View Single Post
Old
  (#12)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
27th August 2003, 09:58 PM

hello everybody

thodi der se reply karne ke liye muaafi chahata hoon. darasal main ye khoj raha tha ki ye wakai mein kiski hai.

ab jaisa ki apsab log bol chuke ki ye meri nahi hain to be shak ye meri hargiz nahi hain aur maine isko kahin apna hone ka daavaa bhi nahi kiya. lekin aaplogon ki ye galat fahemi door kardoon ki ye Sanam ji ki likhi hui hai.

Afshan ji aapka ye khayaal bahut hi sahi hai ki ghazal ke saath uske writer ka naam bhi likha jaaye par tab kya jab uska naam hi na maaloom ho?????humne to ye dhoondne ki zahemat utha li magar aapne tanz karne ka mauka nahi choda. koi baat nahi.

kshitiz sir aap afsos kyun kar rahe hain ye meri likhi hui na ho kar kisi aur ki likhi hui hai. keemat lino ki hoti hai n ki likhne wale ki. wais ek baat zaroor jaanna chahoonga ki humne galti kya ki jise na karne ki hidayat aapne di. hum aapka shukriya is baat ke liye zaroor karenge ki aapne humari fikar ki. sach bahut aacchha lagta hai jab koi itne khamoshi se daanta hai.

amrit sahab ye ghazal raghupat sahai ki likhi hui hain jino aap log Firaq Gorakhpuri ke naam se jaante. is ghazal ki antim line ye hai


"mil to gaya suboot muje teri mohabbat ka
ab afsos nahi "firaq" ko tere ishq me nakam ho kar"

aap logon sirf aadha sach maaloom tha ki ye meri likhi hui nahi hai. baaki aadhe ke baare mein kisi ne fikar hi nahi ki. isse fark hi kya padta hai. kyon???
mujhko ek sher yaad aagayaa

"apna dil apni tabaahi ka sabab hota hai
ye jawani ka zamana bhi ajab hota hai
kaun si baat ne kis shaks ka dil dukha diya
bolne wale ko ehasaas ye kab hota hai"

meena ji mere post karne se aapko shayad dukh hua uske liye main muaafi chahata hoon.

jahan tak mujhko umeed hai ki koi aap mein se kisi ka reply shayad hi is post par ab aaye . lekin ek baat zaroor kahena chahoonga ki. aadha sach poore jhoot se zyada khatarnaak hota hai.


ladaai jhagdaa muaaf karo
gandhi ji ko yaad karo


========================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote