View Single Post
bahut khoob likha hai aapne
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up bahut khoob likha hai aapne - 14th October 2009, 11:35 AM

Quote:
Originally Posted by Hassan Rasheed View Post
Aaj DIL.....thora sa udaaas hai.....to yeh likh dia.....:-


Koi tumse agar poch bethe k kon hon main
To bila jhijhak bata dena koi khaas nahi

Waja-e-hamdardi ki khatir mujhse baat karti ho
Dar haqeeqat zara bhi tere dil ke pass nahi

Langar to faqeeron mein bhi taqseem hota hai
Khanay per bulati ho lekin izzat mujhko raas nahi

Khiyaal rakhti ho sirf khidmat-e-khalaq waastay
Jag ko yeh bhi bata do tumhe mujh se koi aas nahi

Tareeqa-e-zeest hai jo tum mujhse bewafai nahi karti
Warna umer bhar saath nibhaon itna farz-shanaas nahi


Bila Jhijhak = Without hesitation
Waja-e-hamdardi = Due to kindness
Dar Haqeeqat = Actually
Faqeeron = Beggars
Khidmat-e-khalaq = Kind to humanity
Jag = World
Tareeqa-e-zeest = Method of Live - Dunia-daari
Farz-shanaas = Duteous


(Hassan Rasheed)


Aslaam HSN jiiii

kaise haiN aap ???

aapne baar baar hume nayota diya apni poetry padne ka to lijiye bhai sahiib aaj hum waqt nikaal kar aa gaye aapki poetry padne

sabse phele to yeh bataye ki aapka dil aaj kuch kuch udhas kyu hai agar aap apni dil ki baat humse share karna chaheN to khushi se kar sakte haiN, hume bhi accha lagega

aapki poetry to sach mein kabiley tareef hai, aur vaise bhi sone (Gold) par nikhaar jalne ke baad hi aata hai....hai na ! jab dard ho dil mein poetry tabhi mukaamal banti hai !

hume sabhi sher bahuttttttttttt khaas lage aur last wala sher to dil loot le gaya....wah !

Tareeqa-e-zeest hai jo tum mujhse bewafai nahi karti
Warna umer bhar saath nibhaon itna farz-shanaas nahi


aur maiN VIKAS jii (Janu-Manu) se poori tarah sahmat hoon, ki aaj lag raha hai ki aap kahan se haiN. unka post kiya sher main bhi aapko dedicate karti hoon

phool se gunchy se chaman se ho
ya fir mere mahboob vatan se ho



reps +++ added


kush rahiye
duao.n ke saath


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote