View Single Post
Old
  (#36)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
18th January 2016, 11:00 PM

Quote:
Originally Posted by masoomshayer View Post
maine bahut baar asahaay mahsoos kiyaa hai khud ko maine 1990-93 tak ek bussiness kee koshish kee thee meraa partner ne mere vishwas ko chala mujhe pata hee nahee chalaa kab main 50-50 se partnership chalatee huyee 40-60 par pahucn gayee aur us ke baad main zero par hee aa gayaa

us waqt eeshwar ne mera sath diyaa aur main nirshaa se bahar ayaa aur dobara jeewan aur kavitaa men man lagayaa mujhe bahut thes is baat se lagee ki jise bhayee kee tarah mana jahan dastakhat mange ankh band kar ke maine kiye us ne hee itnaa bada chal kiyaa un dino mujhe laga tha kavitaa kavi sab chale jaate hain in kaa koyee mooly nahee aur maine likhaa thaa

yoon nahee kavitaa ki tujh se pyar nahee rahaa
yoon bhee nahee ki pahale sa khumaar nahee rahaa
toone duniyaa ko badalane kee kasam khaayee thee
bas teree kasam pe ab aitbaar nahee rahaa
Sach kaha anil ji..aisi kisi stithi me har baat nirarthak lagti hai...aksar vahi chhalte hain hame jin par ankh band karke bharosa karte hain ham...lekin ye bhi sach hai ki ek shakti hai jo har mushkil me hamara sath deti hai......hamara aatm bal aur ishwar ki kripa har musibat se nikal lete hain hame...

Aapne hamare sath ye ghatna share ki dhanywaad...main dua karti hun...dhokha aur fareb ab nahi payein aap jeevan me...

Fir aati hun...

Regards
Madhu.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote