Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Search Forums

Showing results 1 to 40 of 44
Search took 0.03 seconds.
Search: Posts Made By: zainhasan
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 10:13 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Jabb dhoop na chandni huwi main
Kis ranng ki roshni huwi main

Kis taal pe dill dharak rahay thay
Too raag tha, raagni huwi main

Thi teray darash ki saari shoabha
Uss roaz say kaamni huwi...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:57 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Dill bujh sa gaya tha rahton mein
Phir zinda huwa teray ghamon mein

Uss lutf nay karr diya tha be zaar
Lutf aanay laga hai ranjishon mein

Ik baat ajeeb uss nay ki thi
Neend aanay ki pehli...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:44 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Phir khwab ko'ei naya naya day
Ay raat! mera diya jala day

Ik baat adhoori reh ga'ei hai
Ko'ei meray doast ka pataa day

Abb chhor day kar-o-bar-e-dunya
Be sakhta abb mujhay sada day

Jo...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:43 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Ik paer ki oat mein chhupa tha
Woh door say mujh ko dekhta tha

Woh paas raha magar kuch aisay
Saya kisi sa'ey say mila tha

Pani mein ghula tha aks mera
Uss aks mein ko'ei doobta tha

Ik...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:41 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Too saath hai,bass isi khushi mein
Dkha na kuchh aur zindgi mein

Rastay mein hazar dasht-o-darya
Guzri hoon main aik be khudi mein

Iss tarah ka ishq aur saliqa
Paya tha faqat ik aadmi mein...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:39 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Bann karr to rahi main uss ka saya
Woh mera libaas bann na paya

Kuchh waqt hi darmiyan aaya
Main nay to usay nahin bhulaya

Dunya to nahin ujar ga'ei hai
Ik shakhs agar huwa paraya
...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:37 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Ik pall ko,na raat so saki main
Uss khwab ki aas mein rahi main

Jab dheyan mein aa gaya woh chehra
Sonay kay bajaey, roa pari main

Bass aik hi yaad mein garifta
Dil thaam kar apna reh gaei...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:36 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Rastay mein diya jala rahi hai
Jangal ki hawa bula rahi hai

Ab raaz na reh sakay gi chahat
Yeh shoakh,jo gull khila rahi hai

Ik dard para hai palenay mein
Aur yaad usay hila rahi hai
...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:35 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Ik hasrat-e-aab ho gaei hoon
Main khud hi saraab ho gaei hoon

Likhi hoon ik ajnabi zaban mein
Honay ko,kitaab ho gaei hoon

Ik khwab mein jii rahi thi ab tak
So khwab hi khwab ho gaei hoon...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:33 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Kanton mein gulab dekhti hoon
Main aaj bhi khwab dekhti hoon

Ik ranjish-e-be sabab kay ba'is
Khana hi kharab dekhti hoon

Aankhon mein dhuwan sa bhar raha hai
Manzil ko sarab dekhti hoon
...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:32 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Kuchh ranj na koei be qarari
Dil par hai ajab sakoot tari

Takseem to ho rahi hai rahat
Aati hi nahin hai meri baari

Ulfat mein tha sehl jaan dena
Ik cheez yehi thi ikhteyari

Dil dard...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:30 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Dekha nahin iss misal ka chand
Sehra mein laga kamal ka chand

Reh reh kay ufuq say jhankta hai
Sharmaya huwa, wisal ka chand

Mshriq say ajab hawa chali thi
Gul honay laga shimal ka chand
...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 09:29 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Honay pay main apnay roa rahi hoon
Hasti ka yeh daagh dho rahi hoon

Shakhon pay meri khilaein gay sooraj
Mitti mein kiran jo bo rahi hoon

Uss shakhs ka dekhna qayamat
Khud apna suragh kho...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 05:44 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]

Tanha, sar-e-anjuman khari thi
Main, apnay wisaal say bari thi

Haan phool thi, aur hawa ki zad par
Phir meri har aik pankhari thi

Ik umr talak safar kya tha
Manzil pay pohanch kay gir...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2009, 05:41 PM
Replies: 16
Views: 2,834
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,Aur Wisal [ghazals]

Ilhaam, wahhi k shairi hai
Iss dil pay jo aaj utar rahi hai

Yeh wasl hai ya main khwab mein hoon
Hai khwab k wasl ki ghari hai?

Soya hai wajood aur dil mein
Ik cheez ajeeb jaagti hai
...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:16 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

KHWAB MUSAFIR

Khwab musafir!
kis manzil ki khwahish mein tumm
chupp nazron say, rasta rasta,
meray peechhay bhagtay ho
tumm soatay ho ya jaagtay ho?

kaisay haray haray lafzon ka
gehra jaal...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:14 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

WOH SHAAM ZARA SI GEHRI THI

In hijr zada aur ranjeeda
aankhon say zara neechay jhukk karr
teri yaad mein bheegay rukhsaron kay
zard kinaron parr aa karr
ghabra'ei huei si utri thi
aur thori...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:12 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

ABB MERA PYAAS PAYALA

Kaisa pyaas payala lay karr
amret kay ik ghoont ki khatir
ghoomtay phirtay---
meri raah mein aa jatay ho,
meray khali pann ko daekh kay
hanns partay ho,

dhoop say...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:11 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

PYAAS

Mujhay pyaas lagi thi zoron ki
aur jhulas ga'ay meray pa'on
uss garmi aisi dhoop pari thi
jall gaya saara ga'on

sabb naddi nalay siikh ga'ay
aur khaet huway weeran
aangan aangan mein...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:09 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

AASMAN!KABB AA'O GAY?

Aasman!
main tumharay ishq mein faqeer hoon
magar tumhari wus'aton kay samnay
haqeer hoon,
tumm aa'o gay
ke main uraan karr kay aa'oon
badlon ko cheer karr?
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:08 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

SAFAR

Main siyah raat kay safar parr hoon
aik qendeel yaad-e-janan ki
hath mein hai,magar hawa hai taez

main to ik baat kay safar parr hoon
jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi
aur meri...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:06 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

TERAY GHAMM KA JAMAL

Aik khushboo si ko'ei
teray shabistan say chali aati hai,
roshni bann kay---
kabhi moj-e-hawa ki soorat,

yeh gumaan hota hai
phela hai meray jism pay
neendon ki...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:05 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

PIYA BAAJ PYALA PIYA JA'AY NA

Mujhay aisi doori ki aadat nahin thi
ke jo zindgi ki ragon say
jawan khoon ki
aakhri boond takk khainch lay,
jism ka khaet banjar karay,

iss li'ay jabb say...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:03 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja

TERAY DHYAN MEIN

Ga'ei raat bhi, roaz ki tarah
main bass teray dhyan mein
so ga'ei thi
ajab khwab mein kho ga'ei thi

buhat door chalta huwa rasta
aik jangal mein ja karr
kahien rukk gaya...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2009, 05:00 AM
Replies: 9
Views: 1,890
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,10 Love Poems From Shehr-e-Saba

TERA NAAM


Tera naam din kay zewal parr,meri roshni
Tera naam shaam-e-safar, sitara-e-rehbari
Tera naam shehr-e-malal mein,kaff-e-dosti
Tera naam,meri mataa-e-jan,meri sha'eyri

Mujhay harr...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:32 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

MAAH GAZEEDA

Harr shab-e-firaq mein,yeh chand
badlon ki aoat say
ho mujh pay taana zann
main munh chupa'on
iss say munh chupa'on
taaray khilkhila kay hanns parein

yeh chand kay paroas...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:29 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

KHULI HUWI KHIRKIYON SAY IK SHAAM


Khuli huwi khikiyon say ik shaam jhankti hai
ajeeb aalam hai
zindagi meri bheegti putliyon mein jesay
dharak rahi hai,
tumhari yaadon kay sa'ay sa'ay...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:25 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

PHIR PURANAY HIJR

Phir Sitambar ka maheena aa gaya hay
sath lay karr, beetay waqton ka fusoon
aur guzray barson ka tilism,

phir gulabi subhein aa'iin
shabnam aalooda shabein
phir aankh...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:23 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

IK RAT UJALO MERAY LI'AY

Ik raat ujalo meray li'ay
main sao jaoon, tumm jago
ik shabnam hath rakho seenay parr
lams jagay to labb mehka'o
saans mein phool khila'o
hawa chalay to
palkon parr...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:16 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

LAMS ZINDA RAHAY

Jotshi nay kaha''
teray maqsoom mein ik muhabbat hay
aisi muhabbat
azal say abad takk ki,sabb
chahton ka jo hasil hai,
ishq ki rooh bhi
jiss mein jiss mein jari-o-sarihai...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:14 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

RAAT AUR INTAZAAR

Raat bharr girti rahi
ashk ki soorat shabnam
raat bharr chalti rahi
bheegi huei sard hawa
narm podoan mein guzarti huwi
madham madham,
raat bharr chand sulagta raha ...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:12 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

NA RASA

Kabhi ik paer kay peechay
kabhi phoolon bhari
uss shakh kay neechay
mujhay bass dooryon say
muskura karr takta rehta hai
kabhi baad-e-saba kay sath
ik halki sherarat say
meray...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:11 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

TERAY NAAM KAY SATH

Muskuranay lagi sehmi huwi raat
khill ga'ay charon taraf phool hi phool
ko'ei khushboo si mujhay choo kay chali
gungunanay lagi phir baad-e-saba
yoonhi baton mein nikal...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:09 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

AJNABI AA'O

Ajnabi aa'o!
dekho, umangon ki naokhez kalyan
jo murjha rahi hain,
tumharay liay waqt,chanchal parinda
meray saans pathar talay dabb rahay hain
meri umr kuchh katt chuki hai
jo...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:07 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

KO'EI NAMA BARR NAHIN HAI

Na hawa ka narm jhonka
Na jamal chandni ka
Na ko'ei haseen badal
Na kisi karam ki barish
Na ko'ei gudaz lehja
Na kisi nazar ki jumbish
Teray raastay pe mera
Ko'ei...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:05 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

BANSURI

Raat ki pur fusoon khamoshi hai
chandni phelti hai raston parr
bansuri ki sada suna'ei di
yoon hawa ki udaas lehron parr
soach parr chha rahi hai mayoosi
rannj ghulnay laga hai rahat...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:03 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

CHANDNI KAY URAN KHETOALAY MEIN

kaya huwa hai jo chonk uththi hoon
kaya kisi door kay sitaray say
mery dil ko pukarta hai ko'ei?
jagmaganay lagi hain kion aankhein
chandni kay uran khetoalay...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 07:01 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

ACHANAK

sard thay hoant
buhat zard thi yeh shakh-e-badan
sakht pathraei howi theen aankhein
dasht ki tarah thi sari dunya
aasman,dard ka lamba sehra
janay kya baat chali baaton say
janay...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 06:59 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

HAIRAAN

honton pay gull khila karr
zulfain meri ura karr
aanchal say baat karr kay
aagay guzar ga'ei hai
teri tarah say choo karr
baad-e-saba to mujh ko
hairaan karr ga'ei hai
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2009, 06:55 AM
Replies: 16
Views: 1,679
Posted By zainhasan
Love Samina Raja,15 love poems from Huweda

TOO

Harf-e-aaghaz bhi too
Harf-e-anjaam bhi too
Meri harr subh bhi too
Meri harr shaam bhi too
Meri aawaz bhi too
Mera ilhaam bhi too
Meri pehchan bhi too
Aur mera naam bhi too
Showing results 1 to 40 of 44

 
Forum Jump


Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com