View Single Post
Old
  (#27)
eliyas
Registered User
eliyas will become famous soon enougheliyas will become famous soon enough
 
eliyas's Avatar
 
Offline
Posts: 138
Join Date: Mar 2007
Location: mumbai
Rep Power: 19
24th April 2007, 04:47 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab yaaraan-e-mehfil

maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai

is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi



nazm ka unvaan hai "zaroorat"


mula'iizaa farmaayeN :



nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi


tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai

mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta


maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN

tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN



maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati


jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi

maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................


apni aaraa se zaruur nawaazeiN


shukriya
maikash
Assalam maikash bahot acha likha hai apne such hai yeh nazam kabhi mukammal ho hi nahi sakti jab tak app ke dil me dard hai aisa hi dard app bikharte rahenge..... yeh silsila to sansoo ke tootjane ke baad hi khatm hoga......
app jis daur se guzar rahe hai iska andaz main laga sakta hun kun ki is daur se main bahi guzar raha hoon....... jo dard apne apne sine mein daba rakha hai use bahot hi khubsurti se kagaz pe utara hai apne.......
yeh dua hai meri rab se apko apki khushiya zaroor mile

Allah Hafiz


koi pyaar chahe to koi jahan chahe,
koi doulat chahe to koi shaan chahe,
hum to jindagi ke sataye huwe hai,
‘Eliyas’ to khudase do gaaz zameen aur kafan chahe

- ELIYAS SHAIKH
  Send a message via Yahoo to eliyas  
Reply With Quote