View Single Post
Old
  (#72)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
15th October 2015, 11:09 AM

Quote:
Bahut shukriya janaab....aap aaye aapne jawaab diye achcha laga...
Ab next..
Kunaal ji...aap kahte hain ki aapko kuch bura nhi lagta...
To is bharose pe kuch batein aur poochna chahoongi guftguu ko aage badhate huye...yakeen hai aap hamesha ki tarah sach hee kahenge....


Muafi ka talabgaar huN deri ke liye .. thoda roz marra ki aazmaaish mai phansa hua tha .. khair aapne bharosa jataaya hai .. to bharosa kaayam rakhunga ... yaqiin kijiye


Quote:

-Aap ne kaha aapka likha kuch bhi pasand nahi aapko...
Iski vajah kya hai?

-Kyun ki jahaan tak main janti hoon...ek mali ko apne bageeche ka har paudha pyara hota hai...ek maa ko apne sare bachche...shayri bhi shayr ke dil se janm leti hai aur use likhkar vo sukoon mahsoos karta hai...to aap in baton se ittefaq nahi rakhte kya....

Mujhe nahi lagta in do baatoN main koi match hai .. shayri ek kalaa hai .. isme dil ke sath dimag bhi istemal hota hai .. jiski justification hoti hai .. bacche paida karna koi kalaa nahi hai .. ye ek neimat hai .. aur iska koi justification ho sakta hai .. mere khyaal se kabhi nahi ...

Koi Shayri sukooN deti hai wo apna zaati mas'alaa hai par ek hunar hai ye .. jaise khana ban ke pet to har koi bhar sakta hai .. par uska swad har kisi ka alag alag hota hai .. aur usme accha bura hota hai .. humme apni shayri ke sath insaaf karne ki himmat honi chaiye .. humeN pata hona chaiye ki hum jo likh rahe hai wo kitna accha hai .. aur pasand na aana isko aur nikhaarne ki taraf aur bada kadam hai ..

aur ek baat waqt ke sath maine shaa'iiri ke qaa'ide bhi jaan liye hai to thoda aur apne aapko parakhne laga huN .. mujhe shaa'iiri maiN ek mukaam banaana hai kisi aur ke liye nahi apne liye .. ki jab maiN na rahuN tab bhi log ise padheN aur ye ek level saabit kare.. jo mujhe lagta hai abhi main usse bohat peeche huN ...

Quote:


-Aur agar aapka likha apko sukoon nahi deta pasand hee nhi to aap use sabke samne kaise rakh pate hain .


is mua'mle maiaap mujhe nahi keh sakti ... maiN bohat kam hi shayrii logoN ke saamne rakh raha huN .. aur usko logoN ke hawaale kar deta huN .. jo main logoN ke saamne rakh raha huN .. usme kahiN hadd tak maiN apne kured chuka hota huN wo bhi tab rakhta huN .. aur logoN ke khyaal ka teh dil se isteqbaal karta huN .. aur ek baat ye kisne keh diya ki hum jo sukooN deta hai logoN ke saamne rakh dete hai.. mera to manna hai jo humeN sukooN deta hai use logoN se bacha ke rakha jaata hai .. jaisa ki aaj kal main kar raha huN .. asli maal to chupa rakha hai ..

Quote:

-Aap kisi se apne dil ki baat kyun nahi chahte kyun har baat chhipa kar sirf dikhawati hansii apnana achcha lagta hai....kya kisi par bharosa karna itna mushkil hai....

Kisi pe bharosa karna mushkil nahi hai .. par wo 'kisi' milta badi mushkil se hai .. maine zik'r kiya hai ki maiN jise maan leta huN isme mujhme koi farq nahi usse maiN kuch nahi chupaata .. aur har baat to har kisi ko nahi bataai jaa sakti .. maiN ho sakta hai kisi se apne dil ki baat na kahuN .. lekin maiN koii jhooth bhi nahi rakhta .. apni baatoN ko na bataana maiN nahi samajhta jhooth bolna hai .. phir bhi maiN koshish karta huN .. har kisi se jisse miluN .. use us 'kisi' maiN shaamil kar sakuN .. phir to waqt hi faisla karta hai ki mujhe kya milta hai .. maze ki hi baat hai .. ki wo 'kisi' har koi nahi ho paata ..

Quote:
-Aap ki chhoti chhoti baton ka log bura maan lete hain aapne kaha ki aap mafi bhi maang lete hain...par maafi maang lene se kya vo insaan aapke sath fir pahle jaisa hee ho pata hai ..

-Kya aapne kabhi khud ko janne ki koshish nahi ki...ki aakhir kyun logon ko aapke halke fulke mazak bhi bure lagte gai ...
Khud me aisa kya badlaaw karein ki log aapse khulkar mil payein.apki batein dil pe na lein....
well maiN samajh jaata huN kisko kaha bura laga .. to mujhe nahi lagta ki mere jhuk jaane maiN koi buraai hai .. mujhe farq nahi padta maiN ghalat huN ya nahi .. rahi baat wo insaan pehle jaisa hota hai ya nahi .. to mujhe nahi lagta chote baat ka bura bada lagaata hai koi.. choti baat pe naaraazgi bhi choti hi hoti hai ... baaki maiN apna 100% effort karta huN .. bbacha hua saamne waale ki marzi ..

doosra sawaal zara atpata hai .. maiN kaise jaan sakta huN kisko kya bura lag jayega .. jispe koi bura nahi maanta pata nahi lagta uspe koun bura maan jaaye .. mujhme badlaaw ki zaroorat mujhe is liye nahi lagti kyuNki maiN kisi se aisa ban ke milt hi nahi ki log mujhse khul kar na mil paayeN .. yaqiin jaaniye to logoN ko kayi baar bura ye lag jata hai ki ye khul kar kyuN mil raha hai .. aur kabhi kabhi ye bhi bura lagta hai .. ki hum khul kar kyuN mil liye ....

Quote:

Jawaab dil se milenge janti hoon main...
Intzaar rahega..

Khush rahiye..
Madhu.
jawaab ungliyoN ke zariye dil se diye gaye hai .. haha ab phir se aapka intizaar hoga ..

aap khushi se jyada khush raheN

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote