Thread: Maa !
View Single Post
Old
  (#7)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
11th March 2010, 10:59 AM

Quote:
Originally Posted by Radhika_2 View Post
Apne Aap Ko Simtati Maa
Aulad Par Pyaar Lutati Maa

Apne Hi Jism Se
Aulad Ko Panpati Maa

Apne Muh Ka Niwala Nikal
Aulad Ko Khilati Maa

Har Lihaaz Ka Kaayedaa
Aulad Ko Padhati Maa

Zindagi Ke Aakhiri Daur Me
Kyon Apne Aap Ko Tanhaa Paati Maa
radhika jii

aapki is rachna main chupa dard main samajh sakta hoon, aur agar main ye kahoon ki ye dard sirf ek ladki samajh sakti hai to atishyokti na hogii......
bahhut khoob surat ehsas hain aapke, ek sms mujhe yaad aa gaya... wo main aapse share karna chahunga.........


maa,
jo bachpan main hamare dwara
toote foote shawdon ko sunkar
uska matlab samajh letii thii,
aur aaj jab hum jawan ho gaye hain
har ek shawd ko behtar dhang se bolte hain,
tab maa se kahte hain
" maa tum to kuch bhi nahi samajhtiN"

aapki rachna per merii dheron badhaaii"

Dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote