View Single Post
Old
  (#11)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
29th July 2015, 04:56 PM

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
Mere Pyaare dostoN:

Namskaar aur Aadaab!!

aik baar fir bazm meiN haaZir huuN nayii Ghazal ke saath.. ummid kartaa huuN aapko merii Ghazal pasaNd aayengee... aapki raa'ey kaa iNtezaar rahengaa.. mulaaiizaa farmaaiiye....!


*******************************


iShQ tuune zaKhm aise de diye
naa hi ziNdaa hum rahe naa mar rahe

wo zamaanaa KhuShnumaa saa Kho gayaa
Ghumzadaa dil Ghumzadaa hum ho gaye

Ik mukammal ziNdagee kii aarazoo
Ye Khayaal aate hi aaNsuu gir paDe

maikade se dosatee jab se hu’ii
GhooNT kaDwe ziNdagee ke pee rahe

maikade: bar

Ghar taraf jo deKhate haii lauT kar
deKhate haiN dard ke hii Qaafile

Ik zamaane baad mujh ko tum diKhe
zaKhm saare kar gaye fir se hare

dushmanii haii "JOSH" kee yuuN iShQ se
iShQ par wo ik Ghazal bhee naa liKhe

"JOSH" kaisaa waasataa ye iShQ se
door reh kar bhee ise ho chaahate


*******************************
Dhaval bhai - Der se nazar padhi aur ab aa paaya hoon, khoob ehsaas hue hai yunhi likhte rahiYeGaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote