Quote:
Originally Posted by KunaaL
Aapki raah dekh hi raha tha maiN .. accha laga aapko dekhkar .. chaliye sawaaloN ki taraf chalte haiN
mujhe to sab kuch inspire karta hai bhaisaahab .. aap bhabhi madhu sunita ji, praveen bhai, SDC, facebooK, Suraj , chaand, sab.. maiN bas sab ko dekh ke jumla kashi karta rehta huN .. jo accha lagta hai usme apna experience milata huN .. aur phir use baandh deta huN ..ye duniya khyaaloN se bhari padi hai .. par humeN bas chunna hota hai .. aur jo dil kehta hai use chunn leta huN maiN ,...
MaiN ek aisa qaumi taraana likhna chahta huN jo sabko ek kar de.. par bakhuda aise alfaaz aaj tak nahi mile jo khoon maiN alfaaz le aayeN .. koshish to maine bohat kee hai .. par insaallah ek din zaroor qaamyaab hounga..
shukriya aane ke liye
Kunaal
|
bahut sahi baat kahi aapne.....
ye duniya khyaaloN se bhari padi hai .. par humeN bas chunna hota hai .. .......
aur khushi huyi aapki chahat ke bare me jaankar....dua karti hoon....aapko jald hee kamyabi mile......