View Single Post
Old
  (#26)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
8th January 2015, 10:23 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Sunita ji main apko jawab point by point deta huN:

1.At the age of 22 .. Mujhe aaj bhi yaad hai mere cousin ki shadi thi aur us
mein ladki walon ki taraf se aye logon se cher char karni thi . Pata nahi
Kahan se mere zehan me ek kavita aa gayi ( isse pehle maine kabhi poem
na likhi thi , na mujhe interest tha ]

Meri Pehli kavita :

Vo humari or dekh kar murkura rahe haiN,
Lagta hai kuch kehna chah rahe haiN.

Zalim waqt is bewafai thekhiye ,
kuch kehne se ghabra rahe haiN.

Thora ghabra rahe haiN thora sharma rahe haiN,
Hum unki in adaoN pe yuN hi mare ja rahe haiN.

YuN bemaut merna hai na kabool humko ,
Isliye unki her chal pe hum nayi chal phente ja rahe haiN.

2. Shuruati shayri ...pata nahi shyri bhi thi ya nahiN ... Bus jo kuch dil mein
aya keh diya ya likh diya ...ek kacha ehsaas tha voh .

Ab aap logoN ki sohbat mili SDC per , tau jana ki shayri kya hoti hai
aur iski haddein kya hain aur iski nazaqat kya hai ..
Yakeen mainye abhi main shyri ki pehli paydaan per huN aur bahut kuch
sekhna hai is ke bare mein .


.........reply to be continued ( Sanjay Sehgal)
Doston Main yahn pe add karna chahunga ki maine apna Poetry writing English Poetry se shuru kiya tha at the age of 21 aur meri first English poem Agony of Wait thi ,
Prantu meri pehli hindi poetry 22 years ki age mein likhi gayi thi



3. aap sabse jayada kis topic par shayri karna jayada pasand karte hai ?


Main kisi bhi topic pe likhna pasand karunga chahe vo Ishq se related ho , ya ghum se , ya social cause se , ya humour se related , Sharab pe ho shabab pe, spirtual ho ya nature ke upar likhna ho, actual happening ho ya imagination ho , apna ehsaas ho ya kisi ko observe ker ke doosron pe likhna , bus jahan sur lag gaya , kuch likh diya .. Meri shayri universal hai , kisi topic ki mohtaj nahiN

4. apni pasand ki, apni likhi hue chand gazaloN ke link dijiye hame ?


1. http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=75511
2. http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=75294
3. http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=75098
4. http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78440
5. http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77891
6 http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77891


5. kya aapki wife ko maloom hai ki aap bahut acche shayar hai ?


Ji bilkul meri biwi kp maloom hai ki main poetry likhta huN , but unka shayri meiN koi interest nahin hai

6. aapne apni wife ke liye ya apne kisi aur family member ke liye koi gazal likhi hai ? agar likhi hai to hamare saath share kijiye ?

Maine koi bhi shayri apne kisi ghar wale se inspire ho ker nahin likhi .. sub kuch imaginary hai , ya phir bahar se observe kar ke likha hai


7. mashoor shayroN meiN aapke pasandida shayar kaun kaun hai ?


Mujhe mash,hoor shahroN ki jyada study nahin hai .. Ghalib ki shayri se maiN impressed hun jyada kuch para nahi....But main Shiv batalavi ji ki Ghazlon aur nazron se kafi impressed huN aur unki ghazlein maine bahut suni haiN Jagjeet Singh and Mahender Kapoor ki aawan mein



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 8th January 2015 at 11:19 PM..
   
Reply With Quote