View Single Post
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
23rd June 2020, 10:44 AM

Quote:
Originally Posted by mujib66 View Post
Ek Nazm

[Suna suna hai sansaar ka raastah]


Hain corona ki dehshat ki aatish men log
Pad gaye waqt ki aazmaish men log
Hain dawa ki bohut khoj khwahish men log
Hain corona mitane ki koshish men log
Hai udasi men beemar ka raastah
Suna suna hai sansaar ka raastah

Waqte mushkil ke hathon men mazdoor hain
Gham zadah shehr gaon men mazdoor hain
Ghar se beghar bhi lakhon men mazdoor hain
Khair kar moula,rahon men mazdoor hain
Dukh men moula hai khuddaar ka raastah
Suna suna hai sansaar ka raastah

Dore hazir men mayuus her raat hai
Moj masti na tafri ki soghaat hai
Dhol baja na shadi ki baraat hai
Logon men ab na rasme mulaqaat hai
Haale khastah hai gharbaar ka rastah
Suna suna hai sansaar ka raastah

Bheed dikhti nahin ab hai bazaar men
Ab dukanen nahin khulti hain dhaar men
Hai kharido farokht haal ki haar men
Sara aalam hai sannate ki mar men
Khali khali hai bazaar ka raastah
Suna suna hai sansaar ka raastah

Ab hai uljhan men afsos men baghban
Ho gaye uske Gulshan wiraN hi wiraan
Baagh ko de chamak ae khuda mhehrban
Eh dua karte hain bagh ke qadrdan
Hai bohut gham men gulzaar ka raastah
Suna suna hai sansaar ka raastah

Her ada hai teri jo nirali khuda
Tu ata kar jahan ko jalali khuda
Kar carona se dunya ko khali khuda
Bhar de rehmat se ham sab ki jholi khuda
Kar de aasaan ghamkhwar ka raastah
Suna suna hai sansaar ka raastah



Some meanings

dehshat- Panic
aatish- Fire
khuddar- Self-reliant person
dore hazir- Present time
Gham zadah- Involved in pain/ trouble
mayuus- Gloomy/ Sad
tafri- Amusement
Hale khastah - Dull condition
aalam- World
wiraan- No body is seen.
jalali- God's power/ action
gulzaar- Garden
rehmat- Mercy
ghamkhwar- Person who takes part in bad time of others


By Mujeeb Parwaaz
Waah waah!!!
hakeekat bayaan karti badhiya nazm........



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote