View Single Post
Old
  (#7)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
15th January 2013, 10:20 PM

================================================== ================================================
adaab zidd bhai
badee khushi huyi aap ko dekh ke ..main theek hun abhi kal hi vikas se aap ke baare me baat ho rahi thi

mujhe bhi aap se milkar behad khushi hui.meri bhi arse baad vikas se baat hui parso kuch der ke liye aur kal hui itminaan se. Bhai sahib kahte hai ki ab na ayenge yaha.maine kaha unko yaha na aane ka matlab hai hindustaan chodke chale jana,to hass baithe saheb.......khair unhe wapas to le hi ayenge kisi bhi tarah se.

jin baaton ki jaanib aap ne ishaarah kiya hai wo URDU me hai aor us ko HOROOF E ILLAT kaha jaata hai
jis me ALIF + WOW+ CHHOTI HAA+ YAA / BADI YAA aatey hain

yani ki vowels (for the benefit of members who don’t understand urdu)
like ‘a’ ‘e’ ‘i’ ‘o’ ‘u’.....not surprisingly ‘h’ and ‘y’ are considered semi vowels e.g sly,tryst,fry.
In urdu they are considered full vowels(haroof e illat), it is apparent urdu seems to be more advanced than English . yaha tak to general information hai ,so theek.


in ki do sooratbataayi gayi hai
ya ato in ka EYLAAN hogaa yaa SOQOOT
yaani ki in ko giraya bhi ja skata hai aor baaqaedah zaahir bhi kiya ja sakta hai yaani ki mila jula ke wahi baat hai jo aap ne bataayi hai

mai isse bilkul alag baat kar raha hu masood bhai
Mud’da asl me yaha hai. Ye bhi common knowledge hai wazn giraya jaa sakta hai...baat sirf ye baat, as an information zahir karne ki nahi hai, baat ye hai ki kis tarah? Ab usool yani ki principle jo aapne bataya hai ,wazn derive karne ka usme loophole hai,ye maine kaha.

Aapke darj kiye huye usool ke hisaab se harf ka wazn 1 ya 2 hi sakta hai....flexible wazn ki usme ijazat nahi hai. ab uske begair shayri kaise ho sakti hai? ise mai loophole kah raha hu.


sab se aham baat ye hai ki bahr ke arkaan ke hisaab se in HOROOF me se jo jis jagah jis haal me fit ho jaaye HAM AAHNAGI ko barqaraar rakhtey huye wahi us ki HAALAT tasleem ki jaaye gi


yehi to mai kah raha hu ki kaise hogi us usool ke hisaab se. Bahs ye nahi ki aisa hota hai,vo to hota hi hai. bahs ye hai ki us usool ke hisaab se kaise hota hai?


Aapke is daleel ke hisaab se pahle advanced level seekhna hoga basics seekhne ke liye.
Matlab the effect is preceding the cause.


aap ne jo sher pesh kiya hai
hamaara dil ya tumhara dil hai
yahaan hamara tumhara ka LAIF gira hai to urdu ke eytebaar se RAY KA ZABAR hi baaqi hai ALIF shumaar hi nahi hogaa


ye baat badi hairatangez hai saheb. Aap certified urdudaan hai aur mai fourth class ki written urdu jaanta hu ab tak....aapne jo baat kahi hai vo bahut impact rakhegi. Balki ek revelation hai sabke liye

Agar ‘tumhara’ aur ‘jata’ me se akhir alif hata denge to ‘tumhar’ aur ‘jaat’ nahi ho jayega? To kya shayri me jab ‘tumhara’ ke ‘ra’ ka wazn 1 hoga to ‘tumhar’ likha jayega magar ‘tumhara’ pada jayega?


mera khiyaal hai ki aap is ki mazeed tafseel darj karden taaki aor aasaani moahiya ho jaaye

upar bataye usool ke hisaab se aap inhe wazn de dijiye,,,sari baat clear ho jayegi

-raastah
-aainah
-bhi


khush rahiye badee nawaazish
muk.lis

regards
   
Reply With Quote