View Single Post
Old
  (#44)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
19th June 2016, 11:04 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Chaliye Mohsin sahab ki ek aur nayaab ghazal ki taraf nazar daalte hai

Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon Wale
Dare Hawa Se Parinde Khule Paron Wale

Ye Mere Dil Kee Hawas Dasht-e-Be-Karan Jaisi
Vo Teri Aankh Ke Tevar Samandaron Wale

Hawa Ke Haath Mein Kaase Hain Zard Patton Ke
Kahan Gaye Vo Sakhi Sabz Chadaron Wale

Kahan Milenge Vo Agle Dino Ke Shehzade
Pahan Ke Tan Pe Libaade Gada-Garon Wale

Pahadiyon Mein Ghire Ye Bujhe Bujhe Raaste
Kabhi Idhar Se Guzarte The Lashkaron Wale

Unhi Pe Ho Kabhi Nazil Azaab Aag Ajal
Vahi Nagar Kabhi Theharen Pyambaron Wale

Tere Supurd Karun Aaine Muqaddar Ke
Idhar To Aa Mere Khush-Rang Pattharon Wale

Kisi Ko Dekh Ke Chup Chup Se Kyon Hue 'Mohsin'
Kahan Gaye Vo Iraade Sukhan-Varon Wale

~ Mohsin Naqvi
Waah........nayab ghazal share ki hai anu...
Behad shukriya....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote