View Single Post
Old
  (#6)
Vazeer Razavi
Takhallus: Vazeer
Vazeer Razavi is on a distinguished road
 
Vazeer Razavi's Avatar
 
Offline
Posts: 6
Join Date: Nov 2013
Location: Earth
Rep Power: 0
22nd November 2013, 01:58 AM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
Tere khush rakhney ko jo aati hai sa’oobat hamein (sa'oobat = difficulty)
utna toh dushwaar nahin hai gham-e-qurbat hamein

Bhigii aankhon me dekhi hamne woh neemkash nazar (neemkash = half drawn)
tashnaakaam rakhey ho jab aaee hai furqat hamein (tashnaakaam = thirsty)

Kaaghazee hai rishtaa mera tere dil se bandhaa hua (kaaghazee = delicate)
sakhtee-kashaan me kahiin na aa jaaye ghurbat hamein

Teri galli me dafn karta hoon mere shikast dil ko
shaayad teri aaghosh me aake miley ulfat hamein

Ae ham-safiiron mere dildaar ke qareeb mat jaanaa (ham-safiiron = co-inhabitants)
kahin tumhari shuhood me na mil jaaye hurmat hamein (hurmat = respect)

Dekho “Safeer” ko gar tum ees kuchey se ghuzarte kahin
toh yeh nahin ki kiya hai aaj dilbar ne rukhsat hamein


~ Safeer
Bohat Unda Ashaar hai Adeel Sahab.

Bas ek guzarish hai, is line mein sakta huraha hai "Teri galli me dafn karta hoon mere shikast dil ko"

Ager "shikast dil" ke aywaz "shikasta dil" woh to sher wazan bana rahye ga
   
Reply With Quote