Thread: Pagli aatma
View Single Post
Old
  (#2)
Rashmi sharma
volunteer
Rashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud of
 
Rashmi sharma's Avatar
 
Offline
Posts: 723
Join Date: May 2010
Location: chandigarh
Rep Power: 24
20th August 2010, 03:37 PM

Quote:
Originally Posted by parveen komal View Post

PAGLI AATMA


Peepal ke ped ke neeche ek aatma ,safed sarhi me bhatkti rahti hai.
Gahra jaata hai jab raat ka sannata ,uske rudan ki nadi bahti hai.

Maine ye kissa suna , socha, thoda dara par fir rah na paya,
Mai ne us manzar se do chaar hone ka mansooba banaya.

Chala raat ko peepal ki taraf ,ek pair aage ek peechhe jaata tha,
Thoda dil ko kada karta tha , lekin thoda sa ghabraata tha.

Jaise taise jaap karta hua pahuncha manjil-e-maqsood par,
Chaandni raat me nazar parhi ek insaani vazood par.

Dar gaya ikdam , dil dhaad dhaad baj utha, ghabraya,
Lekin tarqsheel tha islie housla jutaya ,aage qadam badhaya.

Ajeeb manzar tha ,baal bikhraaey , ek daal pe nazar jamaaey,
Safed sarhi me baithi thi ik udaas aurat door taktaki lagaaey.

Baaju me dabaaey baithi ek potli numa bagli thi,
Mujhe laga shayad vo gaao.n ki hi koi pagli thi.

Mujhe dekh kar vo birju birju kah ke rone hasne lagi,
Uski haalat dekh ke mai vaythit ho utha,udaasi mujhe dasne lagi.

Maine use thoda naram lahze me , apnepan se bulaya,
Vo baat karne lagi aur mujhe apna dukh bhara sach bataya.

Birju uska pati tha , do beegha zameen par kheti karta tha
kadi dhoop me mushaqqat se , mushkil se guzar karta tha .

Apne aap se ghulta rahta tha, karaz ke bojh na sah saka ,
Khuddar tha ,haath na faila saka ,darad kisi se na kah saka,

Raat ko is hi peepal ke ped se fanda laga ke jhool gaya,
Vo azaad bharat ka ankheela lekin jazbaati kisaan tha.
Jis jagah jaam-e-shahadat pee gaya mulk ka ann data,
Ab pagli ka yehi ashyana , ye hi mandir , yehi shamshaan tha.

Usko yaad karti thi ,raat ke sannate me uski awaaz sunti thi pagli,
Diya jalaati thi uski yaad me, gum hue naqash fir bunti thi pagli.

Bichude sajan ki yaad me , aansu bahaati ped ke neeche mandrati
hai,
Pagli ko peepal me birju nazar aata hai , logo.n ko pagli ,aatma nazar aati hai.

vehad bhabnatmak viyani pura manjar aankho dekha sa lagne laga
   
Reply With Quote