View Single Post
Old
  (#4)
shakuntala vyas
Registered User
shakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to beholdshakuntala vyas is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 337
Join Date: Nov 2009
Rep Power: 24
15th December 2010, 05:12 PM

Quote:
Originally Posted by prem_anjana View Post
aaj ke modern yug mein jo hum sabhi apni responsibilities se muh mod kar khud ko sabhya hone ka dawa kar rahe hai uske asli pehlu ko ujagar karti meri kuch pantiyon ke bare mein mai aapki rai janne ko utsuk hoon yadi padhkar achcha lage to protsahan keliye reply awashya den.............aapka mitra ......... prem_anjana


aaj ke vyast mahaul se kuch samay nikala hai,
aur ik ajeej ke ghar dera dala hai.
panhucha darwaje par toh gajab ka satkaar hua,
naaste pani ka behtreen vyvhaar hua.
bhabhi ji ne muskura kar namaskaar kiya,
bhatiji bhatijon ne jhuk kar pranam kiya.
haalchal ke silsile ki shuruaat hui,
kuch purani yadon ki bhi baat hui.
par mera dhyaan toh unke bangle par tha,
uske kangooron aur aangan ke jangle par tha.
thakhaar kar maine unse poonch hi dala,
kya tumne tha kahi par daka daala.
toh muskurakar mahashay ji bole,
ki mere hisse mein aaye the itne hi dhele.
unse hi yeh ghar banwaya hai,
kaaleen aur sab saaj se sajwaya hai.
dekho kitni mehnat se design karwaya tha,
bade mushkil se baabuji ko pataya tha.
itna sunte hi mere man mein ik baat aayi,
unke maa-baabu ji ki hume yaad aayi.
bus mai jhat se bola ki babuji se milwao,
jara mata ji ke bhi darshan karwao.
itna sunkar bhabhi ji ne meri or chai badhayi,
aur boli ki mil lena abhi toh aap aaye hai bhai.
par mai "anjana" hoon apni jid ka pakka tha,
ab unse hi milne ka irada kar rakha tha.
haar kar mitra mujhe bangle ke piche le jaate hai,
aur ik chota sa kamra mujhe dikhate hai.
uk kamre mein ik boodha ik tooti chatpaayi par leta hai,
naa koi saaj hai na koi sajja ka reta hai.
ik budhiya boodhe ke pair dabati hai,
nam ankho ko apne anchal se chupati hai.
itna dekhkar sara nazara saaf hua,
dhan ka bhoot meresir se khaak hua.
he re manush!! Tu apne karmo pe sharma toh jara!
ik budhi, ik boodha aur ik chota sa kamra.................ik chota sa kamra






bahut hi hraday ko choo janewali kavita hai

yesa aaj kal dekhane ko milta hai

maa baap ki yah vedana kitani hogy

aankhe num ho gayi

daaa hajir hai
   
Reply With Quote