View Single Post
Old
  (#15)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
17th January 2013, 02:02 PM

Jalakay yay gulshan meraa soachtaa hai,
Yay jhulsaa huaa sa biyabaan kyoon hai?
DISCLAIMER
Mai is sher par comment kar raha hu kyuki ispar discussion chal raha hai. Mai kisi ek shaks se mukhatib nahi ,yaha tak ki shayar se bhi nahi, in conformity to rights granted to me for this section as a common member of SDC . this reply is not intended as an advice but a mere opinion.


Mai is sher ke merits par nahi jaa raha k ye accha hai ya kitne degrees se accha hai.
Ya ye kharaab hai aur kitna kharaab hai.

Mere point of view se ye sher bilkul valid,correct hai , aur specifically koi rabt ka problem nahi hai ,ye mera limited point hai aur mera opinion maine kis basis par base kiya hai vo mai ab aaapke saamne rakhta hu.

1] sabse pahle, sirf aur sirf ‘cold logic’ hi se koi sher evaluate karna apne aap me ek anamoly hai.

Strict application of cold logic se bahut hi unique results nikal sakte hai ,jiski jaankari sabko kisi na kisi tarah to hai hi,
jaise ki cold logic use kare to apple ki beej ko todne se ,andar se ek apple nikalna chaiye, kyuki andar to logically apple hai? , nahi to apple kaha se nikla agar beej se nahi aaya to?

phir to , ‘kabr me leTa hai ya mara hai’ kahna hoga , kyuki ‘kabr me soya hai’ to kah hi nahi sakte kyuki zinda aadmi hi so sakta hai murda nahi,,,,,,magar aisi shayri to aam hai....??

Ab koi ye sawaal UThayega ki zidd bhai aap to non logic ko sabit karne ke liye logic hi ka sahara le rahe hai..

aur sawaal uthaane wala sahi hi hoga ...

to jawaab ye hai ki vo sahi hai phir bhi mai ye kar sakta hu ,kyuki mai ab daleel de raha hu shayri nahi kar raha hu.

Ab phir mere is jawaab se ye reitererate hota hai ki logic has limited applicability in shayri.

2] dusra point is sher ko direct impact karta hai

CHUTZPAh-is lafz ka English aur hindi me koi synonym nahi hai...so ise sirf example se bayaa kiya jaa sakta hai.

A] agar koi shaks apne maa-baap ka khoon( murder) kar de aur jab court sazaa sunaane jaaye ,to plead kare ki us par raham kiya jaaye kyuki vo ‘yateem’ hai ,to us action ko khutzpah kahte hai.

B] (aisi si kuch ye kahani hai)= anarkali ne saleem ka koi pasandeeda kabootar udaa diya...saleeem ne poocha ki kabootar kaise udaya ? to anarkali ne ek dusra kabootar jisko saleem sahib bahut like karte the ,uDaa kar dikha diya aur kahaa’ aise uDaya’.....

Ab in angles se us sher ko dekhiye... maine upar jo 2 point baya kiye sirf shayri ka ek nuance saamne lane ke liye kiya....jo cold logic ke application se dhak gaye.
----------------------------------------
Hum ko unse vafa ki hai ummeed
Jo nahi jante vafaa kya hai.......galib ( it is not a comparison sher to ahmad sahab sher.)

Is sher ko aaj ke daur me jo padta hai vo normally sani ka matlab derive karta hai( shayad bollywood ka influence hai)= ki ladki ek tart hai ek extreme view se,
aur agar koi lenient view rakhta hai to kahega ki ladki snob hai, jaankar qadr nahi kar rahi hai.
In general us misre ko satirical samjha jayega ,jaise galib sahib tana kas rahe the.
Magar
Scholars ne is misre ka ye view liya hi nahi .unko concept hi nahi ke mashuka ya supposed mashuka galat kar sakti hai.
Bekhud dehlavi aur nazm sahib(1900) ne comment kiya is sher par ke ladki abhi abhi jawaan hui hai, use pata hi nahi ke wafa kya hai...ladki ignorant hai because of her youth, uski koi galti nahi aut galib sahib bekaar hi aag me tape jaa rahe hai !!!!!!!!!!!!!!!!

-----------------------------------------------------------
ab vo sher fresh pada jaye,,,,saare possible nuances ko madde nazar rakhte huye.....to shayad aisa lagne lage ....ki akhir bholepan me ,gaflat me,ignorance me..ladki kuch harm kar baithi hai aur use pata nahi ke uske wajah se kya kya anjaam huaa,,,,,jab anjaam dekha to bholepan me pooch baithi ke'' haiy , aisa kyu ho gaya '"


regards

Last edited by zidd; 17th January 2013 at 02:20 PM.. Reason: spelling error
   
Reply With Quote