View Single Post
Old
  (#34)
feelIt
Registered User
feelIt is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 131
Join Date: Dec 2004
Rep Power: 20
Sad 20th January 2005, 12:59 PM

Aman ji............

aap aisa kaise keh sakte hai........

jaan bujh kar to humne aapka dil nahi dukhaya tha........aur humein kya pata tha ki aap un style marne waali, paise waali ladkiyon ki baat kar rahe the..........aur hum is baarein mein aapse maafi bhi maan chuke hai......

aur phir pyar ka dard sirf ladke hi nahi sahete.........hum ladkiyon ko bhi dard hota hai, jab dil tootta hai

humara sach mein koi bhi iraada nahin tha aap ko hurt karne ka.......jab aapne aur kunal ne ladkiyon ke baare mein aisi baatein post ki, to padh kar humein bahut bura laga aur us samay humara dil waise bhi zakhmi tha.......kisi ek ladke ki bewafaai ki wajah se humara ladkon per se vishwaas uth gaya tha................especially, aapki aur kunal ki post padh kar humein laga ki sab ladke ek jaise hote hai.....agar anjaane mein humse koi galti hui ho ya humne aapko hurt kiya ho to hum phir se maafi maangte hai

aur hum bhi aap ka dard samajte hai.......hum bhi mehsoos kar sakte hai..pyar ka dard kya hota hai

pehle dard dena, aur phir use bhool jaana, yeh na har ladki ki fitrat hai, na har ladke ki fitrat mein hota hai.............jo pehle se hi dard mein dooba hua ho, woh kya kisi ko dard denge

dard dena aur bhool jaana, yeh un logon ki fitrat hoti hai jinhone pehle kabhi dard mehsoos hi na kiya ho

dard jyada tab hota hai, jab koi apne ya koi karibi rishte ne humein chot pahochayi ho............aur aap humein jaante hi kitna hai...hum to aapke liye ek maamuli se insaan hai.........to phir aapko humari baat sun kar itna kyun bura laga

ajeeb baat hai, jise hum itna karibi se jaante tak nahi woh humari baat se bura maan jaate hai.....aur jo mera apna hai, mere dil ke itna karib hai, uspe meri koi bhi baat ka kuch bhi asar nahi hota

anyways, mein aur ek baar phir se aapse maafi maangti hu.......I AM VERY VERY SORRY

Take care...


Have a good day!!!
   
Reply With Quote