View Single Post
Old
  (#15)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
9th January 2016, 10:41 AM

Shukriyaa madhu jee sab se pahale aane ke liye sawalon ko le kar

kavitaa coldge se bhee pahale se likh rahaa thaa par andaaz nahee thaa kaisaa likhataa hoon. meree prernaa Sahir jee kee shayari thee jine padh ke mujeh ahsaas huaa ki main bhee likh sakataa hoon. aur us waqt dosts apane dukh sukh bahut share karte the un ko likhane kee koshish kartaa tha mujeh agata thaa apane aap ko likhate huye insaan eemandaar nahee rahataa dukh ko sukh ko adhik badhaa detaa hai is liye meree shayari me main kam hotaa thaa meraa aaspaas zyada hota tha

par haan ek baat achee lagatee thee ki meree kavitaayen ladkion ko bahut pasand thee aur mujh se kavitaayen sun ne ke liye mujeh gher letee theen

mere ghar men mere siwa kisee ko kavitaa bahut apsand nahee par haan shanu ko achaa lagataa hai ki meree shayari log pasand arate hain aur jo un par likhataa hoon us shayari ko wo pasand kartee hain .

meree maa meree shayari kee sab se badee fan hai aksar padhatee rahatee hain samajh paayen yaa nahee par bahut ashirwaad detee hain meree kavitaa ko

shanu kaa sahyog milataa hai sadaa us ke waqt men se hee main kavitaa ke liye waqt nikalaa hoon

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Namaskaar masoom ji...

Aap haridwar se hain jaankar achcha laga...haridwar se mujhe bhi khasa lagaw hai...

Aapne ye to bataya ki kavita college ke vaqt se ubhar kar aayi..kripya ye bhi bataiye ki aapke prerna shrot kya yhe us vaqt..jiski vajah se aapka jhukav kavita ki taraf badha...

Kya aapki patni ko bhi kavitaon ka shauk hai...aapko to awashya sunti hongi...unka kaisa sahyog milta hai aapko....

Filhaal itna hee...hir hazir hoti hun...

Regards
Madhu.


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote