View Single Post
Old
  (#8)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Post 15th February 2007, 10:08 PM

Quote:
Originally Posted by farhana View Post
Aaj phir kaafi dino baad kuch likhrahi hoon yahan...umeed hai aap pasand farmayenge...khush rahiye..aabaad rahiye
----------------------------------------------------------------------


Seene me ek khalish si hai...jaane kyu dil dard ke samandar me pal pal dooba jaraha hai...jitna khud ko sambhalna chah rahi hoon utna hi yeh mujhe apne saath bahaaye le jaarahii hai...jin lehron ko kabhi mei khoobsurti ki nishaani maanti thi aaj unhi se wehshat ho chali hai....
------------------------------------------------------------------------------


Is bheed me bhi khud ko tanhaa paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon

Kya bigaada hai meine parwar digaar kaa
Har pal kuch aur khud ko badnaseeb paati hoon

Aarzu ki thi meine phoolon ke aashiyaane ki
Kyu harsu mein kaanton ki diwaarein paati hoon

Bahaut shauk tha mujhko zindagi jeene ka
Har pal bas maut ko ab main kareeb paati hoon

Is bheed me bhi khud ko tanha paati hoon
Zindagi jeene ki yeh kaisi saza main paati hoon...
Farhana Ji ko humara salam.

Bahut achaa likha hai aapne
Derd se agar derd mil jaaye to usee humderd kahten hain hai na?...
Jawab ye 4 line pash hai.. Daad chahunga...

Zindagi tujh se har ek saans me samjhota karon,
shoke jeene ka hai mujhko magar itna to nahi.
Chahat me maine tujhko majhi ke sahare,
Mahsos Tujhe kiya hai dekha to nahi.


Khush rahe or apna kyaal rakhee
Take care
SHAAN
   
Reply With Quote