View Single Post
Old
  (#14)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
16th November 2010, 04:17 AM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post
Udaa ke le gayee sar sar hamaare ret k aghar
ajee naseeb hi apnaa dukhon ka hai daftar
sar sar ..... bahot tez hawaa
wahhhhhhhhhhh.......... wahhhhhhhhhhhhhhh.......


Wo jis ki yaad me shab ke pahaad kaate hain
usee ki chaah me din bhi khaye hain nashtar
shab .... raat
nashtar ..... usturaa
awesome.......................


Judaayi aap ki wallaah darde paiham hai
Gulon ko kaon kahe khaar bhi hain khaakastar
wallah ...... khudaa ki qasam
darde paiham ...... mustaqil dard
khaar ....... kaante
khaakastar .... raakh
wahhhhhhhh.... kya baat !


Jo aap bose kaa waada Karen to ye haq hai
Karun dehn ko main apne buye gulaab se tar
bose ........... kiss
dehan ......... munh
buye gulaab ..... attar gulaab
oye hoye... mai mar java is sher pe.......


Tumhaaree yaad bhi hai kaisee shash jehaat bani
Ki meree yaad ke tum hi akele ho mahwar
shash jehaat ........ 6 simt
mahwar ...... wo point jis pe chakkar lagayaa jaa rahaa ho
bahut bahut khoob..........


Abhi shabaab hai aa jaao warnah khatrah hai
Badal na jaaye kaheen maosamon ka ye tewar
shabaab ...... jawaanee
MashaAllah..... bahut khoob...


Tumhaare husn ne tohfe hazaar baante hain
Kisee ko dard ka tamghah kisee ko tegho tabar
tamgha ............. medal
tegho tabar .......... jangee saamaan
very very impressive......


Dilo dimaagh hain ab tak usee ke saodaayi
Jalaa ke rakh diyaa jis ne mere bayaan ka par
bayaan .......... kalaam
wahhhhhhhhhhhhhhhhhhh...................


Gunaah aap me apne badaa hi dilkash hai
Magar jhukaa na de Hassaas ye tumhaaraa sar
SubhanAllah...................... wahhhhhhhhhhhhh...........


akheer me ek sher s d c ki jawaan dhadkanon ke naam

Tu aataa jaata hai marzi se apnee jab chaahe
Ye meraa dil hai ya hai ki tere baap ka ghar
wahhhhhhhhhhhh...... hahahahahaahahahah...


Hassas ji,

bahut bahut umdaa..... har sher ek se badhkar ek hai... is kaamiyaab koshish pe dil se daad hazir hai.... yuhi likhte rahiye aur hume apne ehsaason se ru ba ru karwate rahiye.... khush rahiye.....

aadaab
janaab lamha saahibah
aap jis andaaz se dil khol kar daad detee hain us se khoon ki gardish me talaatum aa jaata hai uski kammiyat me ezaafah hojaata hai aap ke alfaaz aapki nek niyati ki daleel hain main aap ke kholoos ke laaeq thehraa yahee mere liye qaabile sad iftekhaar hai
aap ne ghazal ko daad ke zaryah raonaq bakhshee main aap ka sameem e qalb se shukr guzaar hun
yun hi himmat badhaati rahen allah aap ko mazeed se mazeed nawaaze
doa go
masood hassaas

Last edited by masoodhassas; 16th November 2010 at 04:19 AM..
   
Reply With Quote