Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Gauhar-e-shayri.com (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=53)
-   -   hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78043)

zarraa 30th June 2013 09:15 PM

hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale
 
hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale
teri har khataa ko adaa kehne waale


taraanaa-e-meher-o-wafaa ga rahe hum
wo roodaad-e-jaur-o-jafaa kehne waale

(meher-o-wafaa = favours & faithfulness, roodaad = story, jaur-o-jafaa = oppression & tyranny)


takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

(takalluf = formality, aashnaa = beloved)


kahe ja rahaa tu sune ja rahaa maiN
jo dil meiN hai ab to bataa kehne waale


muzaamat naheeN wo naseehat thi tujh ko
mere mashware ko anaa kehne waale

(muzaamat = opposition, naseehat = advice, anaa = ego)


uthe ab n kaanoN se baar-e-sataaish
zubaaN ko bhi mat aazmaa kehne waale

(baar-e-sataaish = burden of praise)


n majboor hote agar sun’ne waale
to waah waah yooN karte bataa kehne waale


chale jaayeNge ye tawajjo n dena
chale aate haiN baar’haa kehne waale

(tawajjo = attention, baar’haa = repeatedly)


barha sun’ne waaloN ko tha lutf aayaa
magar reh gaye bemazaa kehne waale


abhi saNg phooloN meiN badle naheeN haiN
zaraa jaam doojaa uthaa kehne waale

(saNg = stones)


n tehseeN se khush tu n tohmat pe naashaad
kaheiN “zarraa” tujh ko bhi kya kehne waale

(tehseeN = praise, tohmat = slander, naashaad = displeased)



- ZARRAA

Hassan 5th September 2014 11:26 AM

Brilliant..
 
takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

Zarraa saheb... wahhh! waaah! waaah..

Behtareen akkaasi aur khoobsorat alfaazoN se saji yeH ghazal,
dil ki gehraayi meiN dekhne aur sochne ka moQa deti hai...

Ghazal meiN dard-o-karab aur
lazzat-e-ishQ dono ayaa.N haiN..
Iss kamal-o-bemisaal ghazal ke liye saheb...
dherooN daad-o-mubarakbaad with reps! :)

Shuker hai aap ne guftagu thread meiN yeH link de diya,
warna hamari nighaoN se yeH ajooba chhhoot jata.....

Allah aap ko khush rakhe..

Aise hi mehfil roshan karte rahiye,

DuaooN ke saath,

Baghbaan 5th September 2014 12:02 PM

Zarraa ji,
Bhut acchha lga aapki gazal ko pdkar. Congrats for very good work.

Regards,
Baghbaan (Jaspal)

zainy 5th September 2014 03:10 PM

takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

(takalluf = formality, aashnaa = beloved)


kahe ja rahaa tu sune ja rahaa maiN
jo dil meiN hai ab to bataa kehne waale


muzaamat naheeN wo naseehat thi tujh ko
mere mashware ko anaa kehne waale


Masha Allah bohat khoob zarraa sahab

Sabhi ashaar laajawaab hain per yeh teen zyada pasand aaye mujhe. .

Yuhi likhte rahiye

Achcha kiya aapne interview per link post kiya warna hame milti nahi...aur isay padhne se mahroom reh jaate hamare members. ..:)

Madhu 14 5th September 2014 08:59 PM

Beautiful gazal zarra ji........thanks for sharing d link.:)

ananthpak 5th September 2014 09:58 PM

Waaaaaaahhhhhhh!!!! Zarraa sahab kya baat hai...bohat khoobsurat ghazal hai...dheron daad humari jaanib se :)

sameer'shaad' 6th September 2014 12:28 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 453177)
hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale
teri har khataa ko adaa kehne waale


taraanaa-e-meher-o-wafaa ga rahe hum
wo roodaad-e-jaur-o-jafaa kehne waale

(meher-o-wafaa = favours & faithfulness, roodaad = story, jaur-o-jafaa = oppression & tyranny)


takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

(takalluf = formality, aashnaa = beloved)


kahe ja rahaa tu sune ja rahaa maiN
jo dil meiN hai ab to bataa kehne waale


muzaamat naheeN wo naseehat thi tujh ko
mere mashware ko anaa kehne waale

(muzaamat = opposition, naseehat = advice, anaa = ego)


uthe ab n kaanoN se baar-e-sataaish
zubaaN ko bhi mat aazmaa kehne waale

(baar-e-sataaish = burden of praise)


n majboor hote agar sun’ne waale
to waah waah yooN karte bataa kehne waale


chale jaayeNge ye tawajjo n dena
chale aate haiN baar’haa kehne waale

(tawajjo = attention, baar’haa = repeatedly)


barha sun’ne waaloN ko tha lutf aayaa
magar reh gaye bemazaa kehne waale


abhi saNg phooloN meiN badle naheeN haiN
zaraa jaam doojaa uthaa kehne waale

(saNg = stones)


n tehseeN se khush tu n tohmat pe naashaad
kaheiN “zarraa” tujh ko bhi kya kehne waale

(tehseeN = praise, tohmat = slander, naashaad = displeased)



- ZARRAA


khoob se khoobtar ghazal huii hai Zarraa mere bhai...... khaaksaar ki jaanib se daad ka chota sa nazraana qubool farmaaen.... Allaah majeed nawaaze..
ho zore qalam aur se aur.......

mukhlis

mujib66 9th September 2014 11:47 AM

Bohut hi lajawaab Ghazal Zarraa ji.

Har ek sher pe dil se daad qubool kijiye.

Khaas kar eh sher bohut hi touching laga.

abhi saNg phooloN meiN badle naheeN haiN
zaraa jaam doojaa uthaa kehne waale

Agle kalam ka intezaar.

Mujeeb Parwaaz.

sunita thakur 17th October 2014 10:59 AM

zarra ji...mubarak ho...es section (Gauhar-e-Shayri) meiN sabse pehli gazal aapki aaye hai :)

sabhi ashiyaar mukaamal hai...aapki gazal ki jitni bhi tareef ki jaye kam hai...aik sher jo hame bemisaal lga aur dil ke khaas kareeb rha wo yeh hai.

muzaamat naheeN wo naseehat thi tujh ko
mere mashware ko anaa kehne waale.....!


khhobsurat gazal ke liye dil se daad hazir hai.
:)

sameer'shaad' 17th October 2014 03:30 PM

bahot mubaarak ho zarrra saahab.... aapke naam se bismilla kiya gayaa hai Gauhar e SDC ka...

aapko bahot bahot mubaarak ho.... aage bhi aapki kavita ka intzar rahega...

Shaad...

zarraa 24th October 2014 06:43 PM

Dotson ... aadaab .... ji main ne ye section aaj hi dekha, is liye shukriya ada karne mein taakheer huwee jis ke like behad maazrat khwaah bhi hoon.

Is izzat afzaayee ka tah e dil se shukrguzaar hoon. Bas ye sirf aur sirf aap sabhi saathiyon ki beshumaar mohabbaton ka hi sila hai.

Is naye section par ahl e bazm ko mubaarakbaad aur sabhi doston ko dil se dheron duaein

Zarraa

bhushan 24th December 2014 02:50 PM

Waaah zarra sahab.....
Behad umda.......
Laaaaajawaaab.
Beshumar daad is gazal ki nazar....kubul farmaiyega

Aapka apna
Bhushan

anand123sri 31st December 2014 09:52 PM

Click to read
Shayari
romantic shayari
love shayari
hindi shayari

Sagar Aashna 13th January 2015 10:06 AM

Zarraa saahab, adaab.
Dil khush ho gaya yeh ghazal paRh kar. Kya kamaal ka expression hai.
Baarha isko paRhne ka mann karta hai.
Nacheez ko abhi shayari ki bareekiyoN ke baare itna knowledge nhi ke kuchh zyada kahooN.
Bas dil ki gehrayioN se daad qubool farmaayein aur humein yunhi aise nayaab kalaam se shaad kiya karein.
DheroN daad aur dua ke saath.

Aapka khair andesh
Sagar Aashna

Taish 15th January 2015 10:36 PM

are miyaan ye kaise choott gayi thi mujhse, bahut umda peshkash hai saahib, bas dua hai ki zore kalam yuNhi badhta rahe...

Hamdam 19th May 2015 07:57 PM

Zarra bhai , salaam ...

kya samay bandha hai aapne apni ghazal meiN,
yehi keh rahe haiN sab ghazal perne wale...


Hamdam

ISHK EK IBADAT 27th May 2015 02:30 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 470228)
hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale
teri har khataa ko adaa kehne waale


taraanaa-e-meher-o-wafaa ga rahe hum
wo roodaad-e-jaur-o-jafaa kehne waale

(meher-o-wafaa = favours & faithfulness, roodaad = story, jaur-o-jafaa = oppression & tyranny)


takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

(takalluf = formality, aashnaa = beloved)


kahe ja rahaa tu sune ja rahaa maiN
jo dil meiN hai ab to bataa kehne waale


muzaamat naheeN wo naseehat thi tujh ko
mere mashware ko anaa kehne waale

(muzaamat = opposition, naseehat = advice, anaa = ego)


uthe ab n kaanoN se baar-e-sataaish
zubaaN ko bhi mat aazmaa kehne waale

(baar-e-sataaish = burden of praise)


n majboor hote agar sun’ne waale
to waah waah yooN karte bataa kehne waale


chale jaayeNge ye tawajjo n dena
chale aate haiN baar’haa kehne waale

(tawajjo = attention, baar’haa = repeatedly)


barha sun’ne waaloN ko tha lutf aayaa
magar reh gaye bemazaa kehne waale


abhi saNg phooloN meiN badle naheeN haiN
zaraa jaam doojaa uthaa kehne waale

(saNg = stones)


n tehseeN se khush tu n tohmat pe naashaad
kaheiN “zarraa” tujh ko bhi kya kehne waale

(tehseeN = praise, tohmat = slander, naashaad = displeased)



- ZARRAA


wah zarraa jee bahut khoob rahi hai ye rachna daad kubul karen
radhe radhe

masti 13th July 2015 02:45 PM

Wah wah.... Zarra ji kamaal hai ye.

Bohut khoob.

Dhaval 13th July 2015 11:20 PM

Namaste saaheb

Kyaa khoob bayaan kiyaa hay aapne... har sher laa jawaab.. dil se daad

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval

mspanwar8924 1st February 2016 08:12 AM

My life’s biggest security is not just in loving you, but in knowing that you will always be there to love me back no matter what. I love you baby.

My life’s biggest security is not just in loving you, but in knowing that you will always be there to love me back no matter what. I love you baby.

It is good to have a husband who forgives for the past. It is better to have a husband who forgives what you do in the present. Best of all is to have a husband who forgives everything and focuses on a future together.

Love is friendship that has caught fire. It is quiet understanding, mutual confidence, sharing and forgiving. It is loyalty through good and bad times. It settles for less than perfection and makes allowances for human weaknesses.

Happy Promise Day Quotes in Hindi
Love Quotes for Husband from Wife in English
I don't have words to describe what I feel for you. I fall deeper in your love with every passing day. Every moment I spend with you, feels like a dream. I'm madly in love with you.

I think God made a woman to be strong and not to be trampled under the feet of men. I've always felt this way because my mother was a very strong woman, without a husband.

All these years, you have been amazing. As a dad to our kids and as my lover, I have been happy in your arms and I could see that we’ll be happier for the rest of our days. Thank you for everything. Happy anniversary, my darling.

It is a truth universally acknowledged, that a single man in possession of a good fortune, must be in want of a wife.

Marriage is like a song, where the Lord's sweet melody of love comes from two hearts joined as one, husband and wife.

raga2303 28th March 2016 04:42 PM

Bahut khoob

abhi saNg phooloN meiN badle naheeN haiN
zaraa jaam doojaa uthaa kehne waale


All times are GMT +5.5. The time now is 11:17 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.