View Single Post
Old
  (#17)
shipra
Registered User
shipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to behold
 
shipra's Avatar
 
Offline
Posts: 474
Join Date: Apr 2009
Rep Power: 24
15th October 2009, 11:09 AM

Quote:
Originally Posted by Hassan Rasheed View Post
Aaj DIL.....thora sa udaaas hai.....to yeh likh dia.....:-


Koi tumse agar poch bethe k kon hon main
To bila jhijhak bata dena koi khaas nahi

Waja-e-hamdardi ki khatir mujhse baat karti ho
Dar haqeeqat zara bhi tere dil ke pass nahi

Langar to faqeeron mein bhi taqseem hota hai
Khanay per bulati ho lekin izzat mujhko raas nahi

Khiyaal rakhti ho sirf khidmat-e-khalaq waastay
Jag ko yeh bhi bata do tumhe mujh se koi aas nahi

Tareeqa-e-zeest hai jo tum mujhse bewafai nahi karti
Warna umer bhar saath nibhaon itna farz-shanaas nahi


Bila Jhijhak = Without hesitation
Waja-e-hamdardi = Due to kindness
Dar Haqeeqat = Actually
Faqeeron = Beggars
Khidmat-e-khalaq = Kind to humanity
Jag = World
Tareeqa-e-zeest = Method of Live - Dunia-daari
Farz-shanaas = Duteous

(Hassan Rasheed)
Kya baat h hasan ji, har sher taarif ke kaabil h...... padh ke mujhe ek kaavish yaad aa gayi
koi tum se puche kaun hu main to kah dena koi khaas nahi
ek dost h kaccha pacca sa, ek jhoot h aadha saccha sa
superb..... sir
   
Reply With Quote