Gazal -
31st January 2006, 04:42 AM
Badal gaye hain
Rafta rafta yar ke sab gam badal gaye hain
Kuchh vo hai badale huae kuchh ham badal gaye hain.
Mehfil me jab aten hai to ankhein nahi jukti
Andaze sarkar ke kuchh dhang badal gaye hain
Rukh hai rafikon ka ab badli hava ke sath
Ab mausame gulzar ke sab rang badal gaye hain
Hathiyar bhi badle huae dushman bhi hai badla hua
Maidan bhi badla hua jang badal gae hain
Kya thi majal ankhein utha kar dekhta koi
Lutti hooi bahar ke dam badal gaye hain
Wafa ali 30 jan.2006
|