View Single Post
Old
  (#67)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
10th October 2015, 01:43 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Madhu jee ..

yaqiin jaaniye .. mujhe mera likha kuch pasand hi nahi hai.. aur mera likha sb kuch yahan available hai aap dekh jo aapko sahi lage padh lijiye .. phir bhi ek link de raha huN .. ye meri nayi shuruwaat ki pehli peshkash thi ..

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78078

mujhe to meri bohat see baatoN ka afsos hai .. par jaisa maine kaha main waqai afsos nahi karta akhir kaar kya mila .. lekin yahan ek baat share karna chahuNga .. ho sakta hai ye jumla kashi lage .. par meri zindagi ki sacchai hai .. maine humesha doosroN ke kiye ko hi bhugta hai .. bas yahi afsos hai .. ki sabke hisse ka chahuN na chahuN bhogna mujhe padta hai .. ye vidambna kahiye ya kuch bhi .. kash maiN share kar paata isse jude kisse ..


Mere paas secret hi secret hai.. kyuNki main kisi ke saamne kabhi apne aap ki koi baat nahi kehta .. sivay uske jise maine maan liya ho isme aur mujhme koi farq nahi .. baaki sabke saamne hansta khelta rehta huN ...



in dono baatoN ka jawaab juda hua hai sath hi maiN.. isi liye sath likh raha huN ,.. maiN kabhi shararti nahi raha jaise maine peeche bhi kaha hai .. maine kabhi anjaane main bhi kisi se shararat nahi ki kisi ko takleef pahunche .. par ye duniya hai yahan bohatoN ko bohat kuch bura lagta hai .. aur isi tareeqe se meri bohat see baatoN se bohatoN ko taqleef pahunchi hai .. mujhe mere andar yahi baat sabse acchi lagti hai .. main kabhi aisi baat sochta tak nahi jisse kisi ko bura lage .. main apne aap maiN rehne wala insaan huN .. lekin mere mazaaq halke phulke bhi kayiyoN ko bure lage hai .. aur main tabhi ke tabhi muafi maang leta huN .. mujhe mera khud maiN rehna accha lagta hai .. aur ab ye meri zindagi ho gayi hai ..

aapka phir se intezaar rahega

aapka dost

Kunaal

Bahut shukriya janaab....aap aaye aapne jawaab diye achcha laga...
Ab next..
Kunaal ji...aap kahte hain ki aapko kuch bura nhi lagta...
To is bharose pe kuch batein aur poochna chahoongi guftguu ko aage badhate huye...yakeen hai aap hamesha ki tarah sach hee kahenge....

-Aap ne kaha aapka likha kuch bhi pasand nahi aapko...
Iski vajah kya hai?

-Kyun ki jahaan tak main janti hoon...ek mali ko apne bageeche ka har paudha pyara hota hai...ek maa ko apne sare bachche...shayri bhi shayr ke dil se janm leti hai aur use likhkar vo sukoon mahsoos karta hai...to aap in baton se ittefaq nahi rakhte kya....

-Aur agar aapka likha apko sukoon nahi deta pasand hee nhi to aap use sabke samne kaise rakh pate hain .

-Aap kisi se apne dil ki baat kyun nahi chahte kyun har baat chhipa kar sirf dikhawati hansii apnana achcha lagta hai....kya kisi par bharosa karna itna mushkil hai....

-Aap ki chhoti chhoti baton ka log bura maan lete hain aapne kaha ki aap mafi bhi maang lete hain...par maafi maang lene se kya vo insaan aapke sath fir pahle jaisa hee ho pata hai ..

-Kya aapne kabhi khud ko janne ki koshish nahi ki...ki aakhir kyun logon ko aapke halke fulke mazak bhi bure lagte gai ...
Khud me aisa kya badlaaw karein ki log aapse khulkar mil payein.apki batein dil pe na lein....

Jawaab dil se milenge janti hoon main...
Intzaar rahega..

Khush rahiye..
Madhu.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote