View Single Post
Old
  (#42)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
8th September 2015, 03:05 PM

Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
Madhu ji dili Shukriyaa ....aapke ye alphaas our pasandagi mere khyaaloN ko roushan kar jaati hai is ke liye maiN beintaha aabhaari hooN......sach meiN aapka our Sunita ji ka ye swaaliya aNdaaz our ye Guftagu meiN is kadar beh jana, saath meiN aapka yuN ham saNg is thread meiN batiayaana, phir har mouzuN par aapki kalam se nikle ye lalchaate alphaasoN bhare swaal, bahut hi behtareen hunar paaya hai aapne ...kya baat hai....
SawaaloN ka silsila to shayad yuN hi chalta rahega....our yahaaN is adaalat meiN aapka junoon bana rahe ...aapke our shayri.com ke sneh ke liye aabhaari hooN....

Shukriyaa

Regards

Bahut shukriya aapki duaaon ka harash ji.......
Ek chhota sa sawaal zehan me aaya aapka jawaab padhkar..

Kya ghazal ki tarah kahani likhne ke bhi kuch kayde kuch usool hote hain....

Aisi kya baatein hain jo kahani ko aur interesting banati hain aur readers ko bandhe rakhne me madadgaar sabit hoti hain..

Pahli baar koi kahani likhna chahe to use kon si batein dhyan rakhni chahiye.....

Aapke sujhav ka intzaar rahega in sawalon ke jawaab ke roop mein.....

Fir hazir hoti hoon....
Shukriya...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote