yahaaN chaspaaN kyaa.

muhtarim Raj Kumar Qais saaheb se mukhaatib hue ek arsaa beet gaya hai, kabhi "bazm-e-sukhan" naam ki mehfil jo bohat saal pehle baNd ho chuki hai, wahaaN roz ka qalaam tha unse, meri bohat rehmunaayi bhi ki hai unhoNe un dinoN, phir Shoaib Tanvir saaheb ki mehfil meiN do ek baar baat hui phir raabta TooT gaya

Ghazl par Qais saaheb ki chhaap saaf nazar aati hai, vohi aNdaaz-o-lehja hai jis ke liye Qais saaheb mash'hoor haiN

mujh na ehl ki daad o mubarakbaad ek salaam ke saath baaNdh kar unko zaroor bhej dijiyega


ek bar phir se aapka bohat shukriya

rab raakha
maikash

Dhaval 12th November 2014 09:39 PM

B.G.M saaheb

Namaste


Qais saaheb ki Ghazal dil mein Ghar kar gayii....jaise jaise Sher paDhtaa gayaa waise naShaa baDhtaa gayaa...dil ko KhuShii huii..dil se daad

Khush rahiye....apnaa khayaal rakhiye

duaaoN ke saath ijaazat


Aapka

Dhaval

sunita thakur 12th November 2014 10:12 PM

Quote:

Originally Posted by B.G.M. (Post 471558)
Dosto!

aaj ik raqs-ravaaN Ghazal aap ko sunaataa huuN,
mire marGhuub shaa'ir Janaab Raj Kumar "Qais" saahab ne yeh 2007 meN likhii thii,
ummeed hai aap ko pasand aayegi.
aur haaN, aap ki daad-o-teHsin maiN shaa'ir tak pahuNchaa duuNgaa gar qubuul uftaad!

-------------------------------------------------------------------------


Ghazal

"nashaa sharaab meN hotaa to….

1. maiN tashna-lab thaa magar band band thii botal!
uThii jo aaNkh kisii ki to khul gayee botal!!!

2. mire Khumaar ko darkaar thaa to bas itnaa
kabhii kabhii woh nigaaheN, kabhii kabhii botal!

3. hare bhare mire armaaN, hare bhare sapne
magar nah haath meN aa'ii 'harii bharii' botal

4. tumhaarii "neem-nigaahii" ne maar maar diyaa!
khaTak rahii hai nazar meN woh "adh-khulii" botal!!!

5. ghuTii ghuTii si suraahii, dabii dabii si sharaab
hameN to chaahiye ik "jeeti jaagtii" botal!

6. jhijak jhijak si rahii thii magar, Khudaa rakkhe,
juNhii khulii to chhalaktii chalii gayee botal!

7. lagaaya haath to sharmaa ke kuchh simaT si gayee!
bharaa jo ghuuNT to yak-dam machal gayee botal!!!

8. Khumaar ruuH ko hotaa to jism lehraataa!
"nashaa sharaab meiN hotaa to naachatii botal"!

9. nah puuChhiye kih dil-e-Gham-zadah pe kyaa guzrii?
udoo ke haath meN dekhii jo Qais ki botal!


~Raj Kumar ‘Qais’ 11/2007


================================================




BGM Ji.....bahut khoobsurat ghazal bani hai Botal par :) hame Bhi Botal ko pad kar bahut majja aaya :) khoobsurat Botal yahan share Karne ke liye bahuttt bahuttt Shukriya :)
Nasha sharaab meiN hota to naachti Botal...bahut khoobsurat baat hai.

Regards
:)

Qasid 13th November 2014 07:50 AM

Quote:

Originally Posted by B.G.M. (Post 471558)
Dosto!

aaj ik raqs-ravaaN Ghazal aap ko sunaataa huuN,
mire marGhuub shaa'ir Janaab Raj Kumar "Qais" saahab ne yeh 2007 meN likhii thii,
ummeed hai aap ko pasand aayegi.
aur haaN, aap ki daad-o-teHsin maiN shaa'ir tak pahuNchaa duuNgaa gar qubuul uftaad!

-------------------------------------------------------------------------


Ghazal

"nashaa sharaab meN hotaa to….

1. maiN tashna-lab thaa magar band band thii botal!
uThii jo aaNkh kisii ki to khul gayee botal!!!

2. mire Khumaar ko darkaar thaa to bas itnaa
kabhii kabhii woh nigaaheN, kabhii kabhii botal!

3. hare bhare mire armaaN, hare bhare sapne
magar nah haath meN aa'ii 'harii bharii' botal

4. tumhaarii "neem-nigaahii" ne maar maar diyaa!
khaTak rahii hai nazar meN woh "adh-khulii" botal!!!

5. ghuTii ghuTii si suraahii, dabii dabii si sharaab
hameN to chaahiye ik "jeeti jaagtii" botal!

6. jhijak jhijak si rahii thii magar, Khudaa rakkhe,
juNhii khulii to chhalaktii chalii gayee botal!

7. lagaaya haath to sharmaa ke kuchh simaT si gayee!
bharaa jo ghuuNT to yak-dam machal gayee botal!!!

8. Khumaar ruuH ko hotaa to jism lehraataa!
"nashaa sharaab meiN hotaa to naachatii botal"!

9. nah puuChhiye kih dil-e-Gham-zadah pe kyaa guzrii?
udoo ke haath meN dekhii jo Qais ki botal!


~Raj Kumar ‘Qais’ 11/2007


================================================



B.G.M Sahab ek umdaa aur pur asar ghazal se rubaruu karwaane ka shukriyaa..Bahut khoob andaz-e-bayaan hai suroor cha gaya...humhari daad aur salaam Qais sahab tak zaroor pahunchaiYeGaa..

kshitiz 19th November 2014 01:36 PM

लाजवाब ग़ज़ल क़ैस साहेब

इतनी खूबसूरत की दाद कम पड़ जाए

अपना ख्याल रखिये

Hamdam 20th November 2014 06:41 AM

Quais Sahib ....kya bakhoobi bayan kiya aapne sharab aur us ke hijab ko .. Aapke nasheele andaz ne tau humein mast kar diya , itna mast ki hum per kar hi madhosh ho gaye .

Bahut khoob janab .

Sanjay sehgal

maikasH 21st November 2014 09:58 PM

aadaab aur namaste dosto,


Ghazal ki paziraai aur is par apni pasaNdeedagi ki mohar lagaane ka bohat hi shukriya

B.G.M saahab ke zariye muhtarim Raj Kumar Qais saahab ka khat mila hai aur mujhe huqm hua hai ke maiN aap sab ka unki taraf se shukriya adaa kar dooN

khuda unko nazr-e-bad se bachaaye aur achi sehat se nawaaze aur ham sabhi youN hi unke sukhan ka lutf uThaa sakeN

B.G.M saahab aapka alag se, ek baar phir se shukurguzaar hooN jo aapne Qais saahab ka is bazm se ta'rruf karaaya

rab raakha
maikash

sunita thakur 22nd November 2014 10:45 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 471995)
aadaab aur namaste dosto,


Ghazal ki paziraai aur is par apni pasaNdeedagi ki mohar lagaane ka bohat hi shukriya

B.G.M saahab ke zariye muhtarim Raj Kumar Qais saahab ka khat mila hai aur mujhe huqm hua hai ke maiN aap sab ka unki taraf se shukriya adaa kar dooN

khuda unko nazr-e-bad se bachaaye aur achi sehat se nawaaze aur ham sabhi youN hi unke sukhan ka lutf uThaa sakeN

B.G.M saahab aapka alag se, ek baar phir se shukurguzaar hooN jo aapne Qais saahab ka is bazm se ta'rruf karaaya

rab raakha
maikash



Maikash ji....agar "Raj Kumar Qais" ji khud aa jaaye SDC par to hame behad accha lagega...pls un tak hamara bhi paigaam pahuncha dena.

shukriya


All times are GMT +5.5. The time now is 07:32 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.