View Single Post
Old
  (#9)
Merul
Registered User
Merul will become famous soon enoughMerul will become famous soon enough
 
Merul's Avatar
 
Offline
Posts: 1,008
Join Date: Feb 2006
Location: India (Surat)
Rep Power: 21
16th February 2007, 11:15 AM

hi farhana ji

aaj aapko pehli baar padh raha hu kyuki mein ye samajta tha ki dard section mein kya jana par aaj yaha aake dekha to aap jaise kai dost hai jo sach mein dil ko chhu jane wali rachna likhte hai
aapne bahut hi achchha likha hai
aaj aaapki is rachna ko deri se padha hai par aapki hi rachna ne aankho ko hi nahi dil ko bhi chhua hai
jo log aapko dekh ke mukarte the aaj unka bhi sir juka hai

aaapki rachna ka javab mein har baar ki tarah shayri se dena pasand karuga


Is bheed me bhi khud ko tanhaa paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon

Mit gaye hai sab zakham,
Bas nishan baki reh gaya,
Saza puri ho gayi yaaron,
Karna gunah baaki reh gaya.


Kya bigaada hai meine parwar digaar kaa
Har pal kuch aur khud ko badnaseeb paati hoon

Har insaan ka achcha nasib nahi hota,
Har insaan khusiyo ke kabil nahi hota,
Kuch ese bhi he jo patein hain mohabbat,
Har insaan muj jaisa badnasib nahi hota.


Aarzu ki thi meine phoolon ke aashiyaane ki
Kyu harsu mein kaanton ki diwaarein paati hoon

Gum sataye to muskurana,
Isi aarzu se usko harana,
Zindagi bhi banegi kuch aur dilkash,
Har dard ko sine se lagana.


Bahaut shauk tha mujhko zindagi jeene ka
Har pal bas maut ko ab main kareeb paati hoon

Chale bhi aao ki hum tumse pyaar karte he,
Ye wo gunah he jo hum baar baar karte he,
Log maut tak hi dilbar ki raah takte he,
Hum he ki kabr me aapka intezaar karte he.


aapke javab ka hamein intezaar rahega
aapka dost
Merul

Quote:
Originally Posted by farhana View Post
Aaj phir kaafi dino baad kuch likhrahi hoon yahan...umeed hai aap pasand farmayenge...khush rahiye..aabaad rahiye
----------------------------------------------------------------------


Seene me ek khalish si hai...jaane kyu dil dard ke samandar me pal pal dooba jaraha hai...jitna khud ko sambhalna chah rahi hoon utna hi yeh mujhe apne saath bahaaye le jaarahii hai...jin lehron ko kabhi mei khoobsurti ki nishaani maanti thi aaj unhi se wehshat ho chali hai....
------------------------------------------------------------------------------


Is bheed me bhi khud ko tanhaa paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon

Kya bigaada hai meine parwar digaar kaa
Har pal kuch aur khud ko badnaseeb paati hoon

Aarzu ki thi meine phoolon ke aashiyaane ki
Kyu harsu mein kaanton ki diwaarein paati hoon

Bahaut shauk tha mujhko zindagi jeene ka
Har pal bas maut ko ab main kareeb paati hoon

Is bheed me bhi khud ko tanha paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon...


!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!





Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se me naraz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal du,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.


Merul~~~~~~~~~~>
  Send a message via Yahoo to Merul  
Reply With Quote