View Single Post
Old
  (#6)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
26th October 2006, 09:24 AM

Quote:
Originally Posted by Diggaj_Dave View Post


Chandni raat ho
Tum mere pass ho
Tum kaho main sunu
Main kahu tum suno
Door ho dooriya
Pyaar ki baat ho
Chandni raat ho


Sardiyo ka wo bheega-2 shamaa
Sirf hum tum ho aur koi na ho yaha
Chandni ki chadar tale
hum kuch is tarah mile
Ek duje ko bas toot kar pyaar kare
Pighalte hum dono k jazbaat ho
Chandni raat ho



Tere chehre ki masoomiyat
khwab hai ye mera ya hai haqikat
tere lab se jo mere lab takraye hai
behke hai is kadar fir na sambhal paye hai
teri zulaf jo tere kandhe pe laehrai hai
Bas teri hi surat meri aankho pe chhayi hai
mere kismat mein hamesha aesi raat ho
Chandni raat ho



Aankho mein sapne liye
Zindgi ki raaho par hum chale
Har mushkilo ko hum door karte chale
Ek haseeN aashiyaaN hum dono ka ho
Usme hum apne pyaar k rang bhare
Tum jaisa agar humsafar saath ho
Chandni raat ho


Chandni raat ho
Tum mere pass ho
Tum kaho main sunu
Main kahu tum suno
Door ho dooriya
Pyaar ki baat ho
Chandni raat ho

dear diggaj

bahut khoob likha hai aapne, puri nazam badiya bani hai, jazbaat bahut khoobsurat, mujhe pasand aaye, dil se mubarakbaad sawikaar karo.

aapki didi


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote