View Single Post
matrabhumi ki pukaar
Old
  (#1)
sushiljain
Registered User
sushiljain has much to be proud ofsushiljain has much to be proud ofsushiljain has much to be proud ofsushiljain has much to be proud ofsushiljain has much to be proud ofsushiljain has much to be proud ofsushiljain has much to be proud ofsushiljain has much to be proud ofsushiljain has much to be proud of
 
sushiljain's Avatar
 
Offline
Posts: 280
Join Date: Feb 2006
Location: hyd, india.
Rep Power: 31
matrabhumi ki pukaar - 13th August 2014, 05:55 PM

kayee dashkon se maa ki mamta bulaa rahi hai,
karuna mayi vachanon se wo kuch suna rahi hai.

beta uskaa bahot vyastha aur bahot door hai,
apne hi kaaryon me gum wo majboor hai.

par suni jo matru vedna aaya ghar par,
tha utsaah aur garv tha maa ke janma divas par.

putra dekh maa ke mukh par kuch sukh sa chhaya,
bahot bahot rituon se wo tha murjhaya.

gaalon par wo aansun abhi nahi the sookhe,
dono hi wo nayan the prem ke bhookhe.

bete ne jab poochha ye kya haal tumhaara,
kyon chehra hai aisa jaise hara hara.

maa ne kahaa ke dekho wo chhat kitna toota,
deewaaron ka rang hai chaaro or se chhoota.

varshon pehle ye ghar tha mahalon se pyara,
duniya bhar me gunj raha tha jay jaykara.

iss ghar par the nyochhavar saare gharwaale,
the rakshak wo kaarya the unke veeron wale.

jaan luta di apni ghar ki raksha karte,
aise veer jane the iss maa ke ghar pe.

par ab ye ghar hai jaise girne wala,
ab tu ek hi saare ghar ka rakhwala.

beta kehta humne ki hai tarakki kitni,
vigyan dawa computers me chand ke jitni.

maa ne kaha shabash putra tum jag ujiyaare,
tumhi chanda, tum hi suraj, tum hi taare.

par ab ghar ki sudh laho ke bhay hai chhaya,
beimaano aur ghooshkhoron ne ghar ko khaya.

bhayi bhayi bane kasaayi ladte ek dooje,
insaaniyat hai kahaan gayi, ye paheli boojhe.

putra kahe vishwas karo ke ab mai jaaga,
ab mai dilse piroun manavta ka dhaga.

maa hai matrabhumi hamari bharat mata,
hindustaani saare bete bhaayi bhraata.

matrabhumi ke janam diwas par sabhiko badhaayi,
hai sankalpa, karenge raksha, vachan dilaayi.


gul ko zamane mein, gul-e-nayaab kehte hai,
kuchh likhne ke pehle aapko aadaab kehte hai.
  Send a message via Yahoo to sushiljain  
Reply With Quote