Thread: paras
View Single Post
Old
  (#20)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
6th August 2004, 09:24 AM

Sakhi, meri pyaari pyaari..

Tumhein kuch kehne kee zaroorat nahin main jaanti hoon...unchaiyon ko kaun poochta hai...tum sabka pyaar jo hai mere saath aur kya chahiye...aur tum bhi khush raha karo...ok

dher sa pyaar

tumhari aapa


---------------

Majrooh Sahib...

Aapki shubhkaamnaaon ke liye bahut bahut shukriyaa...aur aapne tau kuch jyaada hee tareef kar dee is naacheez kee...lol

paras

-------------------

Sanjoo...

kaise ho, kuch kaam waam bhi karte ho ki bus shayri hee karne mein jute ho...khuub yaad rakha tumne sanjoo...haan bus tabhi mere agents ne story publisher ko bechi thee...par kya hai na Sanjoo...maine socha contract hee tau sign kiya hai...kya pata wo publisher isko print bhi karega ki nahin...vishwaas nahin thaa mujhe...ab bhi kuch sink in nahin kar raha...bus yeh dua dena ki flop na ho meri yeh pehli koshish...shukriya best wishes kaa...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote