View Single Post
Old
  (#88)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
24th March 2008, 02:57 AM

Chapter 7

Sahil or Saara dono ki prem kahani ki shuruaat ho gai isi ke saath. Sahil or Sabaa ne Rahul ko shukriya kaha usne jo bhi kiya un dono ke liye... Sab bahot khush rahate thhe, Piyush bhi khush dikhta thha, ji haa sirf dikhtaa thha...khair din mahine beet'te gaye...or isi ke saath March aa gaya or saath hi ferval party ka din bhi, 3rd year ke students ki vidaai ka waqt aa gaya thha...subha 9 se dopahar 3 baje tak party chali, sabne bahot masti ki, aaj hi ka din milta hai juniors ko apne sinors ki khichaai karne ka, so sab ne sabhi 3rd year ke students pe joks banaaye...khana pina sab hua, or fir 3 baje jab jaane ka waqt hua to sabko vida kiya gaya...

" Akhil bhaai apko bahot miss karenge " Piyush ne kaha

" Main bhi tum sab ko bahot miss karunga, lekin fikr nahi yaar apna ghar to ek hi area me hai, milliya karenge" Akhil ne kaha

Sabne Akki ko or baakiyon ko bye kaha or exams ke liye best luck kaha fir sab apne apne ghar aa gaye....May bhi aa gaya..exam time...ab exam me siva padhaai ke kya hoga.kuch nahi na isi liye exam khatam kar diye maine june aate aate..or result bhi...sab pass hue achhe marks se..or chhuttiya bhi aa gai....chhuttiyo me bhi masti kaha dosto ke siva isi liye collage return maarte hain......Rahul ke papa ka transfor ho gaya thha Kota to vo waha chala gaya {Main Rahul ka roal yahi khatm karti hu }

" Oye yaar 2 din baad hum 2nd year me honge...dhinn chaak dhin chaak...main to sab ki reging lunga, maje karenge yaar " Sahil ne phone pe Piyush se kaha

" Kar lena, lekin raat ke 2 baje mujhe kyu jagaa raha hai, sone de yaar " Piyush ne ankhe malte hue kaha fir phone rakh diya...

" Sala khadoos...." Sahil ne bhi phone rakh diya

2 din baad collage me :

Sahil or Piyush apni apni bick pe collage pahonch gaye, or Saara humesha ki tarha bhaiya ke saath aane waali thhi

" Hi, chal waha baitthte hain " Sahil ne Piyush se kaha

" Jaise hi koi fresher dikhe, pakad lena...." Piyush ne kaha

5 min baad :

"Oye dekh ek ladki jaa rahi hai, shaayad fresher ho, chal aaja " Sahil ne ishaara karte hue kaha

" Excuse us " Piyush ne pichhe se kaha, or ladki ne turn mara......or kya kahu dono ki ankhe ladki pe jam gai....dekhte hi rahe gaye use...

" Saba" Piyush ne kaha

" Goshhh tum dono, mujhe to yakeen nahi ho raha ke tum dono mujhe yahi miloge. Maine to socha tha ke ab maine tum logo ko kabhi mil hi nahi sakungi..main bahot khush hu tumhe fir se dekhke" Saba ne bahot khush hote hue kaha

Jee Saba wapas aa gai...wahi Saba, or usi roop me...ab to maano kayaamat lagti thhi vo..wahi hansmukh chehara...Lekin ek aadat nahi gai..chwing'gum ki...ufff

" Lekin tum sydeny se waapas kab aai or tumne to kaha thha ke tum nahi aaogi " Piyush ne bahot khush hote hue puchha

" Main chhuttiyo me aai, actually mera waha man nahi lagta thha, waha koi dost nahi koi bolnne wala nahi..mere cousens thhe to kisiki shaadi ho gai or koi nokri ke sil-sile me baahar chala gaya..isi liye akeli ho gai thhi to waapas aa gai..or yahi pe 2nd year me admission le liya " Saba ne bataya

Chaliye Saba ki bhi entry ho gai, Sahil Piyush Saba fir se ek baar saath thhe...Saara ko bhi ye baat pata chal gai vo bhi bahot khush hui ye sunke...chaaro ne aaj ka din celebrate kiya...raging ke chakkar me unhe Saba mil gai....hahaha..

" Dadddddddd, dad dad dad dad....give me a five.." Piyush bahot khush thha, isi khushi ke saath papa se mila ghar aake

" Yeh....tum bahot khush ho, kyu? " Papa ne puchha

" Guess what happened today " Piyush ne bahot x'aited hoke kaha

" What ? " Papa ne puchha

" Dad Saba came back...i feel like i m on top of the world....yuhuuuuuu " Piyush uchhalta fir raha thha

" Matlab vo sach me wapas aa gai hai " Papa ne bhi gaur kiya

" To kya main joke maar raha hu? " Piyush ne kaha

" Maine kaha thha na ke vo aayegi " Papa ne kaha

" Yes dad......love you dad...." Piyush ne papa ke gale lagte hue kaha...
Piyush fir wahi purana wala Piyush ban gaya thha, bas wahi Saba ke baare me sochta rahata thha....bahot khush thha...

1 Mahine baad collage me :

" Piyush, kya kar raha hai yaha " Sahil ne Piyush ke paas baitthte hue puchha

" Kuch nahi bas aise hi time pass kar raha hu, yaar Saba kyu nahi aai " Piyush ne kaha

" Pata nahi yaar, waise ek baat puchhu ? " Sahil serious thha

" Haa puchh na " Piyush ne kaha

" Dekh ek din vo thha jab tune Saba se pyaar ka izhaar is liye nahi kiya thha kyuki vo door jaa rahi thhi kabhi naa aane ke liye, lekin ab to vo waapas bhi aa gai hai, ab to tu usse kahega na ke tu usse pyaar karta hai " Sahil ne kaha

" Pata nahi " Piyush ne javaab diya

" Kya, abe kya pata nahi, dekh tu Saba se sab kahe raha hai bas " Sahil ne gusse me kaha

" Yaar, achha mauka dekhke kahunga " Piyush ne kaha

" Haa ye hui na baat, chalo isi baat pe Eco. ki class attend kar li jaaye...." Sahil khush hote hue bola...or dono hans pare...

Piyush thhoda dar raha thha, ke kahi Saba bura na maan jaue, kahi usne mana kar diya to, ya fir uska....kahi vo uski dosti bhi na kho de....isi liye vo Saba se kuch nahi kahe sakaa...Agast ka mahina thha...collage me 15 agast ke paavan awsar par program tha...chaaro ne programme me saath jaana taye kiya...Saba ka ghar sabse last me aata hai to Sahil Piyush or Saara use pick karne uske ghar pahonch jaate hain.

" Ting tong " Door bell baji.Saba ke ghar ki, ek naukar ne gate khola

" Saba kaha kaha hai " Saara ne puchha

"Vo apne room me hain " Naukar ne javaab diya

" Use kaho ke Piyush Sahil or Saara aaye hain " Piyush ne kaha, or naukar ne Saba ko inform kiya Saba ne sab ko apne room me bulaya

" Wow..what a big hous man...." Sahil ne makaan me idhar udhar dekhte hue kaha

" Saba ka room kaha hai " Piyush ne puchha

" Upar jaake left me 2nd room madam ka hai " Naukar ne bataya, or teeno uske room ki or badh chale...

" Come in guys " Saba ne kaha

" Hi, tu taiyaar nahi hui, are yaar aaj 15 agast hai teri shaadi nahi jo itna waqt laga rahi hai..get fast yaar " Saara ne kaha

" Oh please, tum log baittho main abhi aati hu " Saba ye kahake bathroom me chali gai...

" Yaar ye Ambaani ki family se belong rakhti hai kya, kya alishaan makaan kya kamra hai " Sahil ne kaha

Piyush idhar udhar dekh raha thha, bas room me ghumne laga tabhi Saba ki study table ki or badha...waha divaar pe bahot saari pic's thhi, uski mammy ki uski..or uski school time ki....tabhi table pe use kuch dairies nazar aai....unme se ek wahi laal dairy thhi jiske saath Piyush use aksar school me dekhta thha..usne vo dairy utthhai or uske panne palatne laga...uska use padhne ka koi iraada nahi thha, lekin uski nazar ek rangeen panne pe gai....

" Maa, aaaj apki bahot yaad aa rahi hai...kaash aap mere paas hoti.N to main aapse bahot baate karti...Maa mujhe Sydeny nahi janaa. Mujhe yahii rahana hai apne ghar me jaha aap ki yaade hain...lekin papa ka fesla hai ke main jaau...ek tarha se thheek bhi hai, waha jaaungi kamse kam koi pyaar karne wala to hoga..mama honge mami bhaiya jo sab mujhse pyaar karte hain...lekin...uska kya jisse main pyaar karti hu..."

Piyush ne yahi padhna rok diya, vo aage nahi padhna chaahta thha,

"Pyaar? Saba kisise pyaar karti thhi, nahi ye nahi ho sakta..." Piyush man hi man ro para..lekin usne aage padhna thhik samjha

" Haa Maa, tumhaare baad ek shaqs aisa mila jo mujhe samajhta hai, Maa vo tumhari hi tarha mere dukh ko bina kahe jaan jataa hai..Maa main Piyush ke bina kaise rahungi waha...maine to abhi tak use ye bhi nahi bataya ke main usse pyaar karti hu, shaayad ab kahe bhi nahi sakungi....kya faydaa hoga, main to chali jaaungi, fir jaate jaate use dukhi kyu karke jaau...lekin Maa tum kahati thhi na, ke jisse insaan dil se chaahta hai use vo zaroor milta hai..isi bharose jaa rahi hu ke main ek din fir laut kar aaungi....Love u Maa. I miss you. "

Piyush ke chehare pe maano zindagi ne khushiya chhod di ho...use yakeen hi nahi hua ke Saba bhi use usi waqt se pyaar karti aa rahi hai jabse vo pyaar kar raha hai...aaj uski zindagi ne use khushiya ko nazrana dediya...jise lena abhi baaki thha...

" Hey, tum meri dairy padh rahe ho, bad haa kisiki dairy padhna " Saba ne dairy haath se chhinte hue kaha

" Saba, tum bhi mujhse pyaar karti ho " Piyush ne Saba ko dekhte hue kaha
Saba samajh chuki thhi ke Piyush ne uska likha padh liya hai, ab chhupaane se koi fayda nahi....

" Piyush, main....Haa, mujhe aaj bhi yaad hai vo din...jab tumne pahali baar mujhe apna hone ka ehsaas karaya thha, 5 sittambar...main to usi din se tumnse pyaar karne lagi thhi...lekin kabhi kahe nahi saki...or jab kahana chaaha to mere tumse door jaane ka waqt aa gaya thha..." Saba ne chhuki nazro se javaab diya

" Saba, main kitna tadpa hu tumhare jaane ke baad, isi aas pe raha itne saal ke tum wapas aaogi...jab tum waapas aai to aisa laga mujhe zindagi mil gai ho...main bhi tumse bahot pyaar karta hu..bahot " Piyush ne kaha

" Piyush main wapas sirf tumhare liye aai hu...sirf tumhare liye " Saba ye kahake Piyush ke seene se lag gai...

Sahil or Saara sab sun rahe thhe. dono khush thhe ye jaanke ke Piyush or Saba mil gaye hain....

" Akhir mere yaar ko uska pyaar mil hi gaya " Sahil ne dono ke paas aake kaha...

" Are ye madhur milan baad me kar lena...programme shuru ho gaya hoga....chalo jaldi " Saara ne ghadi dekhte hue kaha...or chaaro nikal gaye... kareeb 1 baje programme khatam hone ke baad Saara ko Sahil ne uske ghar tak chhoda or Saba Piyush ke saath nikal gai lekin Piyush ke ghar.

" Hi mum...mamma ye Saba hai...aapko bataya thha na vo Saba " Piyush ne ghar me entry ki or mamma ko Saba se milvaya..

" Haa yaad hai mujhe..aao andar aao...baittho.....main Piyush ke papa ko bulaati hu " Piyush ki mamma ne kaha

" Hmmm to tum ho Saba " Piyush ke papa bhi aa gaye

" Namaste uncle " Saba ne kaha

" Baittho beta...tumhare baare me Piyush ne bahot bataya hai...bahot khushi hui ke tum humare ghar aai.." Piyush ke papa ne Saba ko lunch ke liye kaha...sab ne lunch ek saath kiya...or fir sabne bahot baate ki kareeb 1,2 ghante tak...fir...SAba ke jaane waqt hua

" Dad main Saba ko uske ghar tak chhodke aau " Piyush ne puchha

" Haa haa jaao kyu nahi " Papa ne ijaazat dedi...or dono nikal gaye...

Saba ke ghar ke mane gate pe:

" Lo bhai, tumhara ghar aa gaya..." Piyush ne bick rokte hue kaha

" Thanks " Saba ne kaha or andar jaale lagi...

" Saba " Piyush ne pichhe se roka

" Haa kaho " Saba ne waapas aate hue puchha

" Do you really love me ? " Bada ajeeb saval Piyush ka

" Kyu, yakeen nahi hai " Saba ne muskurate hue kaha

" Tumpar to yakeen hai, lekin kismat par nahi...kabhi milaati hai kabhi juda kar deti hai...ab to kabhi judaa nahi hogi na mujhse " Piyush ne kaha

" Ab to maut hi juda karegi " Saba ne kaha

" Hey, fir kabhi marne ki baat mat karna..." Piyush ke maathhe pe shikand thhi

" Hahaha, nahi kahungi..." Saba ne hanste hue kaha

" Waise bhi tumse pahale main hi upar jaaunga, or upar jaake bhagvaan se kahunga ke ab tumhe bhi bula le, mujhe nahi achha lagta ke meri jaan mere bina rahe....hahahahaha" Piyush ne mazaak karte hue kaha

" Achha...." Saba ne use pinch karte hue kaha

" Achha ab main jaati hu " Saba ne kaha

" Hey, raatko milogi naa" Piyush ne uska haath pakadte hue puchha

" Raat ko,,?" Saba ne puchha

" Abe sapne me chirkut...ya koi or aane wala hai...dekho aisa ho to bata dena fir main bhi kisi or ko dhundhu sapne me jaane ke liye " Piyush ne fir use chidhaate hue kaha

" Achha, jaao fir ab to kisi or ko hi dhundho..main to jaa rahi hu..." Saba chidhte hue chali gai

" Oye......mazaak thha" Piyush ne aawaaz lagate hue kaha

" Ab jaao tummmmm " Saba ne door se kaha....or fir Saba ke andar jaane ke baad Piyush bhi chala gaya.....

To Be Continoued

Grazie

Pooja


===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa