View Single Post
Old
  (#29)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
5th October 2015, 04:50 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
mazrat'khwah huN ye na samajhiyega ki main talkh mijaaz ho raha huN ... par maine aapko satisfy karne ke liye jawaab nahi diye .. maine wo kaha hai jo mujhe sahi lagta hai .. main sahi ya ghalat ho sakta huN .. mujhe accha laga ki aapne is baat ko samjha .. aap mujhse satisfy nahi ye ghalat hai .. mere hisaab se aap ye keh sakti hai ki mere views aapse nahi mel khaate .. ye sahi hoga .. aur dilchaspi to bani hi rehni chaiye .. waise dilchaspi hoti bhi wahi hai jahan humeN humse aledha koi milta hai ...

aap bhi khyaal rakheN apna .. aapka intezaar rahega..

aapka dost

Kunaal
Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Bohat Shukriya Sunita jee

mujhe bhi sawaaloN ke jawaab dene maiN maza aa raha hai .. maine kabhi banawti baaten nahi ki .. na yahaN kar raha huN .. maine pehle hi thaan liya tha yahan aane se pehle ki main wo kahunga jo mujhe lagta hai na ki kisi ko khush karne ke liye jawaab rakhuNga ...
Kunaal sahab...aapke dono reply me aapne ek hee baat kahi ki main kisi ko khush karne ya satisfy karne ke liye jawaab nahi de raha..to janaab ham bhi yahaan sach aur dil se kahi huyi baate hee sunna chahte hain....aur isi baat se hame khushi bhi milti hai.....

Aur mere kahne ka aapne matlab samajh hee liya tabhi apne tareeke se mujhe samjhaya ki us baat ko kaise kahna chahiye mujhe.....aap to jante hee hain ki sabka baat kahne ka apna tareeka hota hai...zaroori hai ki baat samne wale ko convey ho sake...
Khair mujhe correct karne ka shukriya...
Aur intzaar karne ka shukriya...aage bhi aati rahoongi...
Khayaal rakhein...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote