22nd April 2007, 05:09 PM
Mian Nahin jaanta ye nazm maine kitni baar pad daali... Aur kuchh is tarah isme doob gaya ke daad dena hi bhool gaya!!
Kya kahoon Maikash!! Nazm pad ke shahir ji ki nazmein yaad aa gayi... Har lafz jaise taraash ke likha gaya hai, dard ke saath saath khoob mehnat bhi kee gayi lagti hai isko likhne mein. Isse padne ka nahin gungunnane ka mann hua har baar, tarran ban gayi aapki ye nazm padte padte..
Shukriya isse share karne ka..
Varinder
kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
|